Thursday, July 31, 2014

Sham Madhoshi

Ret pe kuchh likhti rhi,ret se kuchh mitati rhi,
Shaam ki madhoshi,lehar ati rhi lehar jati rhi

Monday, July 28, 2014

Nazaron ko Rasta mil gya

Uddi Zulfen unki kuchh esh tarah ki nazaron ko rasta mil gya
Chaand ko dharti pe dekha,dil ko dhadkne ka wasta mil gya

Sunday, July 27, 2014

Tohfa Pursish-e-meharbaani ka


Dhadakno mein uthata mauj teri diidanii ka 
Nazaron ne aaj piya sharaab teri jawani ka
Ek Chaman-zaar hai ye nazuk badan tera
Lele mera Dil samajh ke tohfa Pursish-e-meharbaani ka 

Urdu Word Meaning :
Diidanii  = worth seeing
Pursish = Hospitality

Saturday, July 26, 2014

Pizza ka Jija

ek American(jishe thodi hindi ati thi) aur bhaiyaji ke bich  dhekhiye kaise bahash hua

American:-ye roti kya hota hai,what is that?
bhaiyaji:-tumhare pizza ka jija 

Sharir Se Nikal Gya

dil pyar ki gadi pakadkar
dil se nikal gya
pta nhi wo aaj ya kal gya
dimag ko bas yahin hai khabar ki
wo 250gm kahin chal gya

pyar ki gadi pakadkar
dil mere sharir se nikal gya
shayad kisi ladki ne ushe love wali lift di
aur wo ushke sath ushi pal chala gya
bechara mera dil
adaon se chhala gya 

Phool Badan

mere ghar ki diwaren mahkegi
jab meri phoolbadan
mere angan mein chahkegi
apne adaon se mera bura haal karke
wo mere bahon mein bahkegi

Joo bnakar baal mein

ladka:khush kar de tu mujhe bas ek kiss se
          chumban lene de
          apne hi wish se

ladki:rakh lungi main jooyen banakar
        tujhe apne bal mein
        kiss lekar mat kar kala dag
        mere gaal mein 

MASTI HI MASTI MEIN


mast hi masti mein
zindgi kati ja rhi hai
dosti badh rhi hai
aur dumshani ghati ja rhi hai
nafrat hati ja rhi hai
aur dosti satti jar rhi hai


mast hi masti mein
zindgi kati ja rhi hai
doston se bhara saf ashman dikh rha hai
aur tu-tu main- main ki badal chhati ja rhi hai
bina mushkilon ke ghatna ghati ja rhi hai



mast hi masti mein
zindgi kati ja rhi hai
uppar wala wah wah kar rha hai
aur sabki ankh fatti ja rhi hai
apna ye andaz dekhkar
har manzil hamse patti ja rhi hai 

Friday, July 25, 2014

mashooqa pyaale ki

Image Source

dukhtar-e-raz mashooqa pyaale ki
khula ab khum,padi thi bina tale ki

Siyen to Siyen Kaise

////aap logon ne yakinan ,jiye to jiye kaise suna hi hoga\\\
 ////to ushi par adharit ye hai\\\\

siyen to siyen kaise bin naap ke
silata nhi hai kapda
bin naap ke
siyen to siyen kaise hiyeeee bin naap ke

kaise kahen bina uske(naap) kapdon ki haal kya hogi
banane jaunga chunari aur wo rumal hogi

maine kiya hai ye faishla sina hai
ab soche bina
siyen to siyen....................... 

Chummo Ki Chandani

mere kale honth bhi aaj jagmga rhe hain
tere chumbano ki chandani mein 

Thursday, July 24, 2014

Gul_ruu

Arsh se ayii malika-e-husn rubru
Nazuk tha tan chehra tha Gul_ruu
Labon pe lali ,zulfon mein andhera
jaise fasal-e-bahaar ki ho wo abru

