Saturday, August 30, 2014

NEEM NIND KA KHWAAB

Puraa hua Neem nind ka khwaab,
Pyaar se diya pyar ka laal Gulaab,
tishnagii thi unse pehli mulaqat ki,
Aaj ek pak dil_sitaaN kaam yaab



Thursday, August 28, 2014

khubsurtikaar


ush khubsurtikaar ko main kya kahoon ?
jisne tujhe etna behtrin madak banaya
sone ke jaisa ek dhadkta dil gadhkar
gora rang tere sudaul sharir pe lagaya
Ek nek pak ,saaf suthra mann dekar
gulabi meeti, tere adharon pe sajaya
Mere ankhen Gulaam teri adaon ke 
Teri khubsurati ne ek nya Gulaam paya

Pehne Kurti

dekhkar uski khubsurti 
ban gya main ek murti
dono ankhon ki to gyi 
puri ki puri echhapurti
Jab ayi mere wo samne
Pehne Dupatta sang kurti

Wednesday, August 27, 2014

ISHK KI ABROO



dil ki shohbat,ulfat shuroo
Labon ne liya lab choo
Na hosh,Na iKhtiyaar hai
Mil gyi ishk ko ab abroo 

Saturday, August 23, 2014

ANKHON KI BEHOSHI

Enn raton ki khamoshii
Enn taron ki saragoshii
Khawbaab ayi dekhne
Enn ankhon ki behoshii

YE SHAB NAQAAM NHI


Aftaab chhupa ab falak neelee_faam nhi ,
taKhliiq-e-fan uparwala arsh se dikha rha,
fusuu.N dikhate taron ko ab araam nhi ,
hubaab ki tarah andhere mein kho gyi duniya
Nind ayi to bola "SAN" ye shab naqaam nhi,


Urdu word meaning :
neelee_faam = blue
taKhliiq-e-fan=creation of art
Hubaab = bubble

Friday, August 22, 2014

ESH-DIL-AZIZ


esh nachij ke liye beshkimati chij ho tum ,
dilruba,janeman aur ESH-DIL-AZIZ ho tum ,
mere zindgi mein ishk naam ka darkhat lga ,
wo beej ho tum ,

MAUN THE

Dhadkano ki Guftgoo,do log maun the 
Jinki nazaren bat kar rhi thi wo kaun the

Tuesday, August 19, 2014

HUA KYA HAI?

Bina labz sune samajh leta hai ,akhir hame hua kya hai?
Yaar,dost,habib sath hain fir uparwale ki dua kya hai

Sunday, August 17, 2014

Meetha Namak



Tere honthon pe chamak
Wo halka meetha namak
Ishk hai ye,mere labon pe
Tere Labon pe chhamak


Friday, August 15, 2014

chaton ki chhapayi

dene chala wo apni safayi
after doing bewfayi
lautkar aya to karne lga hayi re hayi
maine puchha "kya hua bhai"
to usane kha "dikhta nhi kya mere gaal par chaton ki chhapayi"
maine puchha "lekin tu to dene gya tha safayi"
to ushne bola "han yaar,lekin hamari baten sunn li uski mayi"
ushke bad aya ushka bhai
aur suru kar diya " chaton se gaal rangne ki karwayi"
fir maine puchha"kya tune bahut jayada mar khayi"
to wo guse mein bola "nhi karwane gya tha gaal shekayi"

maine fir man hi man bola"kya jamana aa gya hai dene gya tha safayi ,ho gyi dhulayi"

Wednesday, August 13, 2014

Main khwbaab mein tha

Uska hii ziqr ishk ke har ek baab mein tha
Nazar nhi aya mera chand hijaab mein tha
Yadon ke hamne jab kuchh panne palte
Ek sukha hua Gulaab meri kitaab mein tha
Raat ke andhere mein jab nazar uthaaya
Uska chehra shab-e-mahataab mein tha
Wo paas thi mere kandhe pe gesu biachhaye
Aftaab se pta chala main khwbaab mein tha
Hayat ne mere dil se muhbabbt chhin lee
kya koi kami "SAN" ki asbaab mein tha

