Sunday, November 30, 2014

SU MITR

ek dusre ko kuta kamina aur pta nhi kya kya kahte hain
etna hone ke babjud bhi ye rista pavitr hai
tu bade vishwas ke sath kahta hai ,main tera dost hoon
aur ye ham bhi samjhte hain ki tu mera SU MITR hai 

SAAZ GHOONGHT MEIN


Kamre ke bahar akeli padi hai esme aya kabhi sargam nhi,
Ek saaz hai ghoonghat mein esne ki kabhi chham chham nhi,
Kisi kalakaar, kisi Funkaar ki Ungliyon ke intzaar mein hai ,
Ye kisko bataye Dhool lagati kabhi koi Marham nhi


Friday, November 28, 2014

RAT HO GYI


rat ho gyi chalo ankh munte hain
andhera chha gya chalo sapne bunte hain
kano ne din bhar shor sharaba suna
chalo ab apni sunate hain
din ne to bas bhagdaud ki zindgi di
chalo ab rat ko hi dost chunte hain
rat ho gy chalo ankh munte hain
sone ka samay hai
chalo YADON Ko KHAWABON KI KADAHI MEIN BHUNTE HAIN 

Thursday, November 27, 2014

Hum_damii

Gulabi thandh aur ye mausam shabnamii.
Dekho SAN ghas aur ush bund ki hum_damii


Urdu Word Meaning :
Hum_damii = friendship

Tuesday, November 25, 2014

PREMWAHAK


suruat karunga raje maharaje ke jamane se
jab prem sandesh le jata tha kabootar diwane se
aur yahin(kabootar)lata tha jabab mahooba ke mann ke mahkhane se
saal badla ,shadi badli 
aur sath mein badla premwahak
kabootar ki jagah dakghar ne li
mahbooba ke naam ke sath PINCODE likhne mehnat ashiqon ne ki
ye silsila bahut din tak chala
ye PREMWAHAK bahut phoola phala
koi pardesh se likhta tha
koi apne hi desh se likhta tha
wo antardeshi aur postcard har kirane dukan pe bikta tha
fir aya jamana
jisne kar diya ISHK TECHNOLOGYANA
PHONE har premiyon ke hanth mein aya
CALL ME MAY BE har mahbooba ne gaya
chithi ki jagah email ne liya
purane premwahak ki jagah ORKUT pe chalne wale SCRAP ke khel ne liya
ye silsila agge badha
fir thode hi saal bad logon pe FACEBOOK ka jadu chadha
ye(FB) to abhi bhi jari
hahaha,pta nhi ab kis PREMWAHAK ki bari hai 

Sunday, November 23, 2014

AAB-O-HAWA JAWANII KA


wo cham-cham karta chehra tha meri ranii ka,
Uska mukhda dekha mila kimat diidanii  ka,
Chashm-E-Tasavvur ki Sargoshi mein ab ISHK
Chal "SAN" badal de aab-o-hawa jawanii ka

Urdu Word Meaning:
diidanii = worth seeing
Chashm-E-Tasavvur : Eyes Of Imagination

Saturday, November 22, 2014

LE GYE

sharir  rha  mere  pas  baki  tu sab le gye
hame ehsas bhi na hua ki tum kab le gye
baten karta tha bas teri hi baten karta tha 
tere pyar mein duba tha shayad tab le gye
tere  jane  ke  bad aisa mahshus hota hai
ki  zinda to hoon par tum mera rab le gye
aaj bhi  hamm haste  hasate hain kyonki
yaden  rah  gyi ,mera sab tum jab le gye
ye "SAN" tumhe ab bulaye to kaise bulaye
tera  naam jo leta tha tum to wo lab le gye 

kuware gye


esh pyar ke chakar mein

na jane kitne majnu duniya se kuware gye
aur jinhone arrange marriage ki
wo bhi jhadoo aur belan se mare gye

har jagah rishk hai bhaiya
agar ladki mil gyi to packet samjho ankhon ke samne mare gye
aur ushke bhaiyon ne dekh liya
to hospital doston ke kandhon ke sahare gye 

Friday, November 21, 2014

khushhaal dil


meri gali mein bahut ladkiyaan hai

par hampe asar bas tumhara hai
tumhe pakarta hua
khushhaal dil hamara hai

i love you,i love you
ye SAN ka nara hai
tumhe pakarta hua
khushhaal dil hamara hai


cmon darling, cmon darling 
tujhe mere mann ne pukara hai
tumhe pakarta hua
khushhaal dil hamara hai 

KHUSH MIZAZI

zindgi ko maza lekar jiya to samjho
har sans ki kimat samjho vashool hai
ro ro ke bitaya to tu admi fizool hai
Apnao dildar logon ke jine ka tarika
Jaan jaoge khush mizazi kya ushool hai 

Thursday, November 20, 2014

wafa se rangiin nhi

hai zindgi, wafa se rangiin nhi,
tere hone se ishka tha, tere bin nhi
Qurbat-e-husn tha kuchh to
Ab muhbabbt mum_kiin nhi

Monday, November 17, 2014

BAHUT KAAM DIYA

Ankhon ko aram dil ko bahut kaam diya
Humnasiin tune mujhe Ashiq naam diya

Sunday, November 16, 2014

Bahte Labz


Labzon ko ankhon se bahte dekha
Khamosh ankhon ko kahte dekha

Saturday, November 15, 2014

sharar-e-Noor


sharar-e-Noor rangeen thi wo ankhen,
Chasm-e-hoor Nazneen thi wo ankhen,
zabt-e-shauq raft-rafta bahar aa gya
Mere Ishk ki sar zameen thi wo ankhen