Wednesday, July 23, 2014

Belan Se Na Mare

////////////////////////////husn hazir hai song suna hoga to apko achha lagega//////////////////////////////////////
kyon chali ayi ho ?
esh duble patle pe julm dhane ko
koi patni belan se na mare
apne pati kane ko

wo subah sabji lekar aya tha
khana banane ko

koi patni belan se na mare
apne pati kane ko

bahut nakhra karti ho
apni bat manbane ko

koi patni belan se na mare
apne pati kane ko 

ankhon se khichi tasweeron mein

ho sakta apna sath nhi likha ho
en hanthon ki lakeeron mein
parntu ,tu hamesha mere dil ke pas rahegi
ankhon se khichi tasweeron mein

kaun kahta hai tum dur ho
kal bhi tum khash the
tum aaj bhi mere pas ho
en ankhon se khichi tasweeron mein

nazar to bas kuchh hi duri tak jati hai
kabhi sapno mein kabhi yadon mein
lekin tu hamesha dikh jati hai
ankhon se khichi tasweeron mein

ho sakta hai
usase mil na paunga
lekin hamesha ushe pas paunga
ankhon se khichi tasweeron mein

akela hone par bhi
nazaron ko kisi ki talash nhi hoti
kyonki ushe hi dekhte rahte hain
ankhon se khichi tasweeron mein 

Monday, July 21, 2014

farmaa'ish to nhi thi



fida tha chasm didaar pe,gul_badan tujhe dekhne ki guzaarish to nhi thi
Noor tha, chehre pe aara'ish thi mere ankhon ki koi farmaa'ish to nhi thi

Adat se Mazboor


Jalti huyi Charaag ke pass parwane aye hain
Adat se mazboor,rah-e-ishk diwane aye hain

Saturday, July 19, 2014

Gulaabi Muhar


Gaalon pe Gulaabi muhar mere yaar ka 
Honth Laali se likha usne labz pyaar ka
umid thi,kismat pe aitbaar tha,aaj usne .. 
Saboot diya hai mohabbat ke iiqraar ka 

Mohabbat ka ehtram


Teri dono qatil ankhon ko main dekhun,teri yadon mein aram karoo.N
Ek bar jo Dil ko Dil ki shohbat mil jaye mohabbat ka ehtram karoo.N

Word Meaning :
Ehtram - reverence

Thursday, July 17, 2014

DARD RAFFU KARTE HAIN

Hayat-e-gum ,muskaano se dard raffu karte hai.N
Benoor si zindgi fir bhi esase hum guftgu karte hai.N

Tuesday, July 15, 2014

HUSN KA MURID

iKhtiyaar nhi Dil pe,par ishk dil ki zid nhi
Ashiq hoo.N main tera,husn ka murid nhi

Sunday, July 13, 2014

Wo andaaz-e-tabassum

Wo andaaz-e-tabassum kya tha
Dil mein , wo talaatum kya tha
tilism ki chaandni chehre pe thi
Labon wo noor-o-anjum kya tha
shiiriini-e-guftaar si thi haanshi
Kano mein gunjta wo tarannum kya tha
Wahaan bas SAN tha ,bas "SAN"
To main ke sath wo tum kya tha

Word Meaning :
anjum = stars
tarannum=song
shiiriin=sweet


AISA WAR HO

ek aisa WAR ho
ki mera naam shahidon mein shumar ho
unke honthon se pyar ke gole barse
aur nayano se mar ho
unke ankhon se daga gya sara missile
mere shine ke bichon bich se par ho
mera nishana lge na lge
unka ek bhi khubsurat hamla na bekar ho

ADAON KA ADI

tu meri shahzadi
main teri adaon ka adi
mujhe apna gulam bna le
karke mujhse shadi 

Saturday, July 12, 2014

wisaal-e-yaar

Hum dono ke bich pyar,hum dono ka pyar hota
Agar wo hamse mitlti aur bas wisaal-e-yaar hota

Word Meaning :
wisaal- meeting

Friday, July 11, 2014

BATAYA JO BAT CHHUPI NHI THI

Jo bat unse chuupi nhi thi
Wahin bat hum batane lge
Dhadkno se jo kal kahte the
Wahin anshoo.N se dikhane lge
Ye mushqil hijr ka waqt
Jo kahna na tha hame.N
wahin hum aaj kah jane lge

LABON SE CHHOOLEN

kuchh kar de jadoo husn ka
ki hum khud ko hi bhoole.N
Bas ek inayat tere rukhsaar
apne labon se aaj chhoole.N

Tuesday, July 8, 2014

RAAZ NHI

Ek shayar bna "SAN" eseke pas ab hai koi laaZ nhi
Alfaz mera parichay,main parichay ka muhtaaz nhi
Bebaak hote labz ab ye sare 
Ab rahne denge mera koi ye sab raaz nhi 

