Tuesday, June 30, 2015

Haal nhi puchh pate

Jawaab dene ka dar hum sawaal nhi puchh pate
Bna rakhen hain itne dost ki sabka haal nhi puchh pate

Monday, June 29, 2015

Yaad-E-Yaar Pe



kuchh pal mere labon ko aram de de apne rukhsaar pe,                      
tere galon ko bhi maza ayega mere labon ke esh guftaar pe ,              
ao pyar ka ek afsaana likh duu.N esh nazuk gore deewar pe,
ab tu hi bta kaisa hai "SAN" ka arz-e-hunar pyar pe


chalo aaj main kabza kar loon apne yaar pe,
ki aaj ek sur chadha hai labon ke sitaar pe,
ab to daag lga hi jayega falak-e-piir ke naqsh-o-nigaar pe,                
akhir kab tak chalegi zindgi Raah-e-khaar pe                                      

aa kuchh malham lga duu.N tere galon ke daraar pe ,
ki esase bada tohfa kya hoga lutane ko ishk ke khariidaar pe,
sochta hoon aisi zindgi hoti par nhi "SAN"
ye to bas kuchh labz hain jo paida huye yaad-e-yaar pe 



Urdu Word Meaning :
;rukhsaar=gaal
;guftaar= speech
;naqsh-o-nigaar=phoolon se saja hua 

ayaa hai sahaab

kaam pe ayaa hai tabiyat nhi hai kharaab
chadar aodhe aaj nikla hai aftaab
aab-o-hawa mein thodi thandak hai har-suu
barish ke tohfe lekar laut ayaa hai sahaab

URDU WORD MEANING :
har-suu = in all directions

Koshish ke karishme

Uparwale ki inayat ki bahut sii  Kisme hain
Koshish se hote duniya mein Karishme hain

Sunday, June 28, 2015

Tu Nikhar Gyi

pyar mein main bhi sudhar gya,tu bhi nikhar gyi
tujhe mere paas dekhkar gam akar bikhar gyi 

hijab - aaluud

shokh Jawaan mahtaab hijab aaluud 
parde mein thii Chandni mahaduud 
Uska chalaa jana bta gyaa 
husn parasti mein hum ho gye the be khud 

hijab aaluud=shy
mahaduud=limited
be khud = senseless



Saturday, June 27, 2015

TAQDEER


kale nishaa.n mere

ye sher-o-shayari ye labz aur alfaz raaz-daa.n mere 
jab na main rahunga rah jayenge kale nishaa.n mere


Dilkash Nazaren

Sharm se jhukti uski dilkash nazaren 
Nazuk palkon ne mera naam puchha
Dil jo abtak dhadkne mein lgaa tha 
Usi janaab se usne sar-e-aam Puchha
Kyon dekh rhe ho ghur ghurkar tum?
Chup labon se uthe labzon ne kaam puchha
Sharm se jhukti uski dilkash nazaren 
Nazuk palkon ne mera naam puchha
Taze gulshan ka purana Rupkhana 
Ankhon ke Shamyane ne Payaam puchha 
Sharm se jhukti uski dilkash nazaren 
Nazuk palkon ne "SAN" se naam puchha


Friday, June 26, 2015

aab-e-chasm

Thoda saa hii sahi lekin abhi aab-e-chasm baki hai 
Bujurgon ko dekh khade ho jane ki rasm baki hai

Waqt chalataa rha

Main ruka main thahraa lekin Waqt chalataa rha
Meri intzaar mein nhi tha,wo badaltaa rha 
hayat ko dahar ki khabar bahut der se huyii
tab tak kai shahar hua aur kai shaam dhalata rha
Main ruka main thahraa lekin Waqt chalataa rha
main rasta bhul gya tha apni manzil ka shayad
meri ek kosis ke liye lahoo mein josh tahaltaa rha


Hayat ke hadse

Kuchh nye tohfe lekar Sahar ayaa tha kuchh nyi bat lekar ab shaam ayega
Hayat ke har hadson ne kuchh shikha hai ye tajurba bhi kaam ayega

Thursday, June 25, 2015

Toot Jana Nhi


duniya mein daku bahut hain
tum unshe loot jana nhi
tum jeetne ke liye chale ho
yunn rahon mein toot jana nhi 

muskaan ki kimat

Ishk mein jalnewale bahut the 
Ab kuchh aur nye parwaane ho gye 
Apne muskaan ki kimat tu usase puchh 
Jo tere rup ke diwaane ho gye

