Saturday, June 6, 2015

raat ki zulfen

andheri raat ki zulfon mein ek mahataab ataa hai
kabhi zameen pe chamak bikherta hai wo chaand
kabhi usko dhadkne chadar lekar sahaab ataa hai
andheri raat ki zulfon mein ek mahataab ataa hai
par nhi hai lekin saHar hone se pehle udd jataa hai
pura karne kaam agli raat fir se wo janaab ataa hai
andheri raat ki zulfon mein ek mahataab ataa hai

Urdu Word Meaning :
sahaab = cloud
mahataab = moon
falak = sky
par = wing
saHar = dawn
janaab = sir


No comments:

Post a Comment