Saturday, November 30, 2013

Bharosha kya !

mat soch ushne tere kano ko sunane ki khatir parosa kya
hokar aya hai wo mehkhane se ab ushka bharosa kya !

Friday, November 29, 2013

LAILA - MAJNU Ki Pukaar


muhbabbt mein khudkushi karne walon se bhra  har din ka akhbar hai

ye kaisi hai muhabbat jisme kisi ko bhi nhi  kisi pe aitwar hai
ya enki soch aur samajh ho gyi  behad bimaar hai
ab to pyar pe badh kya  enn mauton ka bhar hai
kisne muhabbat ko bna diya maut ka sahukar hai
gf bf ke chakaron ne kam kar diya ishk ki dhar hai
aise pyar mat karo ye LIALA-MAJNU ki pukar hai 

dimag ka estemal mat kar ,kyonki ye pyaar hai

Dharati pe likha naam

DHARTI PE LIKHA TERA NAAM,BARSAT A - A AKAAR  MITA DETI HAI
MAIN SHIKWA NHI KARTA KYONKI WO MUJHE ASHIQ  BNA DETI HAI 

DIL MANGE GOR

dil mange more,dil mange more
is bat ne kar diya hai hame bore
ab jhooth bolne maine diya hai chhor
tabhi to bta rha hoon,mera DIL MANGE LUGAYI GOR 

Dil Tod De

muskil hai banavti baton se khud ko bacha pana
mera dil tod de  mujhe hai shahar jana
rangin -  rangin pachhiyaan wahan bahut hai
isiliye mera dil tod de ,taki dal n sakun kisi pe dana
asan nhi hai murkh dil ko sambhal pana
kabhi bhi ban sakta hoon kisi ka deewana
isiliye mera dil tod de ,mujhe hai shahar jana 

Dikash Durghatnaa

main ek dilkash durghtna ka shikaar ho gya
wo mushkurayi aur main unka gulam ho gya
mujhe dekhta dekh unka chehra saram ke mare laal ho gya
lekin main unhe dekhtaa rha aur mera dil malamaal ho gya
meri dono ankhon ki ye husn parasti ,mere liye to kamal ho gya
lekin unhone shayad yahi sochha hoga ki ye bakra halal ho gya

Don't Be "Kamchor"

IF DIL MANGE MORE
THEN DONT BE A KAMCHOR 

Khushiyon ki pran

ek zindgi ek jan hai
dost mera shan
aur dosti meri pahchan hai
dosti ek majhab
dosti ek eman hai
esi mein bshi khushiyon ki pran hai 

Sunday, November 24, 2013

fikr farmanaa aa gya


aapko yaad karke hame bhi fikr farmanaa aa gya
fir se labzon ki qurbat mein ek afsanaa aa gya
kabhi teri doston se sajji mehfil mein nhi gya
dar tha kahin kah na do ye kaun beganaa aa gya
ek rangin chahat dil ka,ek nazuk arzoo ishk ka
hame bhi apni bat harfon mein chhipana aa gya
jehan mein bahut thi baten,usi waqt jb ayi raten
aaGosh-e-tasavvur mein hem bhi aana jana aa gya
waqt bita aap badle hum badle ,aab pehchaniye
banke shaayar rah-e-ulfat aapka diwana aa gya
aapke liye SAN ki aaj ki arz  yahin khatm huyi
kyonki meri esh gazal ka akhiri thikhana aa gya



Word Meaning :

fikr farmaanaa=express a thought
qurbat=with
aaGosh-e-tasavvur=lost in dream
rah-e-ulfat=path of love

Saturday, November 23, 2013

Sanson ki khichatani

Suri huyi Sanson ki khicha tani
Dhadkno ki dekho lauti jawani
Aap aye aaj sapne mein
Hamne de di nindon ki qurbani

Saturday, November 16, 2013

Tohfa ishrat ka

karta hai khuda hisaab,sab ki fitrat ka
kisi ko gum kisi ko milta hai tohfa ishrat ka
sabki chaah uppar wala bhi puri nhi kar sakta
kyonki ushe bhi rakhan hota hai khayal qudrat ka

