Monday, September 26, 2016

Jeet ki Gunjaish

Jaan hai to jor azmaish bhi rahegi
Khawaab hai Khwaish bhi rahegi
Haar se samna ho sakta hai
Lekin Jeet ki gunjaish bhi rahegi

Dosti ki darkhwast


Jawaab tumhe pasand nhi aayegi fir kyon Sawaal daal rakhen hai
Dosti ki darkhwast de dekar Facebook pe Tumne Dushman paal rakhen hai

Sunday, September 25, 2016

Dil Se Thumka


Dilwar didaar pe dil ko thumka lga lene de
sher mein alfaazo.N ka jhumka lga lene de

Thursday, September 22, 2016

Hum Chalen Hain

Ek raah pe kabhi do bhi milenge
Hame chalen hain kabhi wo bhi milenge

Sunday, September 18, 2016

SHAUQIN Sher


Sher bhi bahut zidi aur shauqin ho gya hai
Tere Bina na suru hona chahta na khatam

Sheron mein Sile

Apne lfazo.N ko shero.N mein sile huye dekha
Khayalo.N ko jab kagaj pe khile huye dekha

Friday, September 16, 2016

Jeet rhi hai

Ye waqt jo mera tere sath bit rhi hai
Main haar rha hoon tuu jeet rhi hai


Tuesday, September 13, 2016

Shahanshah-e-Ghazal

Goonjte Nagame.N puchhte hain mera Fankaar kidhar gya
Be_labz Ghazalon ko pta hai Shahanshah-e-Ghazal apne shahar gya


Monday, September 12, 2016

badal dii hai zindgi ne


Talashane manzil Nye Rahon pe chal dii hai zindgi ne
kal ke qarnamo.N ko yadon mein badal dii hai zindgi ne
Fir bhi Waqt ki dhool uddi jati hai ek tute tasweer se
Purane naaseho.N ki nyii ko.npal dii hai zindgi ne

Urdu word meaning:
ko.npal = sprout
naaseh = good friend

Sunday, September 11, 2016

Jasoos


Jasoos ki tarah labo.N ne Labo.N se puchha
Ya to meri khatta bta ya Pyar ka pta bta

Saturday, September 10, 2016

ARREA DADA


orkut ka didaar

orkut ki didaar ko jo kabhi taraste the
Facebook ki nili-nili ankhon pe fisal gye
Jab Jawaan thii uske bahut ashiq the
Thodi Budhi huyii to sab badal gye


Har ek nazar

Har ek nazar dusre ko paraii samajhtii hai
Apni hii soch ko sachaii samajhtii hai

Friday, September 9, 2016

Kaam mein kya Buraii hai

Taqdeer se baat karni hai hamen Zindgi ne awaz uthaii hai
Chhote Kaam ne kitno ko bada kiya kisi kaam mein kya buraii hai


Bhagte Rhe

Pareshaniyaa.N hamesh unke paas rhi
Wo jo Pareshaniyo.N se bhaagte rhe

Sunday, September 4, 2016

Bhadkav ki Aag


Bhadkav ki aag bujhaakar ab Badlaav ki baat honi chahiye
Zakhm badhne laga hai ab har ghav ki baat honi chahiye 
Chaman Jalane wale kuchh log petrol le ghum rhe hain
Barf ki chadar jalne se pehle nye padaav ki baat honi chahiye