Monday, August 31, 2015

Lab Lal Gulab



chehra kanwal sa
lab lal gulab tha
ankhon ke samne
rat ka mahtaab tha

pine ka sauqin nhi
samne saraab tha
ab to pyar karne ka
dil se dabab tha

ishk mein pade ya nhi
ye mushqil chunaab tha
ab to meri nind tut gyi
jo likha bas khawab tha 

apne andaaz se apna


wo jo dekhkar thoda sarmatii hai
apne andaaz se apna banatii hai
chehra ishk ka aina hasraton ka
achchha lagta hai jb kuchh aur ban jatii hai

Sunday, August 30, 2015

Kitne Sachche

bhagwan ne puchha dhara pe kitne sachche hain
dharti ne kaha ish ginati mein bas bachche hain 

LALU - NITISH


ROOP KI BAT

Tere roop ki har bat Ye jo jhuki Nazar farmate hain 

Etna to hame bhi hai malum aap kyon sharmate hain 

Aarakshan

Doston Habibon Yaron ki ginti bahut kam hoti
agar yahan bhi jati naam se aaraksan lagu hota

Saturday, August 29, 2015

Khuda Ki Mehnat



khuda ne mehnat ki thi tujhe to hasin hona hi tha
tumne hi mannt ki thi mujhe bhi rangin hona hi tha
kitna achha sapna dekh rha tha 

par rat ke bad din hona hi tha 

flop movies of abhishek bachchan


DHAR PAKAD


Aag ki dariya se sholon ki laal khet 
Bakre Bakri ki tarah charna ataa hai
khudka naam ashiqon mein likhte hain
Jinhe labon se dhar pakad karna ataa hai

Dosti ki Darkhwast


Facebook pe Dosti ki Darkhwast karte hain log 
Taki baad mein bekar ki bat pe ladayi kar saken

Search Results

Friday, August 28, 2015

MODI MAN VS MOUNTAIN MAN


GHAZAL MEIN MEHAKTE HUYE


Labz Harf aur alfaaz dekho kala sayaah bahakte huye
Teri kahani ka panna meri ghazal mein mehakte huye
Khayalon ki kasti hasiin tehreer ka saaya banta hua
Dekho Tasvuur ka alam jazbat ka Shola dahakte huye
fikr farmaanaa ki tajgi yaad ke lakeeron ki fankaari
Dekho har ek Sher tere gul_naam pe chahakte huye
Teri shokh ankhon ke kajal ka wo gadha kala rang
Katra katra meri sayahi se dam-ba-dam Chhalakte huye
"SAN" ki ulfat-e-deriina ki surat ne mehsoos kiya hai
khushboo gul badan se dheere-dheere mehakte huye

Wednesday, August 26, 2015

Kali Sayahi


kali sayahi se gori ka gora mukhda banate hain
andheri raton mein chand ka tukda banate hain 

ASHIQ YA ATANKWADI

Aksar suna hai duniya ko aag lga dunga,duniya ko tere aage jhuka dungaa
Hame kabhi ye samajh nahi ataa ki ye ashiq hain ya atankwadi

Gandhi ke Ghar pe

Fir se chadh ayaa hai koi sar pe kisne lagayii aag Gandhi ke ghar pe

Gandhi Ke Ghar

Gandhi ke ghar babaal ho gya
Vote ke liye Neta dalaal ho gya

Tuesday, August 25, 2015

bachcha bhi jatiwadi ho gya

main main main .... ki lehar se bekar wadi ho gya
Desh bachao yahan ka bachcha bhi jatiwadi ho gya

Umiid ka sikka


Umiid ka sikka fir uchhalate hain 
Chalo galat fehmi palte hain 
Bahut huyii aapsi ranjish 
Chalo apna Desh sambhalte hain

Monday, August 24, 2015

JHUM KE AYE


ye shawd mere kano tak jhum ke aye hain
jarur hi ye tere labon ko chum ke aye hain 

tera makeup bigad jaunga

Dil se utra to kajal wahaa le jaunga 
Gale lagayaa to honthlaali saf kar jaunga 
Ashiq hoon ashiq hii rahne de 
Pagalpan tak laya to tera makeup bigad jaunga

sunehari laharen


Apni  awaaz se saaz sajatii hai
haule-haule kuchh sunatii hai
shaam ki sunehari laharen


