Thursday, December 31, 2015

2015 CHALI GYII

Shab-e-maahtaab wo akeli hii chupchaap chali gyii
Sabko intzaar tha 2016 ka 2015 apne aap chali gyii

Bin-Badan Waqt


Diwaron pe fir se jamaal


Diwaron pe fir se jamaal ayaa hai
Kagaj pe fir se nyaa saal ayaa hai
Budhiyaa December chalii gyii
January ka ab samne gaal ayaa hai

Urdu Word Meaning:
jamaal = beauty

Sunday, December 27, 2015

BAAL GYE


Tujhe yaad karte karte na jane kitne saal gye
Kitni baar samjhaya Kitni baar khudko sambhal gye
Ab to pathjhad ka mausam hai
Tension mein Mere sare Kale - kale Baal gye

NIkhar


Jade mein dekho kya khoob esh baar ayaa hai
Khushfehmi mein hai ankh ki nikhar ayaa hai

Saturday, December 26, 2015

Friday, December 25, 2015

MERI KALAM SE


Meri Kalam se Teri yaad ab nikalne lgii hai 
Kagaj pe haule-haule se tuu chalne lgii hai 
Kale alfaazon mein Noor jagmaga rhaa hai 
Ek chehra alfazon mein thodi dhalne lgii hai 
Ashiqi Tabiyat-e-Ghazal banke bahar ayaa 
har ek sher-o-shayari tum sii lagne lgii hai
jaa.n-fazaa ek chehra Meri jehan mein thii 
kali syaahi se gori ladki ab jhalakne lgii hai
Anginat Labz istiqbaal karne ko taiyaar hai 
sar-e-aa.iina mein koi chhalakne lgii hai
baab-e-qafas se bahar Halki si yaad ayii
"SAN" ki Sher-o-Ghazal ab bahakne lgii hai

Thursday, December 24, 2015

JANE KE BAD MILA

Mujhse tere jane ke bad mila 
Akelepan se puchhkar yad mila 
Aarzoo-e-shukhanvari ko tazgii 
Nye Rubai ko nyii buniyad mila

RUS MEIN RUSE


Wednesday, December 23, 2015

Shayari mein dub gya


Ek Tez Nazar labzon mein chubh gyaa
Use dekh shayar shayri mein dub gyaa

Friday, December 18, 2015

Shab-e-laat


Doston se maar khanewali raat fir se nikal gyii
Pehle waqt wqat tha ab waqt kahan chal gyii

Tuesday, December 15, 2015

SHAHAR KI DHOOL


Kitna dhool hai mere shahar mein 
Ki phool bhi ab kali banke niklti hai

Sunday, December 13, 2015

Daulat-e-yaar

Kagaj pe kalam ne lapeta
Husn-o-Daulat-e-yaar ki
Tera chehra padh padh
Fir aaj Likha hai hamne
Sher-o-shayari pyaar ki

Banke Sapna

Banke sapna jab ankhen band hai wo ayii hai
Shayad khuli ankhon ko wo pasand ayii hai

Friday, December 11, 2015

DIL FEKU


Dilfekuon pe ashiq hone ki aarop lagegi
Laal saari pehan lo tum top lagegi

Saturday, December 5, 2015

TABDIL KAR DOON


Shayari ki aaj ek bazm-e-mehfil kar doon
Alfaazon ko aaj dhadkan-e-dil kar doon
Bas ek mauqa de tu mujhe fir se
Tere chehre ko khayalon mein tabdil kar doon

ISTIQBAAL KARTA HOON


Aaj Labzon mein aapka jamaal bharta hoon
apne sheron mein aapka istiqbaal karta hoon

Urdu Word Meaning:
istiqbaal = welcome

Himmatwala


Friday, December 4, 2015

DAWA HO GYA


Ek jhalak mein din ka dard hawa ho gya
kya kahen tera chehra to ek dawa ho gya

Tuesday, December 1, 2015

KAI BAAT


Tera jalwa meri sharafat ko maat de deti hai
shayari ke liye tuu kai baat de deti hai

Monday, November 30, 2015

TAKRA JAO

Hayat-e-samandar se ek bar aa jao 
Beperwaah leharon si kabhi takraa jao 
Kitni khili hai gul-e-Gulzaar meri
Kisi subah apna chehra dikhaa jao

