Thursday, April 30, 2015

BARFAAB MEIN

subuk-tanii Khilta kamal barfaab mein ataa tha
Ye wahin tha jo har raat KHvaab mein ataa tha

URDU WORD MEANING :

subuk-tanii = light body
barfaab = slush 

Ankhon Ko Malum Nhi

ankhon     ko          malum       nhi       tha
ki esko pasand anewala eski ko rulayega
jis raste wo man - mandir tak  aya      tha
ek     din    usi   raste    bahar        jayega

ankhon     ko          malum       nhi       tha
ki esko pasand anewala eski ko rulayega
pyar jo aaj muskaan ka rup le rha      hai
wo kal dil se anshu bankar bahar  ayega

ankhon     ko          malum       nhi       tha
ki esko pasand anewala eski ko rulayega
aaj jiske hone matr se ye chamak rha hai            
kal yahin tap - tap  ki  sangeet  sunayega

ankhon     ko          malum       nhi       tha
ki esko pasand anewala eski ko rulayega
aaj  jise dekhkar  dhadkane tej ho jati hai
kya     kal      eske    bina     jiya    jayega

ankhon     ko          malum       nhi       tha
ki esko pasand anewala eski ko rulayega
aaj jise dekhkar  ye nazaren dekhna bhul jata hai
kal  eski  ki yad mein ye bhi dhool jayega

ankhon     ko          malum       nhi       tha
ki esko pasand anewala eski ko rulayega
aaj  jo  khushi  bankar  dil  tak  ja rha  hai
kal wo anshu  bankar  bahar  bah  jayega

ankhon     ko          malum       nhi       tha
ki esko pasand anewala eski ko rulayega
jiske aojhal hone par ye ghabra jata   hai
kal anshu ki nadiya mein eshe bojhal kar jayega............... 

Ankhon Ki Pasand

ankhon ki pasand ko ab ankhon ko bhoolne do
eshe iski muhbabbt mein thodi der dhoolne do 

Wednesday, April 29, 2015

23 Saal Ka Dil Purana

aaj dunga tujhe ek nazraana
wahin 23 saal ka dil puraana
pasand aye to kubul karna
aur haule-haule mushkurana 

Tuesday, April 28, 2015

Yadon Se Lipat Kar

har rat  tere yadon se lipat kar  sote hain
tabhi to etna sunhra sapna ham bote hain 

faza ayaa hai

Ankhon ki Husn didarii ka maza ayaa hai
Jawani ki nemat tere chehre pe faza ayaa hai,

URDU WORD MEANING :
faza = spring 

Monday, April 27, 2015

Kashmir ki barf

kalam ke sayaah pe ayii wo harf hai tu,
Zindgi ek garmi hai, kashmir ki barf hai tu

Sunday, April 26, 2015

SUBUK-TANII

morni ki chaal chalati wah kya subuk-tanii hai teri,
dilkash adaa, karde madhosh aisi jawaanii hai teri,
chamkila,gulabi,tazaa ye qaus-e-quzah saa chehra,
Kiske muhbabbat ka tohfa layi kya kahanii hai teri,
Na jane kitne huye honge gulaam ish rang rup ke,
Beparwah hasinaa Ye aadat kitni puranii hai teri,
Chaand se chehre ko chaand ki tarah hi dikhati ho,
Parde mein rakhti ho khudko kya pareshanii hai teri,
gauhar-e-shaahvaar hai tu kisi ek dil-e-muntazir ki,
"SAN" ki sun uski pak ruh hi ishk_danii hai teri

URDU WORD MEANING :

qaus-e-quzah = rainbow
subuk-tanii = light body
nujuum-e-dil = astrology of heart
gauhar-e-shaahvaar=a fine royal pearl
dil-e-muntazir = waiting heart

Saturday, April 25, 2015

THODI - THODI

Dil ke dhadkano ne thodi - thodi sunaii hai,
Tumhare yadon ne aaj ye kya aag lagaii hai,
Chhupa liya apna chehra tune kahin parde mein, 
Fir akhir ye bat kahan se ayii hai,
Aaj main khoya - khoya hua sa kyon Hoon,
Aaj main hasha aur roya - roya hua sa kyon hoon,
Dil ne mujhe ye kyon yad dilayii hai,
taqdeer to bura hi tha shayad jo hum bichhad gye,
Fir ye ishk ki besumar talab kyon ho ayii hai,
Abr hai palken meri aur badal chhayii hai,
Dil ke dhadkano ne thodi - thodi sunaii hai,
Tumhare yadon ne aaj ye kya aag lagaii hai,


