Monday, June 29, 2015

Yaad-E-Yaar Pe



kuchh pal mere labon ko aram de de apne rukhsaar pe,                      
tere galon ko bhi maza ayega mere labon ke esh guftaar pe ,              
ao pyar ka ek afsaana likh duu.N esh nazuk gore deewar pe,
ab tu hi bta kaisa hai "SAN" ka arz-e-hunar pyar pe


chalo aaj main kabza kar loon apne yaar pe,
ki aaj ek sur chadha hai labon ke sitaar pe,
ab to daag lga hi jayega falak-e-piir ke naqsh-o-nigaar pe,                
akhir kab tak chalegi zindgi Raah-e-khaar pe                                      

aa kuchh malham lga duu.N tere galon ke daraar pe ,
ki esase bada tohfa kya hoga lutane ko ishk ke khariidaar pe,
sochta hoon aisi zindgi hoti par nhi "SAN"
ye to bas kuchh labz hain jo paida huye yaad-e-yaar pe 



Urdu Word Meaning :
;rukhsaar=gaal
;guftaar= speech
;naqsh-o-nigaar=phoolon se saja hua 

No comments:

Post a Comment