Sunday, August 23, 2015

Jale Lge Hain

dhadkane azaad, dilon pe tale lge hain
Jaldi ao nahi to kahogi yahan to jaale lage hain

savan ka deewana

gadgadahat bhari taliyaan gunj rahi hai
Lagta hai apki baar barish ka gana hoga
Ankh maar-maar dekh rha hai falak se
shayad savan ka koi pagal deewana hoga

Jab Darar Hota Hai

Bahut si baten ankhon se anshu banke par hota hai
Jab ulfat walon ko gum aur dil mein daraar hota hai

Saturday, August 22, 2015

subah ki talash


Raat ka ishara hii sahi lekin ye sham bhi khash hai
Jane do aftaab ko kisi aur ko bhi subah ki talash hai

Andhera aur Chaand


Palakon pe kajal ko achchhe se Rakhana
Andhera hii chaand ko roshan karta hai

KACHRE KI GAADI

logon ke khane ka saman kidon ki bhukh mitati hai,
laparwah hai avaam jo mahngayi mahangayi chilati hai
dikhawe bhar ki hai shan-o-shauqat
Shahar se kachre ki gaadi roj bhar kar jati hai 

Friday, August 21, 2015

Nazar-e-shukhanvar

Bin puchhe Ankhon ne lutf thodi der uthaa lii
Nazar-e-shukhanvar uske chehre se ek sher uthaa lii

Sampooran Singh Kalra


Sayahi wali shamashiir kya pakadi
Sampooran Singh Kalra kho gyaa
Pure qaum ko Malum hai GULZAR
Kisi ko nahi pta kahan wo gyaa
sher-o-shayri ne hanth pakada
ek nau_jawanJHELUM kinare kho gyaa

Urdu Word Meaning:
qaum=nation
shamashiir=sword

Nazm-e-Gulzar

Roz-e-abr fizaa surat-e-yaar sii ho gyii 
rah_numaa_ii hawaon ki bahaar sii ho gyii 
Qudrat ka karishmaii fan ahista-ahista faila
Ye Raja Ravi Varma ki naqsh-e-diivaar sii ho gyii 
Kamar matkate sare darkhat sar hilate badal
Charon taraf Ka chehra ek dilkash nar sii ho gyii 
Monsooni barish ki paazeb haule-haule bajji
More ke sath moranii gane ko taiyaar ho gyii
Ankhon ke samne hii bane ye sare tasweer
"SAN" Ye aaj ki din to Nazm-e-Gulzar sii ho gyii

Thursday, August 20, 2015

DHAAN KA KO.NPAL


dhaan ke anchal mein ko.npal ayaa hai
Khet basmati ho jaye ab wo pal ayaa hai
rut fasalon ki hari chamakti jawanii ka 
Wadaa kiya tha pichhle saal so chal ayaa hai

Urdu Word Meaning
ko.npal = bud, sprout
rut = season

safed kameezon wale

ye safed kamizon wale log bade hoshiyaar hain,
kisi aur ke daman ka daag dikha khudko begunah savit kar dete hain

ilm-e-shukhan

Apnii thodi sii ilm-e-shukhan bas thodi der rakhte hain
Bin kalam shukhanavar ungaliyon pe sher rakhte hain

Wednesday, August 19, 2015

shagufta-ruu


Muskurata Chehra ankhon ko khuu mil gyii
Nazar mili are Nazar ko tu mil gyii
Shokhi ab mere fitrat-e-shukhan mein hai 
Khizaa.N-e-hayat mein shagufta-ruu mil gyii

Urdu Word Meaning:
shagufta-ruu = blooming face
Khizaa.N = autumn

Shab Bakhair


Uparwale ke kalam ki akhirii siyahi giri hai
Abhi-Abhi uske alfazon ne Shab Bakhair likha hai

gadaa_ii mat kar

Kosis kar baKht_aazamaa_ii mat kar 
Hanth jod bhagwaan se gadaa_ii mat kar

Tuesday, August 18, 2015

Ilu Ilu Ki Garjan




chehre pe chandni
zulphon  mein raat
tu  husn  ki mallika
tumame kuchh alag hi bat hai

do pyari pyari ankhen
ye   dilkash  muskaan
shahar mein ashiq bahut hain
rahna  sambhal ke meri jaan

ye nazuk sa badan
kale  badal  si baal
bahar kam   niklna
warna ham ho jayenge kangaal

ye makhmali bahen
ye surahi si gardan
akar ekbar SAN se mil
sunayi dega ashiq DIL se 


