Monday, November 30, 2015

TAKRA JAO

Hayat-e-samandar se ek bar aa jao 
Beperwaah leharon si kabhi takraa jao 
Kitni khili hai gul-e-Gulzaar meri
Kisi subah apna chehra dikhaa jao

Saturday, November 28, 2015

IJAARA DIL


Ulfat-e-raah dil ijaara hua
tajadiid-e-vafaa hamara hua
kuchh Alfaazon ne khudko jana
I Love You ab ek nara hua

Urdu Word Meaning :
tajadiid-e-vafaa = renewal of faith/love
ijaara = lease

DURI MEIN


Raah-e-Ulfat se bhagaa main to majburi mein
Pyaar samajh ayaa hai tumse badhe duri mein

Thursday, November 26, 2015

Shayar ka Sher


Ankhon ko sukun thodi der de diya 
Shayar ko jaise usne sher de diya

Saturday, November 21, 2015

Dhanda-e-ishk

Dhanda-e-ishk log band karte hain,
Jb dil se log kisiko pasand karte hain

Saturday, November 14, 2015

Friday, November 6, 2015

Wo sharmili lakdi


Wo sharmili lakdi thi apni bat apne dhang se batatii thii 
Kabhi nazar jhukati kabhi hastii kabhi muskurati thii 
Kabhi khayal ataa tha uske labon se alfaaz utha loon 
Wahin jo har roj tabassum ke niche chhupatii thi 
Wo sharmili lakdi thi apni bat apne dhang se batatii thii 
Kabhi nazar jhukati kabhi hastii kabhi muskurati thii 
Shayar ke pass ab bas yaad hai uski 
Shayad wo badan-e-ulfat thi jo pehle nazar atii thii 
Wo sharmili lakdi thi apni bat apne dhang se batatii thii 
Kabhi nazar jhukati kabhi hastii kabhi muskurati thii

Jagir-e-jigar


Zindgi ne Jagir-e-jigar bna liya 
Tujhe dekhkar alfaazon ka nagar bna diya 
Ghayal hua kagaj ka kora badan 
Sheron ne ghazal idhar bna liya
Ranginiyat ki shamaa tha tera chehra 
Dheere Dheere labzon ne dekho shahar bna liya 
Maujon ki tarah hai tu aur teri har adaa 
Shukhanvar ne jaise kalam se lehar bna liya 
Apnane ke khayaal se nazar nahi dalii 
Lekin "SAN" ne kuchh apna magar bna liya  

Thursday, November 5, 2015

THAKAA HUA SHAHAR

Sham mein behad thaka hua shahar 
Amir caron se dabe road pe ab ayaa kahar
Betaab hain sab ghar pahunchne ko 
Bas Traffic jam kah rhi hai Thahar Thahar 

Wednesday, November 4, 2015

MOBILE-E-ISHK


Jab chahe main tu karte hain
Din rat guftguu karte hain
Phone ne dastuur badal dii
Ab ishk Be_Rubruu karte hain

Tuesday, November 3, 2015

SHAHAR KA BULB - GAWN KA DIYA

Kumhaar ki kalakarii ko aaj murjha diya
Shahar ki bulb ne gawn ka deep bujha diya

Monday, November 2, 2015

RUKH


Jb bhi meri taraf rukh karta hai inayat karta hai 
Nau_gul sa chehra ishk ki himayat karta hai 

Sunday, November 1, 2015

DIWALI KA DIYA


Diwali mein nahi jalta ab Kumhaar ka diya
Ish baar nahi ghar ayaa har baar ka diya
Bijali ke bulb ki charo taraf dhoom hai 
Kidhar gya wo chamaktaa tyohaar ka diya