Tuesday, June 16, 2015

Jugnu ne ab khudko nilaam kiya

Chaand ki chamchmati nigrani mein
Jugnu ne ab khudko nilaam kiya
Jina hai sabko jina hai
Faqat June ke liye khudko badnaam kiya
Jugnu ne khudko nilaam kiya
Kisi ne namchin ka naam nhi puchha
Wo kaun khridaar tha uske badan ka 
jisne havas ke pahluu mein shaam kiya 
aftaab ne to pehle hi apni ankh band kar li
jb paison ke khatir usne khudka daam kiya
Jugnu ne ab khudko nilaam kiya  
kisi ki dukhtar ijjat lootane gyi zindgi ke liye
koi bijli kahta hai koi rani to koi kuchh aur
sabke sath rah sake isliye gum_naam kiya
Jugnu ne ab khudko nilaam kiya  

No comments:

Post a Comment