Friday, October 31, 2014

NAUSHEEN


Nau_gul nausheen ho tum,
Dilkash aur kamsin ho tum,
sath rahta hai khubsurti tere, 
kiske liye bni hasin ho tum

Urdu Word Meaning :
Nausheen = sweet
Nau_gul = new flower

Sunday, October 12, 2014

Khudse mile


Uparwale ki Ne'mat jo hum tumse mile,
Tumne milaya hum aaj khudse mile

Friday, October 10, 2014

Baaki kaam


Nazaron ko wo nazar ayi Nazaron ne pasand Karen ki gustakhi ki
Paak dil ek ashiq hum dil ne dillaggi ki kaam baki ki

Kubul ho gya


Main tere pyar me mashgul ho gya,
Ashiq Dil, ye hasin bhul ho gya ,
Talash thi jiski zindgi ko hardum ,
Wo Ek bin mangi dua kubul ho gya

Sirat ka andaza

Surat se sirat ka andaza laganewale, 
Hum bhi aap bhi aur ye sab Zamanewale

Thursday, October 9, 2014

ankhon ka jaam


Unke labon pe tabassum,wo mere ankhon ka jaam tha,
ham_nashii.n hame humse churane ka achha intjaam tha

Tuesday, October 7, 2014

MILNE ATI HAI


khawabon  mein  hi  sahi  milne  to ati hai
raton  mein  hi  sahi   khilne  wo  ati   hai 
pta nhi  kyon hame ushki surat bhati hai
sapno mein eshka jabab dene ko ati hai
rat mein chand jab chandni  bichhati hai
tab   hamme  kuchh  kahne  wo  ati   hai
andhere mein jab "SAN"ki ankhen so jati hai
tab bahut sara pyar lati hai,wahin jo ati hai 

Sunday, October 5, 2014

AHABAAB

ek dost manga tha
khuda ne tumsa ahabaab dila diya
sochte the ki akhirr wo(khuda)kya karta hai
jabaab mein ushne tujhe dikha diya              

URDU word meaning
ahabaab=close friend

AB DIL TAIYAAR HAI

karne ko tumhe bahut pyar ab dil taiyaar hai,
pehanane ko shadi ka har ab dil taiyaar hai,
ham ye vidyarthi jivan bahut din tak jee liye, 
apne ghar lane ko ek bahar ab dil taiyaar hai,
23 saalon tak har rat sapne  bunte rahe hain,
dene ko  khabwon ko aakar ab dil taiyaar hai,
khud se hi sahi na jane kitne wade kiye honge,
kasame  nibhane  ko hazaar ab dil taiyaar hai,
janta hoon,mohbt ki rahen bahut hi mushqil hai,
par uthaane ko ishk ka bhar ab dil taiyaar hai,
kisi ko satana aur gam dena bahut ashaan hai,
karne ko khushi ka karobar ab dil taiyaar hai,
ye "SAN" aajtak nhi janta ISHK kya chijj hai,
par samjhne ko pyar ka saar ab dil taiyaar hai. 

Saturday, October 4, 2014

AB RIHAA_II NHII

Use takta rha, lekin aasuudaa-e-binaa_ii nhii
ravish-e-tiir-e-nazar, wo bhi to sharma_ii nhii
Dil ko Nazraana mila use uska Diwanaa mila
Girftaar hua husn-o-ishk mein ab rihaa_ii nhii

URDU WORD MEANING :
ravish-e-tiir-e-nazar = arrow thrown from eyes
aasuudaa-e-binaa_ii = satisfaction of sight/vision

Friday, October 3, 2014

Kah_kahe

Kuchh humne udaya majak
Doston ne aaj kuchh kahe,
hansi ki hasin dunya basi,
Jb suru huye kah_kahe

Thursday, October 2, 2014

ibn-e-shab

subah ki dhup ke sath gya jane wala
andhera hoga fir ayega ibn-e-shab
chupke-chupke raton ko wo ane wala
chhote ghason ko nahlane wala 
subah ki dhup ke sath gya jane wala

word meaning :
ebn-e-shab = son of night

khawaab aya


khuli ankhon se usse aaj dekhkar
band ankhon mein ek khawaab aaya
ek nazar padi to dil ne kaha dekho
suraj ki roshni mein ek mahtaab aya 

bazm-e-anjum

Khuubii-e-bazm dekho "SAN" falak pe saji huyi bazm-e-anjum ,
mahtaab ko main aaj na dekhta kash wahon ke darmyaa.N hoti tum

URDU WORD MEANING:
bazm-e-anjum=gathering of stars