WORD MEANING :
ISHRAT =JOY

Muhabbat ko muhtaj

arzoo se bhara dil lekar log hain muhbabbt ko muHtaj
tajmahal ko dekhkar sab dhundhne lagte hain apni mumtaj

Thursday, November 14, 2013

JANNAT MANNAT

sath hoti hai tu to sari duniya lagti hai jaise ho jannat
dur hoti to bas tumse milne ki khuda se karta hoon mannat 

GAAL GULAB

dekha hai jab se tere galon ka gulab
aisa lagta hai jaise pee liya sharab
hosh mein hoon ya behosh hoon main
bta de mujhe mere mehboob mahtaab

Monday, November 11, 2013

dil ददाति feel


dil  ददाति    feel

tu hi to hai mere pyar ki manzeel
but dont take tension ,just chil
   you know  that dil  ददाति    feel
    हे बालिके if u love me then akar mujhse meel 

Sunday, November 10, 2013

Bahuton Ka naam tak Nhi janta

aage kya hoga ishk ka a.njaam nhi janta
ishk ke allawaa aur koii kaam nhi janta
bahut hasino ko barason tak yaad kiya
aur kiton kaa to ab tak naam nhi janta
log kahte hain ki pyar bikau ho gaya hai
par main apni ishk kaa daam nhi janta
bazar mein  bahut tarah ke sarab hain
par nashile naino jaisaa jaam nhi janta
"SAN" ek ashiq nhi banta par kya karen
jo dil pe kabu karle aisa lagam nhi janta 

Labzon ki khushboo

Zindgi ko hai filhaal aapki justajuu
Aapke yadon se hoti hai roj guftaguu
Dil ka Sara alam likha hai aaj SAN ne
Kash aap tak jaye labzon ki khushboo

Saturday, November 9, 2013

LABZ KANWAL

ye kavita ye poetry ye Gazal aapka
Ishk ashiqi khawabon ka mahal aapka
aapke mukhde ke didaar ki ye deri
dekho labzon ka bana ye kanwal aapka
aap ab tak nhi aye mere jivan  mein
par ye man,ye ruh,ye hridysthal aapka
aapke man mein bhi mere liye ishk jage
wo ishkyana irada ho safal aapka
SAN taiyaar hai gulam banane ke khatir
lekin prem ka pehla ho pahal aapka

LOVEYOG


pyar karnewale kabhi patate nhi

aur patt jane wale pyar nhi karte
kyonki pyar ka pattne-ptane se koi sambandh nhi hai
 aur agar hai to ise matr ek LOVEYOG kaha jayega 

SUGAR na Ho jaye


mitha sa ishk tera

sweet  si tu hai
sahad si miskan teri

tumse pyaar karne ke baad

kahin hame SUGAR na Ho jaye

Jeet DARZ

Arz kiya hai ...
Ashiqon ne dil harkar hi jeet darz kiya hai

Gori KOYAL

dhadkno ne bahut tez raftaar pakad li hai
dil ne  shayad pyaar ki taar pakad li hai,
kisi ki justajuu koi nayi arzoo nhi hai abb
jbse man ne pyar ki karobaar pakad li hai
ek ajeeb si madhurta gunjti hai tere paas
kya,tere rangin labon ne sitar pakad li hai?
gori koyal ki awaj sunayi de rhi hai kano mein
jarur esne tere labon ki guftaar pakad li hai
"SAN" bhi ulfat ka maza utha rha hai kyonki
meri zindgi ne tilism-e-bahaar pakad li hai 