Wednesday, June 24, 2015

Thirkati Muskaan

aaj subah-subah   tere   honthon    pe    muskaan akar thirki            
mere dil ko apne kabje mein kar gya wo teri adaon ki  firqi             


Note :
thirki =thirkna=nachna
firqi =spin 

Diwanaa kalakaar

Har roz uski tasweer banataa hai ek anjanaa fankaar 
Uske Chehre-e-pur-nuur ka tha wo Diwanaa kalakaar 

Tuesday, June 23, 2015

Sar Hila Hii deti hai

Sharaab nhi par sabko khumaar dila hii deti hai
Nagma kano mein padti hai to sar hila hii deti hai

Tasweer Lagayi


ankhon se khinchi tasweer
dil ki deewaron pe lagayi hai
kahin koi andhi ise udda na le jaye
isliye ise pyar ki gond se chipkayi hai

kahti ho main tumhe pyar nhi karta
main tumhe yaad nhi karta
lekin tumhe ye nhi malum ki na bhoolne ke liye hi
teri ye tasweer dil ko pakdayi hai

ankhon se khinchi tasweer 
dil ki deewaron pe lagayi hai
mohabbat tha aur hai mujhe tumse isiliye sabut ke taur par 
teri ye tasweer ishk ke sahare chahat ki kanti se dil ki diwaron pe latkayi hai 

Madhosh aag

Zubaan uske naam ke labzon pe chalne se dartaa hai
Ye ishk ki madhosh aag hai "SAN" jalne se darta hai

Labon ki sitaar

Pahluu mein ao de do thodha rangiin karaar,
Zara Labzon se bjaa lunn tere labon ka sitaar

Monday, June 22, 2015

shamseer ka tukda

Dulhan sa saza har ek Gali kucha 
Azaan ki awaaz aur bachchon ka shor gul
Khajur ke pedon ke upar falak pe fir ayaa hai
Chamakte shamseer ka tukda wo Eid ka chaand



Sharir Ban Kar Aye

meri zindgi mein tum basheer ban kar aye 
bhatkte mann ke liye zanjeer ban kar aye
pyaar jishe ab tak sirf  mehshoos kiya tha
tum eshki shakl aur  sharir ban kar aye 

Sunday, June 21, 2015

Lehrate zulfon ki ghata

Lehrate zulfon ki ghata fir ayii hai
Badalon ne fir bajayi sahnayii hai
barq-e-tajallii aur ye kohraam 
Falak se shamsheer kisne chalayii hai 




Aftaab ke sath



Aftaab ke sath har roz sahar ataa hai
Aftaab ke sath raah-e-dahar ataa hai
chidiyon ka azaan gunjta hai 
Aftaab ke sath ek nya lahar ataa hai 

URDU WORD MEANING:
sahar=morning

Saturday, June 20, 2015

Shahzadi De De

Bhagwaan mujhe bachelor zidgi se azadi de de
Bahut hua ab to mujhe meri shahzadii de de 

Ramdaan aur Teri Gali

Ye Mahina Ramdaan ka chal rhaa hai 
Nhi aunga teri gali ayee mere mahtaab
Darta hoon tere chandni bhari chehre se
Kahin tut na jaye rozaa,khuda ko kaise dunga hisaab  
Nhi aungaa teri gali kahin kah na de tu adaab

dagaa degaa

sar-o-paa mera sharir dagaa degaa
Ek din mujhe hii ye bhagaa degaa

GANDE LABZ

dusron ki galti ka KHayaal karte rahte hain
karne do log sab pe sawaal karte rahte hain
har masale par dekha hai jhagda karne wale
karne do zahil log vabaal karte rahte hain
kitne alfaaz hain,lekin baton se ladnewwale
gande labzon ka isti'maal karte rahte hain

Friday, June 19, 2015

kuuze - e - abr

Falak ka rang badla abr ki chhat tapane lgii hai
Lagta hai aab-e-kuuze lekar monsson ayaa hai

