Sunday, September 10, 2017

Algebrawale Din


Wo Ulajhe sawaal bahut khaffa-khaffa raha karte the
Muh tedhi kiye har daffa raha karte the
Wo Algebra wale din the jab Formulon ki Naav chalti thi
Math ke sab Manjhi Banate the aur Kalam ki Chappu chalti thi
"Hence proved" ki talash mein notebook ko ghayal karte the
"RHS=LHS" ko jawaab ka payal karte the
Kai nak-chadhe Sawaalon se muqabala hota tha
Kuchh sawaal to apni lambai pe babla hota tha
Algebra ko Hindi nhi bus English ki Kameez pehnani padti thii
Jab "+" aur "-" se mar mar kar bad-tameez sawaal ko tameez sikhani padti thi
Wo Guruji ke din the jab Sawaal ko jawaab ke jaal mein dalte the
Wo Guruji ki du'aa thii jo notebook mein har saal palte the

Chappu=OAR

Manjhi=Boater

Saturday, September 2, 2017

zindgi ke nakhare

zindgi ke nakharon pe shauq qurbaan hote rahte hain,
Kaamyabi ke umeedvaron ke liye aksar imtihaan hote rahte hain