Tuesday, December 31, 2013

ARZ se Pehle

Arz se pehle hum aaj agaaz karenge
kuchha aise harf byaan karenge ki aap bhi khud pe naaz karenge

Sunday, December 29, 2013

Sail-e-ashk

ishk ke sare tohfe sail-e-ashk mein vah gye,
hum to bas ek deewanaa banke  rah gye,
kahni thi tujhse jo apne dil ki sari bat
wo unn jaam-e-paimaano se kah gye,             

word meaning :
sail-e-ashk = flood of tears
                   

Judai ke bad jana

jaam-o-shiishaa-o-paimaanaa
Tujhse judai ke bad sabko jana

word meaning :
jaam-o-shiishaa-o-paimaanaa=bottles and glasses of wine

Saturday, December 28, 2013

Ek Chehra khwaab ka



Bahut pyara tha

Wo ek chehra khwaab ka
Subah jab apko dekha to hum samjhe
wo chehra tha apka
mushkura rha tha
wo ek chehra khwaab ka
subah jab apko haste dekha to samjha
ye mushkan tha apka
pyari-pyari ankhon se sajja tha
wo ek chehra khwaab ka
subah jab apne ankh mari to hum samjhe
wo dharohar tha apka 

Dekhte hain

tere liye pyar kam na pad jaye 
isiliye ladkiyon ko kam dekhte hain
usi bhid se tu ayegi ye sochkar
unhe hum dekhte hain
ush anjani rani se humne ishk kiya hai
chalo ab apne mohbt ka dum dekhte hain
                                    inn ankhiyon se unhe dekhna chahte hain
                                    jinhe sapne mein hum hardum dekhte hain 

Badua mein Dua

tum bahut achhi ho,aur achhayi ke alaba tum kya dogi
mere liye to,teri badua mein bhi ek dua  hogi 

Ishk ka kaam zillat ka

Ishk ka kaam zillat ka 
Kabhi hasi udwa liya kabhi dil tudwa liya 

Friday, December 27, 2013

Adda-e-ishk

Dil mein hii  har  waqt rahte  hain dil dukhanewale
Ankhon ko hi rulate hain ankhon ko pasand anewale
kitna samjhane ki kosis karta hai uparwala
lekin Adda-e-ishk na samajh paye ishk jatanewale

Kash aisa Hota

subah alarm ki jagah
unke chudiyon ki khankhan hoti
pakau gano ki jagah
kano mein payal ki jhanak hoti
main udas ho jata 
to mujhe wo "love you darling" kahkar chumti
main uspe marta
aur wo mere liye jeeti 

Fir dar hai

Aaj fir hme muhhabbt hai
aaj fir hame thoda dar hai
khuda ne jo dil diya tha
wo aaj fir kisi ka ghar hai

Aaj Bhi

dil ko muhhabbt, dimag ko  aitraaz hai
kal bhi ye raaz tha,aaj bhi ye raaz hai 

tere gesu

Teri husn tab rangat-e-ishk se nikhare
tere gesu jab mere chahre pe bikhare

Word Meaning :
Gesu :Hair

qaafir dil

Karna chahoon ishk lekin dil qaafir hai
Malum nhi mujhko ye kaisa musafir hai

Wednesday, December 25, 2013

Sans Abhi Baki hai

Naumiid nhi hoon khudse,ash abhi baki hai
karne ko bahut kuchh,sans abhi baki hai

Monday, December 23, 2013

Ladki patanewale

Hanthon mein gulab lekar chale hain ladki patanewale
Mushqil raah-e-muhbbabt ab kya karenge dilwale

Sunday, December 22, 2013

Mast Shikast



Bhula apni sarafat Mere liye ye Shikast tha
niiyat-e-mayakashii meri ankh bhi Mast tha
Dhadakno pe kabu karne ki kosis karta rha
Par kya kare "SAN" Nazar Husn-parast tha


Urdu Word Meaning :
niiyat-e-mayakashii = intention of drinking
Husn-parast=Beauty Loving
Shikast=Haar            