Word Meaning :
Aftaab = sun
mahataab = moon
asbaab = Motive


Monday, August 11, 2014

RANG-E-JAMAAL


Nigaahon ne chumma tha rang-e-jamaal tera
Wo Nooraani chehraa Wo Gulaabi gaal tera
Jab bhi Shab-e-mahtaab ko dekhta hoon
Tab band ankhon mein ata hai Khayaal tera

Word Meaning :
rang-e-jamaal : Colour of Beauty


Saturday, August 9, 2014

Pardafash ki hai

raaz-e-nihaa.N dil ne dhadkno se puchhtachh ki hai
Be_intahaa ishk hai tumse ye baat parda fash ki hai

Friday, August 8, 2014

Diwaane mein kya tha

be qaraar,be sabr ,be taab aur Diwaane mein kya tha
Reshmi zulfen,noorani chehra dikahene mein  kya tha
Raah-e-Ulfat mein bhatkaa hua ek dil_sitaaN main
chasm-e-baddoor teraa mere paas aane mein kya tha
raanaai-e-KHayaal mere dhadkano se baahar aate rhe
Pyar tha ,ishk tha Raaz-e-waffa chhipane mein kya tha
Waada tha mera Ye jaan tumhaari ,ye jaaN_sipaaree
Kuchh aisi hii baate.N aur ush Afsaane mein kya tha
Dhadkano ki Guftgoo ek daastaan-e-tabassum
Muhabbat meri khudaya tujhe Dilwaane mein kya tha ?

Urdu Word Meaning:
chasm-e-baddoor: God preserve from evil eyes
dil_sitaaN = lover
raanaai-e-KHayaal = tender thoughts
jaaN_sipaaree = resigning one's life into the hands of another
daastaan = story
tabassum: smile/smiling

CHASMA AASH KI

lgakar ankhon pe chasma Ash ki
karte hain ham Ashiqi
shadi kar lenge ham ushase
bas manzuri mile sarur aur shas ki
fir to chandi ho jayegi
mere barhon mash ki 

BEGUM KA BELNA

begum ka belna
shadi ke bad har mard ko hota hai
esh hathiyaar ki maar jhelna
pitkar bhi pdta hai
chup-chap rahna
kyonki sabko darr hota hai
ki fir se ho jaye pitayi wala kahin khel na

begum ka belna
jiski maar kabhi jaye fail na
esh ghatak hathiyaar ki hai
duniya mein koi mel na
agar aap shadishuda hain
to apna anubhav TELL na 

BANKE TARAB

aap mere rab
aap mere khush rahne ka sabab
esh zindgi ke liye ye bhi bahut hoga
agar aap banke rahen sath,banke tarab      

Word meaning :
tarab=joy 

Tuesday, August 5, 2014

RANGBHED NEETI

Dil mera bhi rangbhed neeti ka shikaar ho gya
jab nazaron tere gore chehre se pyaar ho gya

Sunday, August 3, 2014

AISA KAB TAK CHALEGA

dasht-e-Khaamoshii Umid ka diya kab tak jalega
Zindgi bina Baankpan,"SAN" aisa kab tak chalega

Word meaning :
dasht-e-Khaamoshii = silent wilderness
Baankpan =smartness 

Saturday, August 2, 2014

kaj-nazar wali mahtaab

Alfaz - e - dil,mere dil ki bat samne ayi 
aaj kaj-nazar wali mahtaab samne ayi

BAHON SE


nikal na jana tum meri baahon(arm) se
tera hi naam nikalega meri har aahon se 

BAJ RHA HAI GAANA

logon ne samjha baj rha hai gaana
jab apna haal suna rha tha deewana