Friday, April 24, 2015

masaafat meri

Na wo kabhi ayii na hi koi Aahat ayaa hai 
Unse dur hame ye meri masaafat layaa hai

URDU WORD MEANING :
masaafat = journey

Shahar se bhagi chidiyaan

Shahar se hai bhagi chidiyaan,
ghosla ab kidhar banayegi,
Jungle tak pahunch gye hum
Ab wo aur kahan jayegi

Tuesday, April 21, 2015

Takkar Aur Chakkar


jabse hua hai do nayano ke bich takkar
chalne lga hai do dilon ke bich chakkar 

Saturday, April 18, 2015

Sat Fera

kya pta ye sham ya sabera hai
mujhe to tere yadon ne ghera hai
ham dono ke bich ban kar diwaar
khada ye sat fera hai 

SAMBHAL KE CHALO

ghar ki aor chalo ya manzil ki aor chalo
lekin jab bhi chalo sambhal ke chalo 

Friday, April 17, 2015

kyon chillata hai tu

teri fikr nhi kisiko, aye dil kyon chillata hai tu ?
teri dhadkne regzaar mein hai kisko bulata hai tu 

URDU WORD MEANING :
regzaar = desert 

Sabse Bda Vyapaari

                                     khush rahne ki humne kar li hai taiyaari
                                  tabhi to tum sab mast maulon se ki hai yaari
                      tumlogon ki duaon ke rahte mera koi kuchh nhi bigaad sakta
                 fir bhi agar mar gye to tum logon ke dilon mein rahegi meri yaadgaari
                                   ab batao aur kaun hai hamse bda vyapaari 

RAT RHA HAI


dil I LOVE YOU ,I LOVE YOU  ka path rat rha hai
fir bhi na jane kyon wo mujhse nhi pat rha hai
wo mujhse dur rahti hai 
fir bhi unki bhawnayen mere dil se sat rhi hai
ye Kilometer mein mapi jane wali duri to nhi kam ho rhi
par ye jo dilon ke bich ka fasla hai apne aap hi ghat rha hai
aur zindgi bas ILU ILU karke kat rha hai
na main unhe bhula pa rha hoon
wo meri yadon se hat rha hai 

Thursday, April 16, 2015

PREMGAAH


seene mein dabe chaah ko rah mil gyi
mere pyar ko khuda ki wah wah mil gyi
zindgi mein ishk ki  ahmiyat kya hai
esh bat ki aaj hame puri thaah mil gyi               
jab unhone hame apna dil diya to 
meri dhadkano ko PREMGAAH mil gyi
duniya ne mujhse pyar ka saboot manga
unke hontho pe muskaan naam ki gawaah mil gyi
SAN ab uparwale se aur kya mange
bin mange hi hame jab athaah mil gyi 

Wednesday, April 15, 2015

ishk-e-faanii


Aaj ankhon mein jo ayaa wahin pani tha wo
kya tha ? jo kabhi tha ishk-e-faanii tha wo !
Uske vichhdane pe ye dil naashaad hua hai
Lekin naaseh dhadkne kah rhi hai bas ek kahani tha wo

URDU WORD MEANING : 
ishq-e-faanii = mortal love 
naashaad=unhappy
naaseh = admonisher, sincere friend, counsellor

Tuesday, April 14, 2015

Pighal Kar


dil ki bat dil se pighal kar aya hai.
Jo kehna tha hame wo ankhon ke raste chehre par chalkar aya hai
eshe bhi tumse SAN ke ishk ka ezhhaar karna hai
Farq bas ye hai ki ye rup badalkar aya hai 

mushqil na hoga

mushqil na hoga kabhi jine mein,
jab tak tum bashe ho seene mein

Monday, April 13, 2015

Muhabbtnaama


apna karnaama likh rha hoon
apna muhbbtanaama likh rha hoon
kahte hain jishe ishk ashiqi
haan main wahin hungama likh rha hoon 