ETNA LIKHA FILHAAL

ao tere labon par aaj pyar chhapte hain,
bhale hi.n tujhe dekhkar hum kapte hain,
par shayad tujhe nhi malum,
apni nazron se teri sundra roj napte hain

teri shokh ada aur husn bhi kya kamaal hai,
khuda ka sajaya honth aaj bhi dekho laal hai,
mere labon ko apne labon ki qurbat mein lene de,
taki SAN bta sake tu kitni bemisaal hai

honthon se padh lo honthon ka jo sawal hai,
ye mat samajh ki chuma lene ki ek chaal hai,
kyonki main koi awara mandrata bhawra nhi,
jo pankhudiyon ki karta janch padtaal hai,

hone ko to ho gya tujhe bahut saal hai,
lekin tera lab-e-shirin aaj bhi kamal hai,
tujhpe to hazar panne ,hazar harf likh duun,
lekin SAN ne etna hi likha filhaal hai,

Friday, November 8, 2013

Aaj Mein

pahle jee lo aaj me
sochana baad me 

AAS BHI Pyas Bhi

aas hai usake  anne ki
payas hai use paane ki,
dil mein kulbulahat hoti hai
ek yaad usake a jane se,
man ko santi  hota hai
sapne mein usake samane se 

Bhagwaan-Yeshu-Khuda-Budha-Mahaveer Tu

khuda ka hi raj sare kainaat mein
jo hai din mein jo hai rat    mein

ek viswash bas  bhagwan mein
jo hai tere mere sabke jaan mein

rab hai hamesa hamare vich mein
farq nhi karta wo unch - nich  mein

ek anokhi santi "naam"Yeshu mein
jiski chhawi hoti hai har shishu mein

dharm ka parchar kiya sudh mein
ek bhagwan tha Gautam Budh mein

Anjane Bhagwan ka hi rup tha mahaveer mein
bataya tha jisne ,kuchh nhi rakha hai sharir mein 

Arthi pe sone-sone tak

dosti ek umang hai man ke kone - kone tak
dost  rha sath arthi pe sone -sone tak
dukhi   man liye bhi,hasa main dost ke liye 
aur wo mujhe hasane ki kosis karta rha
mere rone - rone tak,mere rone -rone tak 

timtimati Muskan

tere  adharon  pe  ati  muskaan
tere labon pe timtimati muskaan
qatilana aur behad  dilkash hai 
ye  teri  khilkhilati  muskaan

Labon Se Labon Ki Malish


labon se labon ki malish kar do
bahut hi gande ho gye hai ye
enki lipstic lge honthon se polish kar do

labon se labon ki malish kar do
ek do kissam kiss se man nhi bharta
enke par day ka quota chalish kar do 

Lip ki Love Lipi

apne aware nazaron se padh rha hoon
aapki pyari - pyari lip ki love lipi
aaj se SAN ne sharab ko alwida kah diya
kyonki ashli sharab to yahan(lip)thi chhipi 


Meaning :lipi =Script (like roman for English, devanagari For Hindi)

Hazar Nushke

                                


hazar nushke ajmaye
                         par rog-e-ishk se chhutkara na mila
                        zindgi bhar ishk-e-raah pe chalte rhe
                            par pta abtak tumhara na mila 

Aise Hi Majak Ho Rhe Hain



teri ulfat mein ham paak ho rhe hain
teri qurbat mein ham chalak ho rhe hain
tune mujhe kab ka shayar bna diya tha
ab mere har labz bebaak ho rhe hain
waishe to aaj mere dono cham-e-tar hai
par dil ke nafrat jalke khaak ho rhe hain
khud pe mera pyar barasta hua dekh 
aaj wo bhi bahut saffaak ho rhe hain
wo bhi akhir SAN pe bharosa kyon kare
duniya mein aajkal bahut majak ho rhe hain 

Wah Wah Khokar

mujhe dekhta dekh apna chehra hijab mein  chhupa liya
meri  anginat wah - wah khokar akhir usne kya paa liya 


lab-e-shiirii.n


takraye nhi mere lab tere  lab-e-shiirii.n se
takraye nhi mere lab tere aariz-e-namakiin se
bhari  rahi  rangiiniyat  dil  mein  har  waqt
lekin munaafaa kamaya nhi vaadii-e-rangii.n se


URDU WORD MEANING -

vaadii-e-rangii.n :beautiful spot
lab-e-shiirii.n   :sweet lips
aariz-e-namakiin  :salty cheek
munaafaa          :profit