JAAN ko jaan mil jaye

parmatma kar kuchh aisa
ki zindgi ko jaan mil jaye
mere marne se pahle hi hame ek pran mil jaye
                                parmatma kar kuchh aisa
                                ki zindgi ko "jaan" mil jaye
                                mera jivan rhe n rhe 
                                lekin meri JAAN meri jaan ban jaye 

TUMPE MARTE THE -TERI YADON MEIN JITE HAIN

kabhi tumpe marte the
aaj teri yadon mein jite hain
hum koi devdas nhi
isiliye aaj bhi pani hi pite hain(sharab nhi)
                                   jaan jaan kal tumko kahte the
                                   mere pas bas apni jaan hai ye khudko kahte hain
                                   kabhi mera chand dikhta tha
                                   ab uske ahsason ke diye jalte hain 

Saturday, December 21, 2013

लघु लव

mujhe tumshe karni hai laghu love
agar taiyaar ho to batao 
tere pass aunn kab
                                          aajkal kisi ke pass jyada time nhi hai
                                          isiliye mujhe karni hai laghu love
                                          lekin ye sab hoga ,tum haan bologi tab 

Labz zuubaan.N par

Tarif mein labz aa hi jate hain zuubaa.N par 
Jb bhi nazar jati hai khuubaa.N par 

Urdu Word meaning :
Khuubaa.N=beauties (beautiful ladies)

DIL KA TAAR


mere dil ne tere dil ko taar diya hai
dhadkno ne pyaar ka istihaar diya hai
Khud ne dhadkano  se sazzi zindgi thi
tere sath ne tilism-e-bahaar diya hai
merii anginat ninden niilaam huyi hai
jin raton apne yadon ka haar diya hai
Salaam-e-ishk kabool kijiye "SAN" ka
tahariir ke waste jo apne pyaar diya hai

Urdu word Meaning :
tahariir = writings
niilaam  = auction

Arz-e-gadaii

Naam dekar nemat ka
khuda se arz-e-gadaaii karte
Kaise bhikhaari hain ye
jo uparwale se farmayish karte hain

Kahne ko Labz nhi

Kahne ko labz nhi
Esase jyada kya kahoon
Tu meri hai koi nhi
Fir mein kuchh kyon kahoon

Friday, December 20, 2013

Teri Fariyaad kya hai ?

Aii Dil btaa teri fariyaad kya hai ?
Ulfat ka shiva tujhe yaad kya hai

Saturday, December 14, 2013

Dost Ka Dosh



agar dost mein kuchh dosh hoga 
to ushe ye dosh dikhayenge
chahe wo kamina bole ya jalanshil
ye bat hans kar sah jayenge
lekin jo sach hai wo to kah hi jayenge 

Friday, December 13, 2013

Fasaanaa-e-Muhabbat

Muddaton ke bad samjhe dil ki mansa
muddaton ke bad hum jane muhabbat,
Nikal paden hain jigar lekar apna
Kismat-e-ishk ke sath Ajmane muhabbat
Man mein pal rhe bazm-e-tasavvuraat
ke liye,khuda-e-ziinat se pane muhabbat
"SAN"Dhundh rha hai dilruba ko kuu-ba-kuu
Pta nhi kya hoga meri fasaanaa-e-muhabbat,


Word Meaning :

manshaa                    = intention
mudat                        = after a long time
Kismat-e-ishk            = fate of love
bazm-e-tasavvuraat    = gathering of thoughts/imagination
khuda-e-ziinat            = GOD of beauty (GIRL)
kuu-ba-kuu                = from street to street
fasaanaa-e-muhabbat = tale of desire

DO CHAND


Kuchh ghante ke liye din
Kuchh ghante ke liye rat hota hai
Kabhi ush chand ke darshan
Kabhi ish chand ka didar hota hai
Ek ko dekhkar jagta hai pyar
Aur dusre se pyar hota hai
meri nhi ye sabki hai kahani
kyonki har kisi ke zindgi mein
Do chand hota hai 

DIL VADAR

kai khayaalon ko hamne dil vadar kar diya
Kuchh tanha hame usne esh kadar kar diya