ANDAR ANGARA


jungle mein qumqume etna sara chirag kiska chhoota hai,
Etni shukun bhari raat mein kaun sa taraa kab toota hai, 
khush mizaj sab Bachche bol rhe hain unhe jugnu jugnu,
Aii uparwale ab tu hi bta eske andar angara kyon foota hai



Saturday, April 11, 2015

Laila Majnu Ki Atma Bhi Jalkar Rakh Ho Jayega

kuchh bole to doston ko shaq 
aur bhagwan ko vishwas ho jayega
pas na hokar bhi tu khash ho jayega 
aur hame umid hai ki hamari pyar dekhkar
laila majnu ki atma bhi jal kar rakh ho jayega

ASAR TUMHARI


ye kaisi meethi si hai khumaari
shyayad hampe aaj bhi hai asar tumhari

KAB GYI

esh bhagdaud mein pyar kahiin dab gyi
tabhi to hame pta bhi na chal wo meri zindgi se kab gyi 

Friday, April 10, 2015

begaana mahboob


Husn-parast ankhon ne manaa hai ehsan khoob tera
ek nazar ne bna diya mujhe begaana mahboob tera

hum kya karen


taasiir-e-mohabbat ehsaas koi kra de to hum kya karen
wo husn wo adaa apne paas koi kra de to hum kya karen
gosh-e-dil mein kabhi bat na chhidii ki hum ishk farmayen
batao yaron khudko kisi ka khash koi kra de to hum kya karen

URDU WORD MEANING :

taasiir-e-mohabbat = effect of love
gosh-e-dil=corner of the heart


Thursday, April 9, 2015

naaseh dil

taasiir-e-mohabbat na jane kitni bar pasand ayii hogi
naaseh dil ne kahaa "SAN" ye bhi ek din parayii hogi

URDU WORD MEANING :

naaseh = sincere friend
taasiir = effect

kharcha hai

akele ghum rhe ladakon ke bich ye charcha hai,
ladki patane mein bahut kharcha hai 

JARURI KYA HAI


Dhadkne bat kar rhi hai hum dono ke bich ab ye duri kya hai
Honthon pe haule se aa ruki hai betaab dil bta wo jaruri kya hai 

Wednesday, April 8, 2015

JO HAI NHI SHAYAD


Ashiq dil Bewajah hi khudko khush kerte hain
Jo hai nhi shayad usiko mehsoos karte hain

Tuesday, April 7, 2015

Jyada Dost Jaruri Nhi

manaa ki dosti buri nhi

par zindgi ke liye kuchh achhe dost hi kafi hain 
jayadaa dost jaruri nhi 

Monday, April 6, 2015

SABKO ISHK ANA CHAHIYE


laila - majnu ki kahaniyaan purani huyi ab koi nya afsana chahiye,
khuda ne ek dil ke sath sabko banaya hai, sabko ishk ana chahiye

Ishka Ka Shiknza


ankhon mein ek nasha hai

jabse tu man mein basha hai
dhadkan bekaboo hai
aur dil tere pyar mein fansa hai
ab to mujhe uparwala bhi nhi bacha sakta
kyonki mujhpe ishk ka shikanza kasha hai 

Saturday, April 4, 2015

ehsaas koi


hota mera kash koi
hota dil ke pas koi
hai ye justajuu jawan
hota ek ehsaas koi 

Friday, April 3, 2015

Ishk ke kaam ayega


ye khuda ka diya dil ishk ke kaam ayega
jab bhi tu pyar ke bare mein sochegi
tere honthon pe mera hi naam ayega
jyada kuchh nhi par chehre pe mushkaan
aur tere mann ko  araam ayega 

hasti kya hai

apno ke bina teri hasti kya hai?
dosti se jyada sasti kya hai? 

varaq-varaq likhte rhe

varaq-varaq jiske bare mein harf suKhan har roj likhte rhe wo nazar na ayaa hame,
kahte hain ishk,pyaar,muhbabbt hota hai har shaks ko fir kyon nhi khuda ne dikhayaa hame

URDU WORD MEANING :
varaq-varaq = page after page

Thursday, April 2, 2015

lab bhi mulaqat karte hain


kuchh gustakhi sath karte hain
ao paas mere kuchh bat karte hain
Hum dono ko ishk hai  ek dusre se
chalo batayen lab bhi mulaqat karte hain