ILU ILU KI GARJAN 

bindi se sajja mukhda
mehndi lagi ye hatheli
jab ana mere ghar to
bna lana sari ko apni saheli

ye  mithi -  mithi  boli
ye sundar sawbhaw
kahin intjar mein band na ho jaye
dhadkano  ka  ye utar chadhaaw 

AUR BATAO

Bat Bat mein log puchhte hain "AUR BATAO"
Jab unke pas bat karne ko kuchh nahi hota hai

HUMSATH

tere yadon ko bewajah hi humsath kar liya   
jab bhi khud ko akela paya unse bat kar liya

Monday, August 17, 2015

Zafar

Har sahar ek nya safar lekar ataa hai
Kabhi haar to kabhi zafar lekar ataa hai

Urdu Word Meaning :
Zafar  = Victory


maut mila nhi hai


Safar apna hai koi kafila nhi hai
Manzil ki talsh hai maut mila nhi hai

shurkh laal phuul


Ye shurkh laal phuul kis kaam ke hain
Muskaan ki jhalak kiske naam ke hain

Sunday, August 16, 2015

jugnu nikla

Kiski talash hai tujhe jo esh waqt tu nikla hai
Raat ki Kali Jawani dekhne jugnu nikla hai 
Thoda saa sharar liye apni Buland haushle ka
Akela hii andhere se ladne surKh-ruu nikla hai

Urdu Word Meaning :
surKh-ruu = victorious



ankhon mein bahar samaa gyaa

pur diid ka asar hua ankhon mein bahar samaa gyaa
Labz panno pe daude harf mein tarah-daar samaa gya
Kalam ne raah lii apne behad aziz shayari-o-shukhan ki 
Meri khoobsurat Ghazal mein aks-e-yaar samaa gya
Ankhon ne jaise jaise bayaan kiya hum likhte chale gye
Shayari mein aaj ek gauhar-e-shaahvaar samaa gya
Teri adaon ki adakari shariir ka har zara-zara padha
Fankari mein Tere badan ka purbahaar samaa gya
Ek Ajib sa dard ho rha hai Ghazal khatm karte huye 
"SAN"fikr-o-fan mein Hasiin nok-e-Khaar samaa gya

URDU WORD MEANING :
nok-e-Khaar=tip of the thorn
purbahaar=in full bloom
gauhar-e-shaahvaar=a fine royal pearl
aks-e-yaar = reflection of beloved
tarah-daar = beautiful 


arsh ke phuul

Labon pe aapne arsh ke phuul chhupaye 
Khushboo mehsoos huyi jab wo muskuraye



SCHOOL SATH JATE DEKHA HAI

tifl-e-maktabon ko gale lagate dekha hai
dharm ki deewar ko haskar girate dekha hai
Kitni taraqii kar lii hai chhote bachchon ne
falsafa kahne walon ko jagate dekha hai
Jalte dahar mein gulshan khilate dekha hai
irfan ki taqat ka sabko ehsaas karane wale
tifl-e-maktabon ko gale lagate dekha hai
Ek Hindu aur Ek Muslmaan ko sath jate dekha hai

URDU WORD MEANING :
irfan = knowledge
dahar = world
falsafa = philosophy


Saturday, August 15, 2015

akhiri sachayi

Ek maqaam hai jo ahista-ahista karib aati ja rhi hai 
Har bahar jati sansen mujhe bhulati ja rhi hai
Waqt ke apne niyam apne qayde hain 
Uski har ek chal akhiri sachayi nazdik latii ja rhi hai

ankhon ke agosh mein


Tera ye shararaa sa Chehra ankhon ke agosh mein
Bayaan karenge ye kuchh harf jab ayenge hosh mein

paas se guzar gayii

kareeb ayi aur paas se guzar gayii
ankhon ko chhua aur ehsaas se guzar gyii

Friday, August 14, 2015

tifl-e-maktab

Jaga hua hai Hindustan ab Badlaab ayegaa,
pyare Tirange ke tale nya inquilab ayegaa
JUMLABAZON ko koi tabbjo nhi degaa 
nyi soch nye josh ke sath tifl-e-maktab ayegaa

