Sunday, May 31, 2015

Ishk-E-Baab


                            zikr unka ishk-e-baab mein                              
unke honthon ki jhalak saraab mein
koi na koi to bat hai "SAN"
jo wo aati hai har roj tere khawaab mein

zikr unka ishk-e-baab mein
sahil ka pta nhi par baithe hain pyar ki naab mein
tumhe bichhre ekk arsha ho gya
par "tera hi naam" ata hai jab hote hain azaab mein              

Ishk Ko Sammaan

tum mere pas aogi to mere ishk ko sammaan milega
agar ush samay mra bhi rahunga to tujhe mera dil gatimaan milega 

Ishk Ki Chapet Mein

dil ishk ki chapet mein hai
mujhe kehna tha "i love you"
par ye bat abhi bhi pet mein hai 

ISHK KI BHUKH

bol do pyar ke do vachan apne mukh se
mat kro banchit mere kaan ko esh alukik shukh se
warna dosh dega tujhe zamaana
aur kahega mar gya ashiq ISHK KI BHUKH SE 

ISHK KA LAGAAN

tu meri jaan hai
yahin meri pehchaan hai
mere dil mein bashkar
tune hame de diya ISHK KA LAGAAN hai 

Saturday, May 30, 2015

noor-o-naaz


Jadu jawani tohfa-e-aab-o-havaa
waqt ne bnayaa husn be-parvaa
kali ko kisne di shokh ravaa davaa
diida-varo dekho naaz-e-jalvaa
chamakta huya chehra-e-pur-nuur

khoobsurati ka pas-andaaz 
asarfiyon ke badan pe nya taaz
dikh aa rha hai bas noor-o-naaz
use kya Naam duun mere alfaaz
Chadhti jawani ba-dastuur

bindiya honthlaali solah sringaar
chehre pe thahraa tarah-daar
kitni nazaren bni enki talabgaar 
chhupa lo parde mein koi karle na pyaar
"SAN" ki kalam aapse kar rhi huzuur


URDU WORD MEANING : 
talabgaar = seeker
tarah-daar = beautiful 
pas-andaaz = Remainder
ba-dastuur = as usual,customarily
parvaa=care, concern, attention
ravaa=lawful
naaz-e-jalvaa=a view of beauty/the beautiful one


Hasrat Vichaaron Ka

      ush samay sath tha taron ka      ush samay sath tha sitaron ka       tabhi mere ankhon ko darshan huye        tere honthon pe muskaan banke baithe mausam bahaaron ka         hum muhabbt ki lehron mein wahane lge     aur chaah nhi rhe the pta jannana kinaaron ka      bahut bahut shukriya jaaneman ki puri kar di           tune aaj hasrat meri vicharon ka 

waqt ki Nazar




waqt ki padi pehli nazuk kiran
gyii bachpan lab shurkh deke
chalne lgi nazar bich ek hiran
Ayii uski jawani ran rup leke

Friday, May 29, 2015

Girlfriend Ka Gungaan

apni apni girlfriend ka sab gungaan karte hain
i love you ,i love you ka log hamesha gaan karte hain
bewajah hi mobile pe chuma daan karte hain
agar dost enhe mil jaye to ye bach ke nikal jate hain
ye kahkar ki esh waqt to hum apni girlfriend ke sath chai_paan karte hain 

Thursday, May 28, 2015

Ghunghat Ka Ghera


mera ye dil ek din tera hoga
ush din rat ko sabera hoga
tujhe apna banane aunga
jab tere mukhde pe ghanghat ka ghera hoga
aur ushke bad mantron ke bich
tera mera sat fera hoga 

Gamdhaari

achha kaam karo aur jiske layak ho ushke adhikaari bano
na ki bewkoof ki tarah anshu dikhao aur gamdhari bano

Wednesday, May 27, 2015

Faila Main Faila

//////laila o laila gane pe////////////
laila o laila ,tu meri laila
chhaila main chhaila ,tera main chhaila
bas mujhse shadi karle
fir gana "maila re maila ,tera kapda kyon etna maila"

jaunga  market   launga karaila
aur sath hi sath phal purre ek thaila
fir main tumhare hanth ka khana khakar mota ho jaunga
aur fir gaunga "faila main faila"                                                



NOTE : failna(bol chal ki bhasha mein) = mota hona 

Eshwar Ka Doot -Khuda Ka Farista


har dil se jo bna leta hai rista
wahin hai eshwar ka doot wahin hai khuda ka  farista 

