Thursday, July 30, 2015

Chehre Pe Khule


rat ko band huyi meri ankh subah mein kabhi tere chehre pe khule
pani marne ki bhi jarurat na ho khushi ke mare kuchh ye aise dhule 

Parde mein Poshiida

Ye dil ye nigaah mera aaj bhi uspe fida hai
Wo kali jo aaj bhi parde mein poshiida hai


Wednesday, July 29, 2015

Madadgaar aye hain


Mere jehan mein mere madadgaar aye hain
Teri soch meri harf mein bahaar aye hain 
Har sher se puchha Kya byaan Karen aur kaise 
Mere samne ye sawaal kai baar aye hain 
har pal ko uthaya hai hamne kalam ki nok par
Kabhi deedarii to kabhi intizaar aye hain
Wo umda Rubai hai aaj meri shayari ka
jb tere labon pe ishk ke ishtihaar aye hain
Guroor na kar apni jeet par aii dilkash zalim
Tumne wahin jeeta hai jo hum haar aye gain 
Hazar harf likhna ashaan ho jata hai "SAN"
Jb dil ko unke betaar ke taar aye hain 

Khuda ki Mehnat


Maine kalam ki patalii kamar pakadi sayaah tere rup ki diwanii ho gyii
Khuda ne tujhpe bahut mehnat ki mujhe sher likhne mein asanii ho gyii

Tuesday, July 28, 2015

Chashm-E-Yaar


dekhkar  khubsurat  chashm-e-yaar ki
bhasa  sikh  rha hoon  main  pyaar  ki
mujhe dekh unki nazren jhuki, ye tha jabab
ankhon se  bheje aab tak ke sare taar ki 

Monday, July 27, 2015

kasti bananewale ka beta


kasti bananewale ka beta 
Apni kasti bnakar chalaa gyaa
'ilm ko apni mehnat se payaa
Apni hasti bnakar chalaa gyaa
Yaad hai lekin dahar mein ab wo nhi 
Sahar hai lekin sahar mein ab wo nhi

kasti bananewale ka beta
shahil se khelkar chala gyaa
Hindustan ko bahut kuchh diya
mushqilon ko jhelkar chala gyaa
Yaad hai lekin dahar mein ab wo nhi 
Sahar hai lekin sahar mein ab wo nhi


Urdu Word Meaning :
dahar = world
Sahar = Dawn

R.I.P APJ KALAM

Hindustaan ko akhiri salam kar gye,
kaun ginega ye anginat kaam kar gye
apna tiranga shan se lahrayega 
Bhulegaa nhi desh jo kalam kar gye

Andhere se dar gye

Waqt ayaa bikhar gye 
Sham ayaa uttar gye 
Gulshan ke phool the
Andhere se dar gye

Saturday, July 25, 2015

baaruud ki buu


Fir phaili fiza mein baaruud ki buu
Kyon ayii aab-o-havaa mein main-tuu
Azaab ki awaaz gunj rhi hai kano mein
har chehra hai dard se zard-ruu

Kyon ayii aab-o-havaa mein main-tuu
Aaman chhip gya khojkar gesuu
Bewajah ki hum ladayiaan lad rhe hain
kab badalega hamara ye zishti-e-KHuu

Fir phaili fiza mein baaruud ki buu
diidaa-e-tar Angiinat dard rubruu
Kuchh achchha karna hai hamne hii karna hai
Sunna do sabko ye baat kuu-ba-kuu

Urdu Word Meaning :
kuu-ba-kuu = from street to street
zishti-e-KHuu = bad habits
zard-ruu = yellow faced, pale face

KHud-kalaamii


Tere hii tasavvur ki gulamii karte hain
Tera bina KHud-kalaamii karte hain

KHud-kalaamii = Talking To Oneself

rastaa rok kar chalte hain

Kuchh Raah-e-jeet to kuchh Raah-e-haar par chalte hain
Ye shahar hai yahan sab ek dusre ka rastaa rok kar chalte hain

