Saturday, February 27, 2016

NAZM-E-SAN

Fir se Aziiz doston ki nayi bat ho
Fir se habib doston ki purani bat yaad aaye
Aaj kal ki tamaam mushqilon ke bich 
Kahkahon se gujari hayaat yaad aaye
Khaali-khaali jebon walon ka diya hua
Wo madad, wo haushla, wo Khairaat yaad aaye
Fir se Aziiz doston ki nayi bat ho
Fir se habib doston ki purani bat yaad aaye
kaaniyon ka qarwaa.N kuchh aage badhe
nazm-e-san mein bazm-e-tasavvuraat yaad aaye
atpati sii kahasuni aur nok-jhok ki bat ho
Aur wo mahafil-e-nishaat yaad aaye
Fir se Aziiz doston ki nayi bat ho
Fir se habib doston ki purani bat yaad aaye

Bharosa


Friday, February 26, 2016

LIP SE LIPAT GYII

Jab kareeb akar Lip se wo Lipat gyii
Khudse yaqiin dilayaa ki wo pat gyii
zabt-e-shauq bahar ane ko taiyaar tha
Sare khayaal ab dhadkano se sat gyii
qurbat ka asar kahne ki jarurat nhi
Ankhon se Ankhon mein ulfat gyii
Ek dusre ko dekhkar bahut sharmana
ab wo ashiqon ki purani rivaayat gyii
"SAN" ashiq bhul gye hain sab kuchh
bade kya huye badon ki hidayat gyii

Tuesday, February 23, 2016

Alfaazon ki khayii

Alfaazon ki gahrii khayii
Main gira tu nazar ayii

DO WAH

Parda hatte ankhon mein thi wo chaah
Hua pehla diidaar to nikali do wah

Monday, February 22, 2016

BAT KAH DE

ankhon se fir wahin bat kah de
apni taraf se meri halaat kah de

Wednesday, February 17, 2016

Diwar-E-Dil


Uske labon se ek lehar jati hai 
Jaise Surkhi ke sath aftaab ki sehar jati hai 
Diwar-e-dil pe alfaaz thokar marte hain 
Chasm-e-shayar jab thahar jati hai

Monday, February 15, 2016

Chhichhorapan


Chhichhorapan Valentine Day ko Pyaar ban gya
jazbat ki koi kimat nhi, jo sundar tha wo yaar ban gya
Parkon mein LAAL LIGHT AREA jaisa mahaul hai
Ishkbaazi to maze karnewalon ka karobaar ban gya

Thursday, February 11, 2016

ahad-e-alfaazi

ahad-e-alfaazi ka dhong kiya apni hii nazar mein wo qayar ban gye,
suKhanavar ne apni naam kya chhupayii bahut log shayar ban gye


Urdu word meaning :
suKhanavar=poet
ahad = promise

Tuesday, February 9, 2016

NIDA FAZLI


Kaun kehta hai ki shayar Nida Fazli ka intqaal ho gyaa
Zaraa pano ko palatkar dekho kahoge kamaal ho gyaa

HOSH YAARI

Bachpan ki bachkani harqaten Jawanii mein mili hoshyaarii 
Zindgi mein sab mashgul huye Waqt baha le gyii yaarii

Saturday, February 6, 2016

ULFAT PAR UMIID

Labon ki thartharati lehar hamen bahakar le gyii 
Wo aaj mujhe mere behad kariib aa kar le gyii 
Itna kuchh kaha ki puchhne ko fir kuchh na rhaa 
Bosa, ankhon ko ankhon mein ishk dikhaa kar le gyii 
Bachata to bhi kaise main husn-e-aag se 
Wo Duriya-e-dillagii tak mujhe behkaa kar le gyii 
Judaa hua khudse unse bichhadane se pehle 
Kyon Mujhse hii mujhko wo Gale lagaa kar le gyii 
Unki bedaad Ulfat par umiid kaise na karoon 
Dil-e-"SAN" wo Apni dhadkan suna kar le gyii

WAQT


Friday, February 5, 2016

KAGAJ PE LETKAR

Labzon mein lapetkar
shayari mein sametkar
mere khayalon ne kuchh kaha
Kore Kagaj pe letkar

Thursday, February 4, 2016

RUTHI PHOOL


Apne andaaz mein kuchh aisi nazar ayii ho
jaise raat se ruthi phool subah muskayii ho