Tuesday, May 26, 2015

Dil Ki Udaan

pyar pane ke liye kisi chij ki jarurat nhi
bas hamne khuda ka Ehshaan liya hai
tujhe hai paana ye dil ne thaan liya hai
tabbhi to eshne(dil) khudpe
tere nayano se chalne wala har waan liya hai
tumne hame abtk kuchh nhi kaha
par hamne tere mann ki bat ko jaan liya hai
ab dur mat jana meri jane-a-janaa
abhi abhi to dil ne udaan liya hai 

Saturday, May 23, 2015

Dil Ki Eid


wo ayi hai mere paas ,aaj dil ki Eid hai
"ushe ab dur jane nhi dunga"ye mere dil ki zid hai

Dil Ka Sapna


pyar ke liye hamne pyar kiya,
pasand hamne aapko kai bar kiya
aapka shukriya ki aap zindgi mein ayin
aur mere din-rat ko gulzaar kiya


pyar ke liye hamne pyar kiya,
pasand hamne aapko kai bar kiya
aapka main ehsaanmand hoon 
jo aapne dil ka sapna sakaar kiya


pyar ke liye pyar kiya,
pasand apko kai bar kiya
bas ek pyar pane khatir
hamne nafrat ki nadiyaan par kiya 

Thursday, May 21, 2015

Dil Bina Dilwale

                   dil agar tune churaya na hota
                          to ham dilwale na hote
        agar mohbabbt ki bat karni etni hi asaan hoti
                    to zubaan pe lage tale na hote
                     ishk ko ahmiyat na di hoti to
        ab tak teri baton ko dil mein sambhale na hote
                       tu meri mehbuba na hoti
                 to tere sare bhai mere sale na hote
                              tu gori na hoti 
                        to ham kale na hote
                  dil agar tune churaya na hota
                       to ham dilwale na hote................ 

Wednesday, May 20, 2015

dil-e-"SAN"

jawani ne unhe tarah-daar kiya tha
dil-e-"SAN" tune bhi pyaar kiya tha
bint-e-mahtaab jb tere agosh mein thi
aur labon pe labon ne adhikaar kiya tha

URDU WORD MEANING : 

bint-e-mahtaab=Daughter of moon
tarah-daar = beautiful

jalba-e-jamaal

haya tabasumm tere khali honthon pe do ayaa phool,
ye adaa ye jalba-e-jamaal nazaron de dikhayaa phool

Monday, May 18, 2015

Dhara 307

bhale hi aap par dhaara 307 nhi lga  ho                    
par apke adaon ne to lagbhag hame mar hi diya tha 

Note : Dhara 307 =attempt to murder

Sunday, May 17, 2015

Dhadkano Ki Sur

                   dil ke pas ,zindgi se dur tu hai
       din ki dhoop bich chand se utari noor tu hai
            man ki chain ,dhadkano ki sur tu hai
               main bas main ,mera gurur tu hai
              teri jhalak to ankhon ko nhi mil pati
                  par en harfon mein jarur tu hai 

Friday, May 15, 2015

mausam - e - tabassum

haule se muskurakar unn bahkana chhor do,
bewajah bin rista unn dil mein anaa chhor do
Rutha hoon main mujhe ruthe hii rahne do
mausam - e - tabassum se manana chhor do
Hinaa ki ek jhalak dikhta hai tere chehre pe 
Ye husn-o-adaa aur jadu dikhana chhor do 
inaayat ki darkar ab en do ankhon ko to nhi 
Nazaron ko kuchh khash khilana chhor do
waqt yadon pe dhool dalega "SAN" bhul jayega
Bus tum ab Khawaabon ke pas anaa chhor do

Thursday, May 14, 2015

DILWAAZ

Dil se Dil ka saudaa karnewale ek dilwaaz hain hum
pur-asraar teri andaaz-o-adaa dekh rhe aaj hain hum
harfon mein kaid kar rhe hain har ek shayar-e-arzoo
teri en tazaa dhadkno ke eklaute saaz hain hum

Wednesday, May 13, 2015

computer ki chamak

gavn wali wo purani addat eski ab kidhar gyi,
nind palakon tak ayi aur bas chhukar guzar gyi,
boli shahar ka gulaam ho gya hai "SAN" tu,
boli main tere computer ki chamak se dar gyi