Wednesday, December 11, 2013

Harf-e-Talab

Rog-e-ishk hota hai tab karte hain
Hasinao se log harf-e-talab karte hain
Main bas tere sath jeena chahta hoon
ye kahne ki galti to hazaron lab karte hain

word Meaning :
harf-e-talab = words of pleading
Lab             = lip



Tu ab Na chhup paogi




Andhera apne sath laya hoon
Meri chand ab tu na chhup paogi

Sunday, December 8, 2013

IZHAAR-E-MUSARRAT

chehre pe dekho izhaar-e-musarrat meri
dil ne hai tujhe banaya mazahar-e-ulfat meri
dekha tha ek gul fasal-e-bahaar mein jo
hasin dilrubaa tu bni hai kismat meri


Word meaning :

mazahar-e-ulfat=symbol of love
fasal-e-bahaar=season of spring
izhaar-e-musarrat=show of happiness

Saturday, December 7, 2013

Sharab huyi

jb Angoor sadd sadd ke kharab huyi
to logon ne kaha ab ye sharab huyi

ajmana nhi

Ashiq ki ye mushqil zindgi
Rah-e-ishk yuhin jana nhi
Dil mein pyar ka aag hai
eshe yuhin ajmana  nhi

sharaft tapak jayegi


etna ILU ilu mat kar

mere chehre se meri saraft tapak jayegi
main to flirt hi karunga
par LOVER ki lable lag jayegi 

MUHH Fula leti ho



Jab bhi sarab pee kar ata hoon to hamse naraz ho jati ho
Agar nase se etni hi hai nafrat to ankhon se kyon pilati ho.
Jb bhi kisi ladaki pe line marta hoon to mujhse chidh jati ho.
Agar aisa hi hai to line marne ka trick kyon shikhati ho.
Ladkiyon ko niharta hoon to muh foola leti ho
Fir main sabse achhi dikh rhi thi n,ye sawal kyon farmati ho. 

ISHK INSTALLATION

bina kuchh mange hi
bhagwaan ne mujhe malamaal kiya
bhagwaan ne mujhe dil naam nam ka ek hadware diya
jisme meri darling ne ishk install kiya
                                     khuda ne pyar se bhara ek thaal diya
                                     aur ushe fasane ke liye ashiqi naam ka ek jaall diya
                                     GOD ne  mujhe dil naam nam ka ek hadware diya
                                     jisme meri darling ne ishk install kiya
main normal tha yaar 
lekin ushne mere bheje mein ishk naam ka kida daal diya
bhagwaan ne  mujhe dil naam nam ka ek hadware diya
jisme meri darling ne ishk install kiya 

DANK MAR GYI

Chand palon mein hi apna pyar  
wo mujhpe bikher kar gayi.

mujhse pyar ka gunaah hua
aur wo labon se labon pe
hasin rangin dank mar gyi
labzon mein kuchh nhi kaha

aur honthon se sab kah gyi 

Friday, December 6, 2013

sajana sawarna

jayada waqt mat biyayiye sajane sawarne mein
ashiqon ka kat jayaega din bas anhh bharane mein

Monday, December 2, 2013

Yadon ki Awas

Bin puchhe aapko khas bna baithe .
Apne man ko apke yadon ki awash bna baithe .

Sunday, December 1, 2013

Bakht_aazamaa_ii

Ek hi tar khuda ko wo sab ki rah_numaa_ii karte hain .
Humara bhi tumhara bhi unka bhi jo gadaa_ii karte hain .
Kaise kare farq wo ek malik sabka .
Sirf hum nhi wo bhi  baKht_aazamaa_ii karte hain


Urdu Word meaning :
Rah_numaa_ii - showing path
Gadaa_ii begging
Bakht_aazamaa_ii- testing one's fate/luck

unka mushkuranaa


na badlon ka hona na barish ka anaa 
dilkash lagta hai to bas unka muskurana
 

mushkilon ka mazza

kanton se bhara rasta bhi ashaan lagne lgi hai
kyonki ab zindgi mushkilon ka mazza lene lgi hai