Friday, January 29, 2016

SABKA MUHRA BHAGWAN

Maulvi, pandit aur Pop jisko Raj karna tha usne tera istemaal kiya,
Kai naamon wale ek uparwale Tuu to logon ka muhra niklaa

Thursday, January 28, 2016

KUCHH BATANA KUCHH CHHUPANA

Meri shayari hai tera fasana hai
Ye Meri kalam hai ye syaah tera deewana hai
Kuchh aziib sa likha hai apne Urdu andaaz mein
Kyonki kuchh batana aur kuchh chhupana hai


Monday, January 25, 2016

TO DEKHO

Hindustan ki jamhuuriyat dekhne aye KHurshiid-e-KHaavarii to dekho
Hari - Hari fasalon ki qatar, kisano ki mehnat se bichhayii darii to dekho
Sone ki chidiya ka apharan, somnath se dakaitii aur na jane kiya kiya
Desh pe gumaa.N karnewale 26 Januwary ki pehli baad-e-bahaarii to dekho
Dushmano ko bhi kai - kai mauqe de dete hain hum zakham khakar bhi 
Tum apni bekar ki diin-daarii chhoro, ab hamari dil-daarii to dekho
Bharat ke log har jagah hain apne bal pe sharafat aur insaniiyat ke sath
kisi jagah ke bhi avaam ke sath Hindustaniyon ki ristedaarii to dekho
Hamare Desh ke jawaan apni desh ki raksha aur seva ke liye khade hain
Marna nahi chahte par marna padta hai koi be ikhtiyaari to dekho
Kab banoge duniyawalon hamse aur milaoge hanth se hanth sabki khatir
Banke Hindustan puchh rha hai "SAN" ek bar hamari bari to dekho

URDU WORD MEANING :
be ikhtiyaari: helplessness/without choice
diin-daarii=religious preachings
baad-e-bahaarii = spring wind
darii = durrie; long cloth spread on floor

Sunday, January 24, 2016

Tu Hum Mein


Ziqr tera mere har gum mein hai
Tu aaj bhi mere hum mein hai

Saturday, January 23, 2016

Lab ki bat lab pahunchaye

Lab ki bat lab pahunchaye 
Kya kehna hai kya sunana 
Ek baar jaye unse mil aaye 
Rakha hua hai Jo paigaam 
Jaye jakar usko ko utha laye
Lab ki bat lab pahunchaye 

Wednesday, January 20, 2016

SHAYARI SIKHATI HAI


Alfaazon mein use main chhupata hoo.N jb wo mere yadon se bahar aatii hai,
Koi Shayara nahi hai wo lekin har roj har din mujhe wo shayari shikhatii hai

Sunday, January 17, 2016

FITOOR NE BANAYA

Ek kahani Mere esh dil-e-be_kasoor ne banaya hai
Kagaj pe yadon ka daag mere fitoor ne banaya hai
Behad dilkash aur ankh-e-aziiz aur rangiin Tasweer
Mashuqa ke liye ek ashiq ke suroor ne banaya hai
Meri har lagan samne ayii hai teri shakl ki mein aaj
Purane diiwar pe kuchh nya tere noor ne banaya hai
Khudke paas har dam har waqt rakhne ke khatir 
Tujhsa hii ek aur syaah-e-makhmoor ne banaya hai
Kisi ashiqana kahani ko utaraa hai panno pe aaj
Ye Ghazal "SAN" shayar-e-dastoor ne banaya hai

URDU WORD MEANING :
suroor:          pleasure/joy/exhilaration
makhmoor:     intoxicated/drunk
fitoor: Madness

Thursday, January 14, 2016

AKHIRI PATANG


Saal ki akhiri patango pe 
Falak se nau_bahar ayaa hai
Thandh ki chhuti karne khatir
Sulatan-e-Gul_bahaar ayaa hai
Makar sankranti,Pongal,Lohri
Sabka ek yaar hai
Saal ki akhiri patango pe 
Falak se nau_bahar ayaa hai