Thursday, August 13, 2015

jarurat inquilab ki


Azadi mil gyii fir bhi jarurat inquilab ki hai,
kab tak sote rahoge bat ye tere KHvaab ki hai
Jago aur batao hame har din tum kya karoge?
Ye sawaal ek nanhe tifl-e-maktab ki hai

Urdu Word Meaning:
tifl-e-maktab = a school boy

engineering ki anjaam

Thake huye logon ke liye fir se shaam ayii hai 
Ek hum hai ki mere liye rat ko kaam ayii hai
Ungliyon ko Computer ki aor dekh kar chala rhe 
Software engineer ke liye engineering ki anjaam ayii hai

Shurkh Sari

Ankhon se nuur ka ham_raaz dekha hai
Shurkh Sari pehne husn-e-raaz dekha hai
Ahista-Ahista utar rhii hai shayari mein
Hayaa ke sath unka andaaz dekha hai
Chahat-e-chasm rahat-e-shukhan
Apne berang asharon ko saaz dekha hai 
subah ka khoobsurat chehra sham ka badan
umiid se bahut badhkar kuchh aaz dekha
Labzon alfaazon aur harfon ne dua utha lii
Sher-o-shayari ne apna sartaaz dekha hai
Nigah-e-shukhanvar ne Ham-nasiin banaya
Bematlab ki Nazm-o-ghazal ka ilaaz dekha

Wednesday, August 12, 2015

Sher-o-Lomadii


Bematlab bekar aur kitini badii likh dii
Likhne chale the sher unhone lomdii likh dii

Tabassum ka Tukda

Possida Nazara Nazar ki khuu ho gyii 
Shaheb-e-shiriin hasiin tuu ho gyii 
Kuchh waqt ka Tabassum ka Tukda 
Purkash dekhe binaa kyon chhuu ho gyii

Lutf uthaya muft ke nazarane ka 
Shukriya khubsoorti ko aina dikhane 
Pal bhar ka wo Tabassum ka Tukda 
Fir se ek bar aur kosis karlo lane ka

Sajji - sanwarii subah jaise aftaab se ayii hai 
Pari-e-nigaah khawaab se ayii hai
Tabassum ke Tukda se jagmagati lab 
Kis shayari ke kis baab se ayii hai

Urdu Word Meaning :
Kuu = Path
possida = hidden


Tuesday, August 11, 2015

Gumsum

yunn kabhi gumshum na hote
sath mein agar hum tum hote 

Aii nadi tu ab aab lekar aa

Aii nadi tu ab aab lekar aa 
Tez Dhara ki naab lekar aa 
Kisan ke fasal sukh rhe hain 
Upaj ke khawaab lekar aa 
Aii nadi tu ab aab lekar aa 
Dhahre huye hain hal 
Udas hain sare gawn wale 
Aii nadi nya baab lekar aa 
Aii nadi tu ab aab lekar aa
Nithle baithe hain intzaar mein 
Khet bahut pyasii sii hai 
Tu Dhan ropai ki Nisaab lekar aa 
Aii nadi tu ab aab lekar aa

Urdu Word Meaning 
AAB = Water
Nisaab = curriculum

Monday, August 10, 2015

chalo ek sher kahi jaye


chhoti sii bat nye dhang se thodi der kahi jaye
Fitrat-e-shukhaan chalo ek sher kahi jaye 

Khadii Gadiyaan

Shahar mein bhagne ki adat lekin aaj ye khade hain 
Gadiyon ke tyron mein jaise moti jade hain 
Bas tas se mas ho rhe hain kabhi kabhi 
Sare tez chalnewale jyon ke tyon pade hain

Sunday, August 9, 2015

Ek Surat Bni Hai


ao aur aakar dekho,ek ladki kitni khubsurat bni hai,ao aur aakar dekho,en alfazon se jo ek surat bni hai

labz-e-dukan

Nazar mein ek phuul ankhon me fir sukhan ayaa
manshaa shayari ki thi samne labz-e-dukan ayaa