URDU WORD MEANING :
kuuze = pot 

Thursday, June 18, 2015

Sasti Karne Nikale Hain


doston ke sath masti karne nikale hain
esh mehangayi ke zamaane mein
khushi ke bhav ko sasti karne nikale hain
niyam - kanoon ke bich to hamesh zindgi pisti hai
aaj hum kuchh manmaani aur thodi masti karne nikale hain 

aks-e-yaar

diidaar ke khatir pehle se hii taiyaar hai
Har Nazar tere husn ka ummiid-vaar hai
Jata rhe hain bewajah raabta tujhse 
Har kisi ke liye ye chehra aks-e-yaar hai


Ramdaan Ramzaan

Husn walon Hame nafarmanii ka daag na dilao
Ramdaan ka mahina nazaron se jaam na pilao

Wednesday, June 17, 2015

sar-e-shaam


        aa jati ho jehan mein tum sar-e-shaam            
ho jate hain lekhan mein tab gum sar-e-aam 

MERA SAYAA

bewajah pichhe - pichhe kaun ayaa tha
mud kar dekha to wo mera hi sayaa tha 

Sagar ek bachcha

aaj bhi siipiyon se kheltaa hai
Sagar bhi bachche se kam nhi

Bandhi Lau

Shokh taszi hawaa
Sath lekar udd Jana chahti hai
Diye ke ush lau ko
Jo aaj bhi baati se bandha hai

Tuesday, June 16, 2015

saaGar-o-miinaa

tere labon pe rakha saaGar-o-miinaa                          
mann chahe bina gat - gat kiye pinaa          


note: 
1.saaGar-o-miinaa = glass of wine
2.pani baigrah pite samay gat - gat ki awaj hoti hai 

Jugnu ne ab khudko nilaam kiya

Chaand ki chamchmati nigrani mein
Jugnu ne ab khudko nilaam kiya
Jina hai sabko jina hai
Faqat June ke liye khudko badnaam kiya
Jugnu ne khudko nilaam kiya
Kisi ne namchin ka naam nhi puchha
Wo kaun khridaar tha uske badan ka 
jisne havas ke pahluu mein shaam kiya 
aftaab ne to pehle hi apni ankh band kar li
jb paison ke khatir usne khudka daam kiya
Jugnu ne ab khudko nilaam kiya  
kisi ki dukhtar ijjat lootane gyi zindgi ke liye
koi bijli kahta hai koi rani to koi kuchh aur
sabke sath rah sake isliye gum_naam kiya
Jugnu ne ab khudko nilaam kiya  

Maltbi log

Shahr mein log achha bolte hain
Matlbi log apne matlb se bolte hain

Monday, June 15, 2015

Rona Na Sikhao


ayee sawan ab yadon ki deep na jalao
baris ka mausam lakar ankhon ko rona na shikhao 

Labon pe


labon pe saHar tha
labon pe Lehar tha
Kuchh likha tha labon pe 
Wo mere pura dahar tha

KOI BHALAA JA RHA HAI


Abr mein sadaa sath chillata chala ja rha hai 
Shahma hua dar se dheere dheere glaa ja rha hai 
Log kahte hain kaun hai wo Kidhar ka hai 
SAN kahta hai jane do koi bhalaa ja rha hai

Sunday, June 14, 2015

Rat Ka Akhiri Sapna

meri bahon se janewala ab koi apna hai
ish   haseen  rat  ka akhiri ye sapna hai

rahbar-e-kaamil

Main shayar tu mere kalam ki rahbar-e-kaamil 
har sher har labz mein aaj bhi tu mere muqaabil
pta nhi zindgi kab tujhe mere agosh me layegii
Bas khuda ko hi ilm hai tera mera nujuum-e-dil

Urdu Word Meaning :

muqaabil = opposite
rahbar  = guide

Pura Chhor Ke

chali gayi tum mera dil pura chhor ke
khawbon ki banati mehal adhura chhor ke 

qasd-e-safar

qasd-e-safar kyon darna kisi khaar se
Kucch to milga meri jeet ya mere haar se

Saturday, June 13, 2015

Premika Nivash


kisi ki khoj,kisi ki talash thi
jab dur huyi to jana wo mere kitne pas mein thi
main ushe phoolon ki wadiyon mein dhundh rha tha
aur wo mere dil ki avash mein thi

kisi ki khoj,kisi ki talash thi
jab dur huyi to jana wo mere kitne pas mein thi
hamse dur huyi Dil-jana to maine jana
wo mere dil mein bne "premika nivash" mein thi       


Note :premika nivash=jahan premika rahti ho 

aashiyaa.n badal liyaa

parindon ne apna aashiyaa.n badal liyaa
jabse admiyon ne shahr mein ghosle bnaye 

GALI KA KISSA

wo logon ka huzum wo anjan bheed usi bheed ka hissa hoon main
gawn ki jhalak chehre pe liye kisi gali - kuche ka kissa hoon main

Friday, June 12, 2015

Palkon Pe Halke-Halke

palkon pe halke-halke
wo jo ahista-ahista chhalke
akhir kya kehna hai
jo wo aya hai,dil se chalke 

Nari Ya Bechari ?