Saturday, November 28, 2015

IJAARA DIL


Ulfat-e-raah dil ijaara hua
tajadiid-e-vafaa hamara hua
kuchh Alfaazon ne khudko jana
I Love You ab ek nara hua

Urdu Word Meaning :
tajadiid-e-vafaa = renewal of faith/love
ijaara = lease

DURI MEIN


Raah-e-Ulfat se bhagaa main to majburi mein
Pyaar samajh ayaa hai tumse badhe duri mein

Thursday, November 26, 2015

Shayar ka Sher


Ankhon ko sukun thodi der de diya 
Shayar ko jaise usne sher de diya

Saturday, November 21, 2015

Dhanda-e-ishk

Dhanda-e-ishk log band karte hain,
Jb dil se log kisiko pasand karte hain

Saturday, November 14, 2015

Friday, November 6, 2015

Wo sharmili lakdi


Wo sharmili lakdi thi apni bat apne dhang se batatii thii 
Kabhi nazar jhukati kabhi hastii kabhi muskurati thii 
Kabhi khayal ataa tha uske labon se alfaaz utha loon 
Wahin jo har roj tabassum ke niche chhupatii thi 
Wo sharmili lakdi thi apni bat apne dhang se batatii thii 
Kabhi nazar jhukati kabhi hastii kabhi muskurati thii 
Shayar ke pass ab bas yaad hai uski 
Shayad wo badan-e-ulfat thi jo pehle nazar atii thii 
Wo sharmili lakdi thi apni bat apne dhang se batatii thii 
Kabhi nazar jhukati kabhi hastii kabhi muskurati thii

Jagir-e-jigar


Zindgi ne Jagir-e-jigar bna liya 
Tujhe dekhkar alfaazon ka nagar bna diya 
Ghayal hua kagaj ka kora badan 
Sheron ne ghazal idhar bna liya
Ranginiyat ki shamaa tha tera chehra 
Dheere Dheere labzon ne dekho shahar bna liya 
Maujon ki tarah hai tu aur teri har adaa 
Shukhanvar ne jaise kalam se lehar bna liya 
Apnane ke khayaal se nazar nahi dalii 
Lekin "SAN" ne kuchh apna magar bna liya  

Thursday, November 5, 2015

THAKAA HUA SHAHAR

Sham mein behad thaka hua shahar 
Amir caron se dabe road pe ab ayaa kahar
Betaab hain sab ghar pahunchne ko 
Bas Traffic jam kah rhi hai Thahar Thahar 

Wednesday, November 4, 2015

MOBILE-E-ISHK


Jab chahe main tu karte hain
Din rat guftguu karte hain
Phone ne dastuur badal dii
Ab ishk Be_Rubruu karte hain

Tuesday, November 3, 2015

SHAHAR KA BULB - GAWN KA DIYA

Kumhaar ki kalakarii ko aaj murjha diya
Shahar ki bulb ne gawn ka deep bujha diya

Monday, November 2, 2015

RUKH


Jb bhi meri taraf rukh karta hai inayat karta hai 
Nau_gul sa chehra ishk ki himayat karta hai 

Sunday, November 1, 2015

DIWALI KA DIYA


Diwali mein nahi jalta ab Kumhaar ka diya
Ish baar nahi ghar ayaa har baar ka diya
Bijali ke bulb ki charo taraf dhoom hai 
Kidhar gya wo chamaktaa tyohaar ka diya

Saturday, October 31, 2015

CHHOOTI CHANDANI

Dilwalon ko chhooti chandnii 
Kali raat ke aagosh mein hai
Kho gye hain do log kahin 
Bas Do dil hii ab hosh mein hai

DEEDAR PE DIL


Ankh dekhe dhadkan suruat kare
Har deedar pe dil ki bat kare

Thursday, October 29, 2015

ZINDGI KUCHH TO DILAYEGI


Malum nhi ye sansen hame kahan tak le jayegi
kisi manzil tak, ya kisi mod pe chhor jayegi
fir bhi  ham hamesh ki tarah  khush rahte hain
kyonki sanson sath rhi  to zindgi bhi kuchh  jarur dilayegi
 

Wednesday, October 28, 2015

PATHJHAD KA PATTA


Reshmi Zulphon se khelti ye pagal beparwaah hawa
uspe girta har pathjhad ka patta gehna sa lagta hai