Saturday, May 28, 2016

QAMBAL HO GYE

Sard mein mere liye qambal ho gye
Wo Gale lage hum muqamal ho gye


Monday, May 23, 2016

BATAANE DO

Andar ki baat baahar tak ab aane do
Ulfati dil ko thoda aur jor lagaane do
Koi aur kyon kahe Kisi aur kii unkahii 
ashiqi Uski baat hai use hii bataane do


Sunday, May 22, 2016

KAMIINO.N PE


Hasiino.n ka asar hua hoga KHaak-nashiino.n pe 
Kash kisi ki koi inayat ho jaye hum kamiino.n pe

Urdu Word Meaning:
KHaak-nashiino.n=ascetic

NAQAL KE LIYE SHAQAL


Saturday, May 21, 2016

Thursday, May 12, 2016

OUTDATED SHAYAR


Sare shayar aajkal outdated chal rhe hain.
WhatsApp aur Kindle ke zamane mein khat aur kitaab ki baat kar rhe hain

Sunday, May 8, 2016

jeb hua bimaar

Gawn ka mausam sadabahar tha
Mauj, masti aur tayohaar tha
Thoda ladai, thoda jhagada 
Lekin insaniyat wala pyaar tha
Garmi mein loo, jade mein shitlahar
kuyen ka pani to kabhi alab taiyaar tha
Sab kuchh ghar pe milta
Baki ke liye Ek chhota sa bazaar tha
bahut Dost chhod aaye wo gawn
Jb paise ki kami se jeb hua bimaar tha


Saturday, May 7, 2016

Alfaazon ko dilwaye.N


thoda aap sharmaye.N
thoda hum farmaye.N
Aapki rangiin rangant
Alfaazon ko dilwaye.N

Friday, May 6, 2016

AAJ NHI


Gawn ki gareebi aur Gareeb dekhene wo aaj nhi ayenge
Chunaav ka waqt hoga to vikas ki bat kahne se baaz nhi ayenge

KHOJ NA KAR

Ek hii galati  tuu roj na kar
Jo hai bahut hai aur ki tuu khoj na kar

Sunday, May 1, 2016

Dil-e-shab

Dil-e-shab Tuu Maahtaab hai
Main hoon nind tuu khwaab hai
Uth rha hai ishk ka dhunaa
aag ke sine mein tuu aab hai