Monday, August 29, 2016

ankhon se khabar


Teri ankhon se khabar nikale main akhbaar ban jaun
Tu ilaaz lekar aaye aur main bimaar ban jaun

Sunday, August 28, 2016

kya paya hai

Kya bayaan kare.N ki humne unse kya paya hai
kii unki tariif ke liye bhi unka sikhaya alfaaz kaam aaya hai


dil ho gyi

Zindgi mein kuchh daaKHil ho gyii
Wo Dil tak aayi aur dil ho gyi

Saturday, August 27, 2016

naam lekar

Mazhab bhi kiya kaam karta hai
Azadi ka naam lekar Gulaam karta hai

Friday, August 26, 2016

kal sawaal na tha

Na jane kitne hii logon ko beghar kiya tab unhe malaal na tha
Ek bachche ki photo roj dikha dikha insaniyat ki baat kar rhe hain
Aaj jo bade bade sawaal kar rhe hain unke paas kal sawaal na tha
Phanse hain kitne hii aaj bhi reg-o-sahraa mein becharon ki tarah
Maut ke saudaagaro.N ke liye to tera khoon kabhi laal na tha
Samajhte to tum bhi ho Ye sab siyasti khel pyaare
Tabhi to Aaj jo Babaal ban gya kal tere liye Babaal na tha

Monday, August 22, 2016

KHUDA KARNE NIKLA HAI

Jannat ki naam se tumko sabse judaa karne nikla hai,
Khuda ka naam lekar jo khudko khuda karne nikla hai


Saturday, August 20, 2016

Be_Mazhabi Chitiyaa.N

Chitiyo.N ke bich ta'alluqat aaj bhi achchhe hain
Shayad unko kisi ne unka mazhab bataya nhi

Sunday, August 14, 2016

Azadi bahut purani ho gyi hai

Azadi shayad ab bahut purani ho gyi hai
Chaurahe par ke bachchon ki kahani ho gyi hai
Koi Kisan, Majdoor, karobaari ki baat nhi karta
Ye to bas Hindustani aur Pakistani ho gyi hai

tukda lekar tu kidhar jayega

Ek desh ka tukda lekar tu kidhar jayega
Bikhare huye se milkar tuu bikhar jayega
Kafiir bolega, fir Pukarega hamen hii tuu 
bichhade Bengaliyon ki tarah jab dar jayega 
Jo Goli bandook lekar khada hua hai
Wo bas ek nasur zakhm kar jayega
Ek desh ka tukda lekar tu kidhar jayega
Bikhare huye se milkar tuu bikhar jayega
Alisaan Mehalon ka malik tujhe sadak layega
Kaali raat ayegi shaam-o-sahar jayega

India ko fir Inquilaab


India ko fir Inquilaab chahiye
dehshatgardon ko fir jawaab chahiye
Kisan pyasa gareeb hai bhukha
Asmano mein fir sahaab chahiye 

Urdu Word meaning:
sahaab = cloud

Saturday, August 13, 2016

KHEL-E-SHARIIF


kal ki kadbahat lekar koi aaj zehar faila rha hai
Banduk aur bomb ka naga khel nazar aa rha hai
Apne ghar Khel-e-shariif tak jo nhi khel sakta 
wo bhi jumhuriyat aur insaniyat sikhaa rha hai 
Har roj har waqt Jungleraj Jungleraj chilanewalon
Teri huqumat se maut ki khabar kyon aa rha hai
Suna hai sabko Masumo se behad humdardi hai 
1993 ke hatyaaron ko kyon chhupa rha hai
Laptop pakadnewale bachche mar rhe hain
bahaduron ko bewajah bebas kaun bna rha hai
Har ladai ki jagah tum chale jate ho vote khatir
Khasmir mein Ujli topi pehan kaun ja rha hai?
Bade bade Birthday ki badhayiyon mein lage hain
"SAN" Bewkoof bachcchon se kyon umiid laga rha hai

KOI AA RHA HAI


Ab Jago mere Watan walon koi aa rha hai
Masumo kaa hatyara bahane bna rha hai
Kal se aaj tak jisne sirf mauten hii failayi 
Fir se kali aur qatil ankh dikha rha hai
Ab Jago mere Watan walon koi aa rha hai
Hamne use apne ghar aram se sone kya diya
rato.N ko hamare darwaaze khat-khata rha hai
Ab Jago mere Watan walon koi aa rha hai

Sunday, August 7, 2016

DIN-E-DOSTI

Din-e-dosti banaa admiyon ne mubaraqbaad ki taiyaari ki hai
Yaaron ke yaar humne to bas yaari ki hai

Saturday, August 6, 2016

PURANI PANKH

pankh purani udaan nya hai
Main to wahin hoon bus waqt badal gya hai