Sunday, April 14, 2019

Arhar ke Daalon Mein

Kuchh badla hai kuchh nhi badla hai enn bitte saalon mein
Aaj bhi gawn ki aab-o-hawa basati hai arhar ke daalon mein
Shahar ke vashindon sajne-sawarne ka dhang mat batao
Dekho paudhon ne laga rakhe hain phool apne baalon mein
Aaj bhi gawn ki aab-o-hawa basati hai arhar ke daalon mein
Sarkaar ne kabhi kimat nhi dii abtak fir bhi beskimati hai ye
Ao kabhi, dekho kabhi Fasal ki kahani din ke ujaalon mein