Bhagwaan ne dya ki ek murti dekhi aur bna diya ushe naari
hamlogon ne Bhagwaan ka mazak udaya aur bna diya ushe bechari 

Thursday, June 11, 2015

admiyon ke ghosle

sHahar ki gali kuchon mein admiyon ke ghosle hain
parindon ko to udd jana hi thaa 

pedon ke pahaluu mein

Aftaab ki pehli nazar nau_gulon ko muskurate dekha,
sadaa ki dheemi chaal ke bich kuchh bahar ate dekha
pedon ke pahaluu mein ruu-e-hasii.n 
uske khatir awara bhawaron ko haule-haule gate dekha

Urdu Word meaning :
pahaluu - lap 
ruu-e-hasii.n - beautiful face 

Mukhbandi

                        ek sundar bala
                     baithi thi bus mein
              honthon pe lagaye mukhbandi ka tala
               khuda ne ushe jawani ka tohfa diya
               aur ushne hame apni adaon se mar dala 

Wednesday, June 10, 2015

Muhbabbt Ka Naam

teri chahat ka hum hisaab dene ayen hain
teri dil ko fir se hasin kaam dene ayen hain
hamesh duniya ke pas sawaal hota hai isiliye
apne riste ko muhbabbt ka naam dene ayen hain 

gali muhjavaanii

achha bhala to tha ab naa_daanii aa gyi hai
unn Labzon mein ab arzaanii aa gyi hai
sab shaliqaa bhool gya wo maktab ka
bde hokar use gali muhjavaanii aa gyi hai 

Urdu word Meaning :

maktab = school
arzaanii = cheapness

Tuesday, June 9, 2015

Muft Mein Nhi

na kuchh muft na kuchh  khairat mein mili
tumse pyar kiya tabhi sapne se bhari rat mili 

Mohbabbt Ki Gagar

pyar ki kasauti pe wo khare utare hain
meri zindgi mein mohbabbt ki gagar bhare utare hain

maine dua mein ye to nhi manga tha fir ushe bheja kisne hai 

BE_ADAB ZULFEN

Azaad zulfen be_adab se pareshaan kar rhi thii
rah rahkar use kab se pareshaan kar rhi thii
kabhi chehre pe atii, kabhi ankhon ke upar girti
Kis anjani matlab se pareshaan kar rhi thii
Azaad zulfen be_adab se pareshaan kar rhi thii

Monday, June 8, 2015

Khizaa.n

ab to sare patton ki nikalega wo jaan
pedon pe akar fir baitha hai KHizaa.n

Urdu Word meaning:
Khizaa.n = autumn

Mera Kutta Hai Khandaani

////////////based on song:mera juta hai japani/////////
mera kutta hai khandaani
karta hai kukurtaani                     ;kukur=kuta
bho - bho karke bhagta hai
jb uspe koi dalta hai pani

mera kuta hai khandaani
usko pas ke kute doston se hai pareshaani
dinbhar sone ke alawa kuchh nhi karta
par bho - bho karna yad hai usko muhjabani 

Mayne Aur Aayne


badal gyi zindgi ki rukh ,badal gye jivan ke mayne
khudko pehchaan nhi pa rha hoon,akhir kisne badal diye ayne 

Sunday, June 7, 2015

Malaal Na Rahta

agar tere labon ko chum liye hote to man mein malaal na rahat
bhale hi tere honth thode kale ho jate aur wo etna laal na rahta     


Note : kale =(kala :my colour) 

Likh Do

ayee meri rani,mujhe pyar ki bheekh do
apne labon se mere labon pe kuchh likh do 

Saturday, June 6, 2015

Labon Pe Bossa

aaj unke labon ne ladda mere labon pe bossa                                          ;bossa =kiss
fir se jaga nashib pe vishwas aur tujhpe bharosa 

