Sunday, September 28, 2014

tabassum ki tabaaraa_ish


Nikhaar shurkh labon pe Ye tabassum ki tabaaraa_ish
Ankhon ko mila nazraana ab aur kya karun farmaa_ish



Urdu Word meaning
aaraa_ish=decoration




Saturday, September 27, 2014

kya nazara tha


deed-e-mahtaab,wah kya nazara tha
wo hasin ladki,koi na usasa pyara tha
meri rukki nazaren Shafaq badan pe
uske liye dhadka dil,bas dhadkan hamara tha


MERE DIL KA THIKANA

ushka sharir
mere dil ka thikana
please khuda usase extra ishk karne ka chance 
hame hi dilana
nhi to main gaunga gana
wahin "o o jane jana"


ushka sharir
mere dil ka thikana
ishk ki rah par ja rha hoon
please khuda hame rasta dikhana
aur haan mar mat khilwana

Friday, September 19, 2014

Shaad aya

Yaadon pe zor diya ,kuchh yaad aya
Ek jhalak mehshush kiya ,shaad aya
SuraaG mila ishk ke hone ka "SAN"
tere hone ki khushi,jane ke baad aya


URDU WORD MEANING :
shaad=joy
Suraag=sign

Wednesday, September 17, 2014

Tufaan ki mauj

Ankhon mein gussa ,ye samne kiski fauj thi
Labon pe anjaan hasi ,ek tufaan ki mauj thi

Tuesday, September 16, 2014

Ishk ka imkaa.N

Meri nhi thi ,par ishk ka imkaa.N to tha,
Kah nhi paye kabhi , dil ka azaa.N to tha,
nazaren guftgoo karti thi unse meri 
Kuchh nhi tha paas ane ka ek izaa.N to th 

Word Meaning :
izaa.N = permission

Saturday, September 13, 2014

LABON SE BAT


Tere surkh labon se baten karte 
Mere lab yuun khamosh na hoti
Tere gesuon mein khoye hote
ham_nashii.n ,mujhe hosh na hoti

LOVE LEPAN


mere honthon pe kar do

apne honthon se love lepan                      
taki mera dil tandurust ho jaye
karke eshka seban
fir to duniya bhi maan jayegi 
I am lover NO.1



note :
lepp lagana =lepan

Friday, September 12, 2014

khudka nuktaachii.n

Waqt ke sath jaruri hai tahaziib-e-navii.n
Ek ruuh ka sath,khudka ham_nashii.n hona 
Haar ke zkham se puchha kab galat tha main
Hamne manjur kiya khudka nuktaachii.n hona 


Urdu Word Meaning:
nuktaachii.n = critic
ham_nashii.n = companion

Sunday, September 7, 2014

Khuli ankhon ka sapna


Nazar ke samne meri khuli ankhon mein ek sapna aaya hai
ankhen band karke jise dhundhte the wo mera apna aaya hai 

Saturday, September 6, 2014

ISHK KA

Be_shabab be_qaraar kaam ishk ka
Chalti dhadkne lekar naam ishk ka
awwaal darze ka ashiq main ab tera
Ye hayaat-e-ishk , tamaam ishk ka
khudpe iKhtiyaar kya karega ushshaq
Gujarta hua waqt har shaam ishk ka
Zindgi jab puchhi ab kya karoge tum
Labz bola, tu bta anjaam ishk ka
kabhi harf likha to kabhi yaad kiya
Ab "SAN" ka har jaam ishk ka

Friday, September 5, 2014

Labzon ki Zindgi


Labzon ki ye zindgi
nazar ke samne aoo
enhe shayari banakar
jawaan kar Doo.N

Labzon ki ye zindgi
nazar ke samne aoo
enhe harf mein daal
Gul_fishaan kar doo.N

Labzon ki ye zindgi
nazar ke samne aoo
enhe Shukhaan bna
husn ka jaan kar doo.N

Wednesday, September 3, 2014

hastaa dekha



Ek nau_gul,ek huur nazaron ne bevaastaa dekha
ukse labon ki lali,use har daffa hastaa dekha


Word meaning :
bevaastaa = without reason

Monday, September 1, 2014

anjuman-aaraa


Labzon ki bazm mein anjuman-aaraa 
ruu-e-hasii.n,har bat shiirii.n tumhara 
nik_hat-e-zulf se ati baad-e-bahaarii 
Mahtaab si dikhnewali tu ek sharaaraa 

word meaning :
ruu-e-hasii.n = beautiful face
anjuman-aaraa=one who adorns a meeting
baad-e-bahaarii = spring wind