Tilish-e-ishk


Tilish-e-ishk-khoo
Kho jana hi pyar hai
Jo hone ki umeed nhi tujhe
Wo ho jana hi pyar hai

Monday, July 7, 2014

Arzoo ki Justjoo

Arzoo ki justjoo
Ek MAIN ki talash tu
Kya chahiye zindgi ko ?
Bas tu rubroo 

Saturday, July 5, 2014

LADAKI BAHUT KHATI HAI

wo ladki bahut khati hai
wo ladaki bahut khati hai
kha kha kar moti hoti ja rhi
jaise koi chhoti hathi hai


wo ladki bahut khati hai
wo ladki bahut khati hai
i dont know
kaise wo pachati hai

kuchh kare n kare
lekin apni baton se wo sabko pakati hai
aur fir se khane mein lag jati hai 

Friday, July 4, 2014

Phulane Pachakne Wala Ghar


sunn meri darling 
main hi banuga tera var
rahne ke liye dunga dil
sahi samjhi phulane pachakne wala ghar
to HEY DEVI  ishk ladakar
mujhpe upkar kar
eshase pehle ki mera pura baal jaye jhar

mujhpe mar
lekin duniya se na dar
kyonki tujhe chhupakar rakhunga
in my phulane pachakne wala ghar
so papa ke house se khiskne ki taiyaari kar 

PHOOLJADI PHOOLJHARI


jab wo bolti hai

to lagta hai jaise ho phool jhari
ushke muskan mein wo mehak hai
mano ushke honthon pe ho phool jadi

mere aur mere mohbt ki wo ek anokhi kadi
jhuki nazar bhi ushka ek bar ja ladi
meri khatara pyar ki gadi ushke dekhkar agge badhi
aisi hai meri phooljhari 

MADH LIYA

tere ankhon se pyar ka path padh liya
tujhe dekha aur mann ne na jane kitne arzoo gadh liya
teri tasweer ko nazar na lage
isiliye ushe dil ki parton se madh diya 

LOOKdarshak


jitna kosna hai 

kos lo bharshak
lekin ham tere chehre pe marte hain
aur khuda kasam bne rahenge LOOKdarshak

ham tumhe bejod pyar karte hain
esh bat pe mat karna shak
duniya ko nazare se kya dekhen
i am only your ROOPdarsak

koi tumhe chhedega to nhi baithe rahenge
banke mookdarsak
ushka thothna phoola denge
because only i have the right to be your LOOKdarsak 

KALPANAO KI CHANDANI RATON MEIN

teri yadon se bat karte karte

meri har rat kat jati hai
kuchh achha lagta hai
aur komal mann bhi bahal jati hai
kalpanao ki chandani raton mein

mujhpe mohbaton ki baris hoti hai
jabki ham  chadar tale hote hain
lagta hai mujhse koi bat kar rhi ho
par ham aram se so rhe hote hain
kalpanao ki chandani raton mein

kisi ka sor kano mein hoti hai
jab rat sanate mein dubi soti hai
shayad wo mere chahat ki avaj
ya ushke mohabbat ki pukar hoti hai
kalpanao ki chandani raton mein

apne mann ki bat tu bol jana
mere ash-pas madhurta ghol jana
milna mushkil hai
kam se kam yadon se sapne mein utar ana 
kalpanao ki chandani raton mein 

Thursday, July 3, 2014

Gulaam baada ka

Gulaam baada ka,tum waada kya karoge
Do char bar dost kahoge esase jyada kya karoge

Word Meaning :
Baada - Sharaab

Wednesday, July 2, 2014

TUJHME SHAYARI

Ek bebaak nazar "SAN" shayar ki
Tujhme hame ek shayari nazar ati hai

Tuesday, July 1, 2014

Husn aur Husn_zan

Ye husn aur Husn_zan mere samne
kaise sambhalen hum khudke dil ko
Ki Hai aaj meri JaaN mere samne
Wadi - e - hayaat mein dekho !
ayi hai ek gul_fishaaN mere samne
suna tha kabhi "SAN" ne 
Ki Husn ka ishk par asar hota hai
ki hai aaj numaayaa.N mere samne

WORD MEANING :
gul_fishaaN = spreading flowers
numaayaa.N = evident
Husn_zan   = nice view


SHIKAAR

Ye husn wale bhi achha shikaar karte hain
kahne ko ishk aur paise se pyar karte hain