Tuesday, May 12, 2015

nujuum-e-dil

zindgi ko padha hai, nujuum-e-dil hame malum nhi,
waqt itlaa kar dega dost main nhi ya naaseh tum nhi,


URDU WORD MEANING :
nujuum-e-dil = astrology of heart
naaseh = sincere friend
itlaa = inform 

Monday, May 11, 2015

Chumban Char

tumne kal i love you bola tha
par dil ko aaj ye samachar mila hai
ushe(dil ko) to ab tak nhi pta hai
ki gaalon ko chumban char mila hai
maza aa gya doston ...
labon ko labon pe kya swagat - satkaar mila hai 

kale ka zarf

kalaa kahke mujhe chhora ab tu kale ka zarf dekhna
Dhak dunga jb ujle panne ko tu mera harf dekhna

Urdu Word Meaning :

zarf = vase,capability


Sunday, May 10, 2015

Mother's Day

facebook post se usane Mother's day ki Dhoom machaa di hai,
jb uski Maa ne aaj usase puchha tha Beta phone kyon nhi karte ho

Saturday, May 9, 2015

Betaar Ka Taar

sirf aur sirf dil ko ishk ka adhikaar hai
sirf aur sirf ishk dil ka hi karobaar  hai
khilaft karta hai eshka hamesha hi zamana
jiske pichhe pichhe bhagta sara sansaar hai
sab ek dusre ko kehte hain pyar mat karna
aur bad mein eshi ke liye hota  maar hai
ishk ki giraft mein aya admi hota hai besudh
aur zaman kahta hai ye pagla ab bimaar hai
do anjane sapno mein milne lagte hain
jb dil se dil ko jodta betaar ka taar hai
agar log tumhe ishk karne se roken to samajh lena
muhbbat ki rahon mein zinda lashon ki deewar hai
jab koi tere mann ko chhoo jaye to jan lena
wahin teri noor wahin teri nigaar hai
ashiq ki khushi aur mashuq ki labo pe hashi
yahin ishk ki den aur muhabbat ki sringaar hai
sab kahte hai ishk  ek dhokha hai
SAN ko esh bat se saaf inkaar hai 

Wednesday, May 6, 2015

BARAT AYEGI

ek rat ayegi,
ek barat ayegi,
jab main tere ghar aunga
to tu mere sath ayegi 

aaine mil gye

                         tera pyaar se zindgi ko mayne mil gye
                       khudko pehchaan sakun wo aaine mil gye 

HARF JAISA

Thandhak hai esh qurbat mein barf jaisa,
Labon pe labz ek SAN ke harf jaisa

Tuesday, May 5, 2015

asman se tara gyaa

Malum nhi kyon utaraa gyaa,
ayaa suraj asman se tara gyaa,
dharti ko shayad ujale ki talash thi,
eshi khatir sajawat saraa gyaa

Anshuon Mein Mohabbat Ki Fet

tere bahon mein do pal letne ayen hain
isi bahane tera pyar apne dil mein sametne ayen hain
murjhayi gulab aur udaas premika bilkul achhi nhi lagti
isiliye tere anshuon mein apni mohabbat fetne ayen hai 

fetna =milana(mixing)

Saturday, May 2, 2015

Ankhon Se Nikal Gya

tu zindgi se chali gyi,pyar ankhon se wah gya
tujhe khushi-khushi wida kiya aur main gumsum rah gya

                            ya fir

tu zindgi se chali gyi,pyar ankhon se nikal gya
ab to manzil bhi badal gyi rah bhi badal gya 

Friday, May 1, 2015

zulphon ka bikhraab


Huyi azaad dotte se ankhon ne zulphon ka bikhraab dekha
Gore Gore badan pe kale kale badalon ka ek failaab dekha,
Merii har chor nazar uske chehre tak gyi dheere - dheere,
saraa_paa thii khubsurat roshni gardan pe chhaab dekha,
Jb nahakar nikali chipka hua tha kuchh uske sare balon se,
Thahra hua bikhre moti sa wahan aaj Giraftaar aab dekha,
dhadkane wah wah kah gyi wo lachkte balon ka murid hua,
ankhon mein nachti rhi nazaron ne ye jhalak lazbaab dekha,
Main bahut bar sochta tha akhir uparwala kya kya karta hai,
"SAN" tune naaz-e-jalvaa ush fankaar ka jawaab dekha 



saraa_paa = from head to feet
aab = water
dotta = braid