Tuesday, January 12, 2016

QIMAAR


Tere ishk ke ummiid-vaar bahut hain
Teri chahat ke bimaar bahut hain
Tujhe dekha to ye mujhe malum hua 
Zindgi ke Rangiin qimaar bahut hain

Urdu Word Meaning ;
qimaar=gamble

Monday, January 11, 2016

Labz-e-tarif

Deed-e-khash pe khud se bichhde
hum thodi der ke liye 
Khayaal-e-ulfat se udhar liya 
Labz-e-tarif ish sher ke liye

Sunday, January 10, 2016

ODD EVEN JAIL


ra.ng-e-rukHsaar

Ankhon pe ra.ng-e-rukHsaar ka asar hai
Dhadkta dil kah rha hai pyar ka asar hai
Badhta ja rha hai har sher ek Ghazal ki aor
Ye shayari nhi diidaar-e-yaar ka asar hai
Kala - kala ho rha hai Kagaj tere ziqr se
Kuchh to tere pur-asaraar ka asar hai
Jehan bheeg rhaa hai tere khayaalon se 
Husn-o-badan ke nua_bahaar ka asar hai
Likhta jaa rha hai "SAN" lahron kii tarah 
ye kaisa behad dilkash ish baar ka asar hai

URDU WORD MEANING :
pur-asaraar=pleasing
ra.ng-e-rukHsaar = color of cheeks

Saturday, January 9, 2016

DOODH KA DHOOLA


KAGAJ PE SEHAR


Malum nahi hame.N kaun saa Pehar ho rha hai
Likhata ja rha hoon kagajon pe sehar ho rha hai

Gawn ka chaupaal

Gawn ke chaupaal pe yaaron ki baten
Bin Hoshiyaari ke hoshyaaron si baten
mahafil-e-nishaat mein hoti thii roj
Idhar-udhar kai kai akaaron ki baten
Bayan karte the apne karnamo.N ki kahani
Hoti thi aksar masum vicharo.N ki baten
Gawn ke chaupaal pe yaaron ki baten
Bin Hoshiyaari ke hoshyaaron si baten
Itwaar ya shaam ko gunjti thii hamesha
School mein ugnewale unn taro.N ki baten

URDU WORD MEANING :
mahafil-e-nishaat = happy gathering

Friday, January 8, 2016

LAB KALAM

Lab kalam se kuchh likhna sikha do 
Chaar labon pe bas ek labz dikha do 

Monday, January 4, 2016

KAHIN TERE BAD NA BAN JAYE


Tu thi ab tu bas ek yad na ban jaye
Mera koi kahin tere bad na ban jaye
Milne ki tamanna hai zinda ab talak
Milne ki umiid kahin ek fariyaad na ban jaye

Sunday, January 3, 2016

SUDHAR JAO

Apni Maa ke khatir Apni Ma ke Pas udhar jao
Atankwadiyon ab tum sudhar jao

Saturday, January 2, 2016

Software ki Duniya


Software ki duniya mein dulhe ki tarah swagat 
Kisi dulhan ki tarah bidayii hoti hai 
Gair company apni aur apni company parayii hoti hai 
Hasi majak ke daur bhi chalte hain yahaan 
Jb Jyadatar chehre dikhawati muskaan lagayii hoti hai
Bahut apnapan dikhta hai logon ke bich 
Lekin har kisi ki asliyat chhipayii hoti hai 
Aap pas hamesha bheed nazar aata hai 
Bas andar tanhayii hoti hai  
Software ki duniya mein dulhe ki tarah swagat 
Kisi dulhan ki tarah bidayii hoti hai

Software farewell


Ish company ko chhor tum ush company mein jaoge 
Purana patta badal nye patte mein nazar aoge

HASINO KE TALBE


Tere karan hasino ki sabne talbe chate
khuda tune khud etne sare jalwe bante

Friday, January 1, 2016

NAWAZ MODI NEW YEAR


ALFAAZON KI SARI


Kagaj ko alfaazon ki sari pehnayii hai 
Tere liye kuchh tujhsii banayii hai
Shayari ko sajane ki khatir
Apne dil ki puri mehnat Lagayii hai