Friday, July 24, 2015

Chaand Mein Nikhaar

chaand mein aaj nikhaar aa gya hai
Jaise banke chandani jannat se pyar aa gya hai 

mai-kado.N ki rani


Bin alfaaz meri jaan bahut khuchh kahti hai 
Ye dilkash muskaan bahut khuchh kahti hai 
chahat ka aalam uski tasvuur ki thodi adat 
Wo Sunn le meri dil-e-toofan bahut khuchh kahti hai 
Har labz mein utarte hain unke ankhon ka kajal 
Ye uski jhuki mizshgaa.N bahut khuchh kahti hai 
Kabhi - kabhi dikhti hai mai-kado.N ki rani 
Uske labon ki gulafishaan bahut kuchh kahti hai 
"SAN" ki dono ankhen dekhti hai ush belabz nuur ko
Jiske honthon ki laal nishaan bahut kuchh kahti hai

Urdu Word Meaning :
mizshgaa.N=eyelid

Thursday, July 23, 2015

Pyaar Anshuon mein duub gyaa

Rah-e-ishk chhor Mehabuub gyaa
ashiqi ka ab tamaam usluub gyaa
maine ushe ushne mujhe bhulaya
Pyaar fir anshuon mein duub gyaa 

Urdu Word Meaning :
usluub=style


Wednesday, July 22, 2015

awara dhool

Har nazniin chehre se manmani karta hai 
Solah sringaar se chhedkhani karta hai 
Sadak kinare ka wo awara dhool 
besabab hii ladkiyon se beimaanii karta hai

Urdu Word Meaning : 
besabab=without reason

Tuesday, July 21, 2015

Alfazon ki Mehfil

Harfon ki basti mein nau_gul bahaar hua 
Fitrat-e-sukhaan ko aaj tujhse pyaar hua 
Sher Nazm Rubai aur kuchh ghazal bna 
Alfaazon ki mehfil lagii Tera naam Gulzaar hua

Monday, July 20, 2015

Khudgarj bno

Khudgarj hone mein pareshani kya hai 
nya nhi kiya to ye jawaani kya hai 
Kuchh to aisa karo Ki uparwala bhi puchhe 
Tu hii bta Teri kahani kya hai

Sunday, July 19, 2015

Bhiga Rumaal Jane


tumse kitna pyar karta hoon
tere bina guzra hal saal jane
mere pyar mein kitni sachayi hai
ye sust dhadkno ki chaal jane
tere bina kaisa hoon main
ye anshuon se bhiga rumaal jane
tumhe bhula ki nhi,eska jabab
kitaab mein rakha sukha gulaab jane 

Saturday, July 18, 2015

Apna Chaand Bna diya


Kuchh harf likhe tujhpe ye maine kya bna diya
Eid anewali thi shayad apna chaand bnaa diya

Friday, July 17, 2015

mahduud ayii hai


Tan-e-Falak pe aaj Noor mahduud ayii hai
Chaand Eid mubarak dene khud ayii hai

Urdu Word Meaning:
mahduud = limited 

Thursday, July 16, 2015

Barahmasi Muskaan

chaunk gya aapke chehre ki nakkashi dekhkar
ek pura  khila phool barahmasi dekhkar
pta nhi bhagwan ki kya partikirya rhi hogi
mere shadon ke ye bebaak badmashi dekhkar 

Alfaaz-e-"SAN"

Kale harfon ki jadugari apni tasweer mera fan dekh le 
Apni khoobsurati Alfaaz-e-"SAN" dekh le

Wednesday, July 15, 2015

Bahuton Ka Naam Nhi Janta

aage kya hoga ishk ka a.njaam nhi janta
ishk ke allawaa aur koii kaam nhi janta
bahut hasino ko barason tak yaad kiya
aur kiton kaa to ab tak naam nhi janta
log kahte hain ki pyar bikau ho gay hai
par main apni ishk kaa daam nhi janta
bazar mein  bahut tarah ke sarab hain
par nashile naino jaisaa jaam nhi janta
"SAN" ek ashiq nhi banta par kya karen
jo dil pe kabu karle aisa lagam nhi janta 

Facebook ko kala karnewale

Facebook ko kala kar diya hai harfon se bhale hii unke kalam mein syaah nhi hai 
Wo sher-o-shayari ko badhane wale fan ke chor unke liye meri waah waah nhi hai

