Friday, February 27, 2015

IFLAAS


Har taraf dekhta hoon bas naashaad iflaas hai
Pani mil jata hai ab to sabko paise ki pyaas hai

WORD MEANING :
iflaas=poverty

Thursday, February 26, 2015

Dil Ne Badla Thikaana


 karke hamse bahana
dil ne badal liya apna thikaana

   maine puchha akhir kyon?
    to wo bola tu ho gya hai deewana 

Dhadkno Ki Chakkar


sansen dhadkano ki chakkar aakhir kab tak lagayegi
unka entzaar karte-karte ek din ye bhi thak hi jayegi 

Saturday, February 21, 2015

doshiizaa.e.n


rang, ruup aur muskaan Allaa btaa aur kitni adayen hain
Har labz kaano ko chum leti hai eitni mithi sadaa.e.n hain
Chal jaise nasiim-e-sahrii, mizaz jaise jhumta laal kanwal
Har taraf wo hi wo dharti pe ayi kitni doshiizaa.e.n hain

WORD MEANING :
sadaa.e.n=voices
nasiim-e-sahrii= morning breeze
doshiizaa.e.n= girl 

ANKHON SE BATAO


Ao paas mere kuchh duriyon ko ghatao
Kya hai bat dil mein ab ankhon se batao


Wednesday, February 18, 2015

ANKHON MEIN


Ab teri tasweer hai meri ankhon mein 
bas ek tum hi pasand aye lakhon mein

Saturday, February 14, 2015

TIJORI MEIN


Parde se bahar ayaa dikha kya tha tijori mein,
khubsoorti khuda ki mehnat ka dikha gori mein

Friday, February 13, 2015

libas-e-tabassum



Honthon pe pehne huye libas-e-tabassum
Behad hasiin,khubsoorat dilkash ho tum

Wednesday, February 11, 2015

PURI KARNE KAHANI

tumhe yaad karta hai mera ye ankhon ka pani,
ab to aa jao puri karne meri kahani

Sunday, February 8, 2015

zindgi se jakar


zindgi se jakar bhi
  mere yadon se na nikal paogi
     bharosa hai ki jab bhi mujhe teri yad satayegi
       tu mere sapno mein aa jaogi 

Zinda Kohinoor


aaj hame ek zina kohinoor mili thi
en ankhoon ko hasin  noor mili thi
aaj bahut khush hoon yaaron kyonki
rahon mein ek kamshinn hoor mili thi
ushki hari churiyon ki khanak mein
mere dhadkano ko ek sur mili thi
SAN ko kuchh mile na mile
ek ajib  gudgudi to jarur mili thi 

WO AYE KABHI KABHI


main chahta hoon ki wo aye kabhi kabhi
main chahta hoon kuchh wo kah jaye kabhi kabhi
ushke liye dil mein dher sara pyar pda  hai
meri dhadkano ko wo loot jaye kabhi kabhi
band ankhon se to unka hi didaar karta hoon
kash chehra bhi en ankhon ko wo dikhaye kabhi kabhi
pyar karne wale apni parwaah nhi karte hain
chahta hoon hame bhi wo aajmaye kabhi kabhi
hash hashkar muh thak gya hai khushi mein hi sahi 
main chahta hoon wo hame rulaye kabhi kabhi
SAN ke ankhon mein base pani ka kuchh to matlb hai
mere ankhon se anshu wo bahaye kabhi kabhi. 

Saturday, February 7, 2015

gauhar-e-shaahvaar


Chehre se zulf hatii nazar ke samne yaar ayaa
sadaf se bahar jaise gauhar-e-shaahvaar ayaa
Un surmai ankhon se hazar sawaal hamne kiye
Unki jab Jhuki chasm, naama-e-dildaar ayaa
kisi bat se thi wo khush, kisi bat pe jb muskai
Shurkh honthon pe haule se purbahaar ayaa 
Unke bina zindgi labz aur alfazon ki zindgi thi 
Wo ayi samne to mujh tak fasal-e-bahaar ayaa
"SAN" ki bahon mein ayi, labon se bat huyii
shukhanwar hoon unke liye fir ashaaar ayaa

sadaf=a shell
gauhar-e-shaahvaar=a fine royal pearl
naama-e-dildaar = love letter
jamaal= beauty
chasm= eye
purbahaar=in full bloom
fasal=season 
ashaaar=couplets

Friday, February 6, 2015

BAT DIL SE AYEGI

Na labon se na labzon se kahi jayegi
Ishk hai dil ki bat, ye bat dil se ayegi

UMID RAKHTE HAIN


aaj bhi tumhe hamm pane ki umid rakhte hain
aaj bhi dil se dil milane ki umid rakhte hain
zindgi manzil ki khoj mein bhatak rhi hai par
par tere sath ghar basane ki umid rakhte hain
janta hoon ki tum hamse bahut dur rahti hai
par tujh takk pyar failane ki umid rakhte hain
manaa ki duniya mera rasta roke khadi hai
par tumhe dil takk lane ki umid rakhte hain 
ye bhi ho sakta hai ab tu mujhe bhul gyi hogi
par ham fir se pyar jgane ki umid rakhte hain
ho sakta hai udasi teri saheli ban gyi hogi
lekin ham gam ko hrane ki umid rakhte hain
janat hoon ki pyar nafrat ke kabje mein hai
par tujhe mehbuba banane ki umid rakhte hain
etne saalon tak tu "SAN" ki hamsafar nhi ban payi 
par tere sath sat fere lgane ki umid rakhte hain 


Image source Link

Wednesday, February 4, 2015

TUMHI BATAO


tumhi btao kisi aur se pyar kaise kar payenge

ek dil tujhe diya hai, dusra kahan se layenge 

Monday, February 2, 2015

JHUKNE KI RIVAAYAT


Ankhon ko kahiye chhor de jhukne ki rivaayat,
Ye sharm-o-hayaa ye chhupi chhupi si inaayat,

Urdu Word Meaning :

inaayat=favour
rivaayat=tradition