Saturday, July 30, 2016

KHush-imkaani se

Hai hazaar hasrate.N Zinda KHush-imkaani se
Aayegi koi bahut achchhi khabar teri kahani se
Mushqilen jodnewale ne apni mushqilen badha lii 
Achchhe ki aas se Mushqil hal kar gya koi asani se
Manzil ki bas umiid se bahut raah bna gya koi
koi khudko gherta rha roj ki nayi nayi paresani se
Charo taraf mai tuu ki ladai se Na-khush Zamana
Koi laga rha hai Aag koi jeet rha hai pani se
Kai kho rhe hain "SAN" galat-fehmiyon mein 
Badh rha hai koi aage kahin jazb-e-iimaanii se

PANI SE

Umiid se jaldi wo haar gya asani se
Aag ka khel tha main jeeta pani se

kimsat banana


Sunday, July 24, 2016

SANSON KI IZAZAT


CIGARETTE KI BHATIYAAN



Kabhi tension ki baat ke sahare 
Kabhi khushi ka sath pakar
Plastic wali chaigaah par
Cigarette ki bhathiyaan jalti rahti hai
Ye bhatake huye logon ka zamana hai
Ye bahanewaazi chalti rahit hai

Wednesday, July 20, 2016

GHERA TERA

Tuu bne dilkash Gulkhana main ghera ho jaunn
Chand aaye bahon mein main sabera ho jaunn


Sunday, July 17, 2016

manzilo.N ka pata

Naqamiya.N manzilo.N ka pata lagatii hai
Andhera aksar Ujaale ko Rasta dikhatii hai
Mushqilen chila chila bolti hai "Ye hai tera rasta"
Ye to Nazar hai "SAN" jo aksar dokha khatii hai

KINARE SE


Uthaya hai kuchh tumhare se
Labon se Labon ke kinare se

sada nikal rhi hai

Honthon ke paas se mai-kada nikal rhi hai
Nazar ke pados se teri ada nikal rhi hai hai
Ek tezi hai dono pairon mein aaj tumhare
Fizaon se aaj mashahoor sada nikal rhi hai

Urdo word:
mai-kada=wine shop


Saturday, July 16, 2016

JINE SE


Dhadkan samajh Sari baat sine se aata hai
Ashiq mizazi tere sath jine se aata hai

Monday, July 11, 2016

Allah-e-deed

nayi samo.N ko bujhanewalon ka naam tumne shaheed rakha hai,
pichle saal ki badh mein bahnewale medhak se umeed rhakha hai,
fikr-o-nazar ko dahastgardi bhi samajh nahi aati ab to 
apne chaman ko udanewale kis waste ye Allah-e-deed rakha hai

Sunday, July 3, 2016

hukm-e-waqt

hai hukm-e-waqt Savari aaj ki karo
kal to aaj ke aage pichhe chalti thi chalti rahegii
Urdu word meaning:
hukm-e-waqt=command of time

ghadi ki

wo bade bado.N ko daudata hai
waqt ko jarurat nhi kisi ghadi ki chalne ke liye

ALIBAABA

Ye bhi hai chor wo bhi hai chor ye fir se daaba ayaa hai,
Delhi mein paak muffler pehan ALIBAABA ayaa hai