Labon Ke Dwara

apne dil se puchho aur meri dhadkno ko eshara kar do
meri zindgi mein pyar lekar ao aur eshe pyara kar do.
main shadaiv hi bahut  kadwi baat karta rahta  hoon
mere labzon ko mitha apne labon ke dwara kar do.
ye zindgi hai tumhari jaise mann kare vaishe jio 
par mehbubb ke liye laya dil to ab hamara kar do 

raat ki zulfen

andheri raat ki zulfon mein ek mahataab ataa hai
kabhi zameen pe chamak bikherta hai wo chaand
kabhi usko dhadkne chadar lekar sahaab ataa hai
andheri raat ki zulfon mein ek mahataab ataa hai
par nhi hai lekin saHar hone se pehle udd jataa hai
pura karne kaam agli raat fir se wo janaab ataa hai
andheri raat ki zulfon mein ek mahataab ataa hai

Urdu Word Meaning :
sahaab = cloud
mahataab = moon
falak = sky
par = wing
saHar = dawn
janaab = sir


Friday, June 5, 2015

Labon Ka Sofa

mere labon ko apne labon ka sofa de do
haan ,mujhe aaj ye behtrin tohfa de do 

pas-andaaz

kuchh kah rhi thii wo ankhon, wo lab saHar
Ye ek mera khayaal, ya ek unka bas andaaz tha?
lahraa rhi thii hontho pe ibtisaam ki pagal lehar
Ye sab Yuhin thaa Ya Ishk ka pas-andaaz tha

URDU WORD MEANING 
saHar = Dawn
ibtisaam = smile/cheerfulness
pas-andaaz = Remainder

AINE SE PUCHHTI HAI

Lgakar rang nye fiza ka wo har bar puchhti hai
kaisi lag rhi hoon?aine se wo bar bar puchhti hai
kabhi halke se mushkura kar to kabhi pas akar
kaisi lag rhi hoon?aine se wo bar bar puchhti hai
puri tarah se katil lag rhi ho kaisi wo gunga bataye
pyar ushe ushpar ataa hoga lekin wo kaise jataye
Lgakar rang nye fiza ka wo har bar puchhti hai
kaisi lag rhi hoon?aine se wo bar bar puchhti hai
hanth mein hinaa jabii.n pe bindi chipkayi huyi
khudko ko khud dekh rhi hai thoda sarmayi huyi
aine ke samne akar wo aine se har bar puchhti hai
kaisi lag rhi hoon?aine se wo bar bar puchhti hai
gulfaam thahar gya hai uske rukhsaar pe aaj
Ek dekh rha hai badan ki tajposhi shahkaar pe taj
Haan EK .. wo aina jo uski sabse pehle didaar karta
Jisase wo har din har bar puchhti hai
kaisi lag rhi hoon?aine se wo bar bar puchhti hai

URDU WORD MEANING :
shahkaar - Masterpiece
rukhsaar - Cheek
jabii.n - forehead

Wednesday, June 3, 2015

Laal Tara

nazaron ke samne ek nazaara hai
ankhon ke samne mukhda tumhara hai
tere mathe par chamak rhi hai bindi
mano chand ke upar ek laal tara hai 

THAHRA KALAM

Adhura sher adhuri shayari
Thahra kalam hai intzaar mein ki kb wo parde se bahar ayegi

Tuesday, June 2, 2015

Laal Gulab

lazza ke sath thoda sharma kar ao
labon pe laal gulab khila kar      ao
main nhi kah rha ki jor jor se  haso
par jb ao to muskura    kar         ao

lazza ke sath thoda sharma kar ao
labon pe laal gulab khila kar      ao
meri hi nazar ki nazar na lag   jaye
isiliye ao to thoda kajal lga kar  ao 

Kiston Mein Kiss

pyar ke badle, unhone kiston mein kiss ka bhugtaan kiya
chhii chiii mere galon ne lipstick ka raspan kiya
chalo bhaiya kuchh bhi ho,unhone mere pyar ka samman kiya
bhale hi mere gaal pe ugge balon ne unhe pareshaan kiya
aur fir ushne Roj saving karane ka  IDEA alag se pardaan kiya 

Monday, June 1, 2015

Khinche Chale Aye

asmaa'n se dil lekar niche chale aye
tere pyaar mein  khinche chale aye
tune hame bade  chahat se pukara
aur humm Jannat ko chhor tere pichhe chale aye