URDU WORD MEANING :

Sharar = spark 
Nazneen = charming
sar zameen = Region Nation 
Chasm = eye

KHUBSURTI KA VITRAN


dekh ke unke chehre pe khubsurti ka vitran

karne lage ham unke mukhde ka sajiv chitran
pehle meri nazar ushke mukh mandal par gyi
aur na jane kyon ye ankhon apni gati bhul gyi
main ushe dekhta hi rha chaan ke chakor ki tarah
jab tak wo ki wo bus ki sit pe baith na gyi
ushke chehre se nazar hati bhi na thi ki ushki hanth dikh gyi
ushke nakhoono pe chamkte nail polish ki aor ankh ghum gyi

dekh ke unke chehre pe khubsurti ka vitran
karne lge ham unke mukhde ka sajiv chitran
ham unki adaon ko shawdon mein bharne lge
aur wo apni hathon se apni zulphon mein kangha karne lge
agle stop pe wo khubsurat ki devi utar gyi
aur meri ye chitran yahin tak rah gyi 

Kaam chalane ki bari



suraj dhal gya,ab chand ke ane ki bari hai

din yadon me gujara ab khawbon se kaam chalane ki bari hai 

Friday, November 14, 2014

Chaand pe badali


Ye Chaudwinn ka din
Chandani dhundhali kyon hai 
kali  kali zulfen uski
Ye chaand pe badali kyon hai

Thursday, November 13, 2014

Dil ne Dil ki bat Chalayi


bahut dur jo basti thi
ushe meri taqdeer ne bulayi
unhe ana hi pda
jab dil ne dil ki bat chalayi

wo utar kar asman se ayi
jab mere mann ne mann se guhar lagayi
maine unke liye dua manga
maine khuda ke agge hanth failayi

main pyar mein duba tha
aur logon ne kahan tune RAS RANG JAMAYI
hamne kaha ,nhi bhaiya ye esliye hua kyonki
dil ne dil ki bat chalayi

jab akele the to
khuda ne ruh ko rasta dikhayi
aur ushi ke eshare pe
dil ne dil ki bat chalayi 

Wednesday, November 12, 2014

WO DAFTAR JA RHI THI


wo bus ki khidki ke bahar dekh rhi  thi
aur main bus ke bahar nhi dekh pa rha tha
wo sajj kar ayi thi
aur main ushe apne shawdon mein sajja rha tha
wo bahut khubsurat thi
aur main ye bat apne shawdon  ko bta rha hai
wo daftar ja rhi thi
main bhi daftar ja rha tha 

Monday, November 10, 2014

CHAND NE AAJ PAHAN LI HAI SARI


aaj wo lag rhi hai puri nari
chand ne aaj pahan li hai sari
aaj wo lag rhi hai bahut pyari
chand ne aaj pahan li hai sari
gajab lag rhi hai ushki ankh kajrari
chand ne aaj pahan li hai sari
dilon ka shikar karne ki kar li hai eshne taiyaari
chand ne aaj pahan li hai sari
honth ushki lag rhi hai jaise ho phoolwari
chand ne aaj pahan li hai sari
bahuton ko lga degi wo pyar ki bimari
chand ne aaj pahan li hai sari
dekhne ko angeenat ankhen mein ho rhi mara- mari
chand ne aaj pahan li hai sari
hazaron nazaron ne ushki nazar utari
chand ne aaj pahan li hai sari
shayad ushne le li hai sabko pagal banane ki jimebari
chand ne aaj pahan li hai sari
en halaton ko dekhkar maine khud se kaha
"SAN" ab hai tere sambhalne ki hai bari
chand ne aaj pahan li hai sar 

Sunday, November 9, 2014

BEHTRIN ZURM


tere husn ka jadu chala aur rangin zurm kar baithe
tumhe ankhon ne dekha aur rangin zurm kar baithe
main to tere yadon mein hi har roj har pal duba rha 
lekin duniya ne kaha tum to sangin zurm kar baithe
par doston ne kaha khuda ka laakh laakh shuqr hai 
ki   umar   rahte   tum  ye  hasin   zurm   kar  baithe
ushki saalin awaaj  mein koyal ki boli si  mithash thi
tabhi to ham ishk karne ka ye namkin zurm kar baithe
log ham se puchhte rhe "SAN" ye kaise aur kab hua
maine kaha ,dil ke esare pe ye behtrin zurm kar baithe 

Friday, November 7, 2014

BATEN RATEN

wo ruhani baten
wo purani baten
kaise main bhulun
wo suhani baten

wo khayali raten
pareshaniyon se khali raten
tere pyar ke jaam
ki ho jaise pyali raten

aaj bhi yaad hai
wo baton ki raten
aur un raton ki baten
ham chahte hai ki
ye zindgi  unko yad karke katen 

Wo raten, Wo baten

badh gyi ashiqon ki ginti

mere dil ne ki unke dil se vinti
aaj badh gyi ashiqon ki ginti 

Sunday, November 2, 2014

ANDHERE MEIN


Noor ki Barish ho rhi thi,
Chaand andhere mein thi,
Hasin chehre ki mallika,
Wo nazaron ke ghere mein thi