Saturday, December 30, 2017

"Happy" ka "New Year"

"Happy" ka "New Year" ke pehle istemaal kiya jayega
"Facebookiyana" aadat ka fir se khayaal kiya jayega
Bhaiyon avam behano aaj Internet chalu rakhana 
Kyonki aaj 12 baje raat mein 2017 ko Halaal kiya jayega

Sunday, September 10, 2017

Algebrawale Din


Wo Ulajhe sawaal bahut khaffa-khaffa raha karte the
Muh tedhi kiye har daffa raha karte the
Wo Algebra wale din the jab Formulon ki Naav chalti thi
Math ke sab Manjhi Banate the aur Kalam ki Chappu chalti thi
"Hence proved" ki talash mein notebook ko ghayal karte the
"RHS=LHS" ko jawaab ka payal karte the
Kai nak-chadhe Sawaalon se muqabala hota tha
Kuchh sawaal to apni lambai pe babla hota tha
Algebra ko Hindi nhi bus English ki Kameez pehnani padti thii
Jab "+" aur "-" se mar mar kar bad-tameez sawaal ko tameez sikhani padti thi
Wo Guruji ke din the jab Sawaal ko jawaab ke jaal mein dalte the
Wo Guruji ki du'aa thii jo notebook mein har saal palte the

Chappu=OAR

Manjhi=Boater

Saturday, September 2, 2017

zindgi ke nakhare

zindgi ke nakharon pe shauq qurbaan hote rahte hain,
Kaamyabi ke umeedvaron ke liye aksar imtihaan hote rahte hain

Sunday, August 6, 2017

naksha-e-dil


Kabhi-Kabhi kismat ruth jatii hai kismat aajmate aajmate
Ulfat ka pta nhi milta yunn hi naksha-e-dil banate banate
Kahan kahan aur kiska kiska pyaar hai zindgi ke panno pe
Kabhi-Kabhi hasti badal jatii hai ye hisaab lagate lagate
Ye Rasm-e-rehnumaii jo sabhi ko bahut mushqil lagtii hai
Bus Kuchh labz jodna padta hai ek naam fermate fermate
Kuchh banwatii chizen bananii padtii hai muhbabbt ke liye
Kuchh log bahut der kar dete hain ye shauq apnate apnate
Wo baat jo jawani ne ratt rakhi hai Jawani se bahut pehle 
Wahin baat batanii padatii hai bahut himmat jutate jutate
Chalo Naqal karte hain hum bhi kisi Adam-ashiq kiii
Chalo Thoda batate hain sab kuchh chhupate chhupate
Waqt ko jayaa na kijiye, sahi waqt ke intzaar mein 
Thak jayegi jan-fiza dhadkane alfaaz-e-ashiqi sunate sunate
"SAN" zindgi nye nye logon ko paas lata rahta qarib Lekin ..
koi bahut khash saqsh kahin khash thahar jata hai jate jate

Urdu Word Meaning

jan-fiza=lively

Sunday, May 28, 2017

Dil-e-Muztar


Dil-e-Muztar naya maqaam dhundhtaa hai

Apni chaal pe tera lagaam dhundhtaa hai

Saturday, March 11, 2017

Lakth-e-labz

Chashm-e-Makhmuur ke ghayal Ijaaz dhundhte hain
Tujhe dekh tere Ashiq apni hii awaaz dhundhte hain
nigaah-daarii ka ek asar dikhataa hai dildaarii pe 
Jab Asaan Lakth-e-labz bhi Lab-e-Ejaaz dhundhte hain
Bhanware.N hain bahut sare Mast Baad-e-Bahaar ke
pankhudiyon se takrane ke pehle andaaz dhundte hain
muqaddar-e-muhabbat tujhpe aazmane se thoda pehle
KISSmetwale purane dil mein nayii daraaz dhundte hain
Bolenge.N bhi to kya bolenge Tin Harf se Jayadaa "SAN"
wo Vafawale jo har taraf thoda alfaaz dhundte hain
Urdu Word Meaning:
Lakth-e-labz=piece of word
daraaz=drawer
lab-e-ejaaz=revelatory lips
chashm-e-maKHmuur=intoxicated eye
nigah-daarii=eye to eye contacts
muqaddar=fate
Baad-e-Bahaar=spring wind
Harf=word

Sunday, February 5, 2017

Dil_Saaz


apna naam mere dil-saaz hone de
Dhadkan ko meri awaaz hone de 
Ishk ek achchha rog hai ashiqion ka

Ish rog ko ab la-ilaaz hone de

Sunday, January 22, 2017

Facebook ki CHHAT

Facebook ki chhat pe ek be_kalam kalaam hai
Dosto.N ki Subah ko mere shaam ka salaam hai