Tuesday, July 14, 2015

Eid ka Chhota Chaand

Gali kuchon mein jashn ka daur 
Falak se latak rha chhota chaand 
Bachchon ko Eid mubaraq bolta ja rha 
Falak pe aaj bhatak rha chhota chaand

Monday, July 13, 2015

Ashiq Ya Awara Banta

manpasand  galti      chalta ,     ashiq     ya    awaara         banta
dil aur dimag mein matbhed na hoti to jarur main tumhara banta 

Sunday, July 12, 2015

Apni Haqeeqat

dhadkano  se  man ki  chahat dil se  pyar pe aqiidat pesh karte hain
tum ek bar na samjhe hum hazar bar apni haqeeqat pesh karte hain

fusuu.n-e-husn


Tere ye nachte reshmi kale Laharate zulf
nazar ko Madhosh karte chehre tak aate zulf
fusuu.n-e-husn ke purane sipah-salar 
maahtaabi adaon ko chhipate dikhate zulf
fikr-e-suKHan ko dheere-dheere bahkate zulf
Tere ye nachte reshmi kale Laharate zulf
naaz-e-jalvaa meri ankhon ko pas bulate zulf

URDU WORD MEANING:

fikr-e-suKHan = poetic thoughts
naaz-e-jalvaa=a view of beauty

Friday, July 10, 2015

Shahar ki Zindgi


Kabhi uska dhokha to kabhi hamari bari
shahar ki zindgi har taraf vyapar har taraf vyapari

Thursday, July 9, 2015

Galtiyaa.N

Nazaron ko bharosha dil ko yaqiin kar lene de
Kuchh galtiyaan kuchh aur din kar lene de

Anshu Kharcha Hoga

Yad na karna nhi to tera bahut anshu kharcha hoga
Jb tere yadon mein sirf mera hii charcha hoga 

Log Kane Ho Jayenge

Adaon ki numaish na karo log diwane ho jayenge 
line marte marte bahut se majnu kane ho jayenge

Wednesday, July 8, 2015

Aise Hi Majak Ho Rhe Hain

teri ulfat mein ham paak ho rhe hain
teri qurbat mein ham chalak ho rhe hain
tune mujhe kab ka shayar bna diya tha
ab mere har labz bebaak ho rhe hain
waishe to aaj mere dono cham-e-tar hai
par dil ke nafrat jalke khaak ho rhe hain
khud pe mera pyar barasta hua dekh
aaj wo bhi bahut saffaak ho rhe hain
wo bhi akhir SAN pe bharosa kyon kare
duniya mein aajkal bahut majak ho rhe hain 

tarah-daar alfaaz

Shrini-e-guftaar bat ko tarah-daar karta hai 
Har alfaaz zubaan pe ane ke khatir maar karta hai 
Labzon ke sath tum! Wahin karti ho
Jo gulshan ke sath bahaar karta hai

Urdu Word Meaning :
tarah-daar = beautiful

Tuesday, July 7, 2015

Ada Karenge

pyar ka haq ham adda karenge
pyar tujhe ham sadda karenge 

manchalon ki badua

Har sundar ladki ko naqabposh daku bnaa diya 
Shahar ki dhul tujhe manchalon ki badua lagegi

Monday, July 6, 2015

Achhi Tairaak

ankhon mein akar tairati hai ,etni achhi ye tairaak ho gyi hai
kabhi bhi,kisi bhi waqt  aa jati hai ,etni ye bebaak ho gyi hai
main apne dil ki bat kholkar duniya ke samne nhi rakhta
aur akar anshu sab bta jati hai,ye etni chalaak ho gyi hai 

Shahar ki bheed

Wo jo shahar ki bheed mein kho gye
gawn se apni pehchan banane aye the

Sunday, July 5, 2015

Achha Plan

tere sundar sharir ka bhagwan ne nirmaan kiya
mujhe tera gulaam banane ka achha  plan kiya 

Loot lete hain Wah - Wah

Sunakar kuchh sher kisi aur ke nazm ka 
loot lete hain log wah - wah bazm ka 
Naam bhi nhi lete kabhi kabhi fankar ka
shabashi bhi nhi dete kalam ke razm ka 

Urdu Word Meaning:
bazm = gathering, Razm = war

sandalon se halaal

Shikaar Mere dono taraf ke kale gaal huye
Ashiqi ka bhoot utra sandalon se halaal huye
sabke samne shauq-e-ulfat fanaa hua
Jise mast chumon ki arzoo thii wo laal huye
Maine ankh maraa jis Gushtakh nazaron se
Lady Chapplon ke phatko.N se wo behaal huye
Rooh-e-majunu faraar hua darte darte 
Aur jordar chatenn chehre ke taal huye
dard-aamez se sambhala kisi tarah khudko
tohfe sandal se "SAN" ke bure haal huye

nazar-e-shabdkaar



Tere Chehre ki puri kahani ankh baar-baar kahta hai,
Ek sher ban jata hai jb nazar-e-shabdkaar kahta hai

Saturday, July 4, 2015

Qayaas

Samajhte hain halaat ki nazaaqat lekin log aas lagate hain
khudko tashlli dete hain wo jo achchhe ki qayaas lagate hain

Urdu Word Meaning:
qayaas = guess,pre-sumption

QABAAL DIL

faqat dhadkta chalaa ja rha hai tere liye
Ye meraa Qabaal dil aur gaye kya
Phool sa chehra khushboo gulaab ki
zer-e-saaya-e-zulf "SAN" aur lagaye kya
ravaa.n-davaa.n ho rhi hai ankahi baten 
pas-andaaz hai ye ki mujhe ishk hai
Labzon mein tujhe aur samjhaye kya
faqat dhadkta chalaa ja rha hai tere liye
Ye meraa Qabaal dil aur gaye kya

URDU WORD MEANING :
zer-e-saaya-e-zulf = under the shadow of tresses
faqat = simply,only
ravaa.n-davaa.n = moving
pas-andaaz = Remainder

Friday, July 3, 2015

Tassavur mein shariq

Mere har tassavur har khayaal mein shariq hai wo 
Khawabon ki mallika Khawaabon mein hii thik hai wo 

Thursday, July 2, 2015

Zindgi Ki Thaal Mein


tu banke ayi khushi 
zindgi naam ki esh thaal mein
mithayiyon se bhi meethi 
mushkaan layi dbake apne gaal mein
basti hai santimay chhawn
tere kale reshmi baal mein
saton sur bikharte hain
tere kadmo ki har chaal mein
gulabo si ranginiyat hai
tere honth, laal mein
apni niyat par ab hame hi bharosa nhi
esh premkaal mein
fut rhi hai muhbbat ki dhun
mere dhadkano ki  taal mein
apne en adaon se hame bachao
nhi to pyar ho jayega hamse esh haal mein
aur ye sidha sada yuvak
fash jayega PREMJAAL MEIN 

PURI GHAZAL

Saraa_paa shahkaar Badan Kanwal sii 
Har nazar ek sher Wo puri ghazal thii


URDU WORD MEANING :
Shahkaar = masterpiece 

Wednesday, July 1, 2015

Zakheera E Alfaaz

ao tere labon pe zakheera e alfaaz sazza du'nn  
I LOVE YOU "SAN", kahna unhe samjha du'nn 

Agosh-e-dil ki bat

Agosh-e-dil ki bat shurkh labon pe akar fisal gyii 
Mila kano ko bossa madhosh alfaazon ka
Unki arzoo Mujhtak aakar sambhal gyi 
Agosh-e-dil ki bat shurkh labon pe akar fisal gyii 
Mizaj-e-aajizii se tajadiid-e-vafaa ki 
Humne Haskar apnaya aur wo machal gyii 
Sukhan ko surat dene ke liye kuchh dekha aise 
Unke Honthon ki sahar chandni mein badal gyii 
Shukhani fitrat aur unke labon ki sharaari labz 
"SAN" ki Ek mukaqat aaj Nazm mein dhal gyii 
Mauj-e-ishrat fail ayii rukhsaar tak 
Tabbassum ki tabiyat ush tak aakar bahal gyii 
Agosh-e-dil ki bat shurkh labon pe akar fisal gyii