Thursday, February 27, 2014

Khawabon mein wo

Band ankhen,wo khawabon mein nazar ati rhi
Subah mein ankh khulne ke sath,wo chali jati rhi
Ishk ki jarurat thi shayad wo
lekin ratbhar ke liye lakar subah mein le jati rhi

Monday, February 24, 2014

bazm-e-tasavvuraat mein

banke khabaab ati hai wo rat mein
jo rahti hai bazm-e-tasavvuraat mein
din mein kabhi na dekha ushe
hota hai ana unka bas zazbat mein

Sunday, February 23, 2014

soz-e-nihaa.N

Meri Khushi meri SukhaaN tu
Gam_gusaar tu soz-e-nihaa.N tu
Kya kuchh kahoon tujhase main 
Mere dhadkano ke darmayaa.N tu
bazm-e-tasavvuraat sazzi rahti hai
jb sapno mein ati hai meri Jaa.N tu

Dil tere sath Ho gyi

Ankhon se ankhon ka didaar dono ki bat ho gyi
 khuda se laya tha dil ab wo bhi tere sath ho gyi

Saturday, February 22, 2014

Phisalate lab

do afrii.N lab do afrii.N labon pe chal rhe hain
pyaar se ek dusre pe phisal rhe hain
aaGaaz-e-ulfat may ka matlab samjhate
ishk ki mithas aapas mein mal rhe hain

Friday, February 21, 2014

Gum ke diye


der lagta hai

hame sunhra sapna sajjane mein
kyonki waqt to lagta hai
gum ke diye bujhane mein
aur aap bhi to der karti hain 
yadon se sapno tak ane mein
ya ho sakta hai ki
koi aur bhi aapko yad karta ho esh zamane mein

Gaalon ka Guldsta


tere galon ke guldste mein jo phool khilta hai
khuda bataye,kya kahin aur bhi wo milta hai 

NAZAR Ne chuma

Arsh se ayi ankhon ke samne tum 
jaise maah-e-shab-e-char_duhum
isharat-e-aalam-e-diidaar paya
Nazar ayi to nazar ne liya chum




De aye

apna dil dilruba ko de aye
jo khuda ke darbar se the laye

Thursday, February 20, 2014

Tujhe padhati nazar

tujhe padhati nazaren
hanthon se likhunn kya?
ye tilish husn -e-jagir teri
mere labz kah rhe chikhunn kya?

Dil ko Gumraah karlo

Ishk ki chaah man ko gumraah karlo
ishk ki raah dhadkan ko humraah karlo

Thi mushkayi


Ek bar tha dekha fir nazar na ayi
Jaise kabhi wo thi mushkayi

Wednesday, February 19, 2014

Gulaab se Vyapaar

ulfat - e - agaaz sabhi nau-gulon ne sringaar kiya hoga
labon ko lipstick se tej kar ankhiyon se bar kiya hoga
Mausam -e -maah hawaon mein bahti ye ashiqi aur ishk
dil ki huyi hogi len den Gulabon se vyapaar kiya hoga
wo sab raah-e-ishk ,husn-e-hayaa ko khojne nikle honge
jinhe rog-e-muhabbat,zabt-e-shauq ne bimaar kiya hoga
tahaziib-e-navii.n bahut se chiZenn badal gyi.N hain
yaaron aaj to,kisi ne ikraar kisi ne inkaar kiya hoga
sab ki apni apni pasand , sab ki apni apni kismat hai
yaaron kya kahen,kisi ne dosti kisi ne pyaar kiya hoga
sukun-e-suKhan le rhe hain maah-e-muhabbat mein hayat se
mere yaaron,kya kisi ne "SAN" ka bhi intzaar kiya hoga

Tuesday, February 18, 2014

Main kaun

Main,main,bta khuda hoon main kaun
isase pehle ki dhadkno ki chhuti ho log honn maun

Sunday, February 9, 2014

FIR BHI !


main unhe yad nhi karta fir bhi wo yaad ati hai
main unhe sapno mein nhi bulata fir bhi wo mera sapna sajjati hai 

Ek jode ki do jodi ankhen


ek jode ki do jodi ankhen

shabdon ki  kar rhi hai barsaten
shayad ish hasin mulaqat ki kuchh rangin  baten 

wo dono ankhon ki baton ko kaise taalen
dekho ab to mohbt ka maza lene lgi hai wo gaalen

ek jode ki do jodi ankhen
duniya ko bhula kar bas ek dusre ko taaken
n edhar jhaken n udhar jhanken 

detective dil

mana ki mere pass jo dhadak rha hai
wo hai ek defective dil
par ek bar i love you kah kar to dekho
tujhe samajh mein a jayega 
ki kitna hai ye ISHKeffective  dil
tujhe khoj rha hai
ye detective dil 
ek bar hame pyar karne ka mauka to do
tu jan  jayegi kitna hai mera ASHIQi_active dil 

Dard Ki daraar


umid hai ki aogi tum ek din meri en  bahon mein
dur hone ki vajah chahe kuchh bhi ho
lekin tera pyar aaj bhi basta hai mere dard ki daraon mein
main nhi kahta ki phool bichhaunga teri rahon mein
par wada hai ki kammi n hogi meri chahon mein
kyonki tum aaj bhi basati ho mere dard ki dararon mein 

Friday, February 7, 2014

Dil-e-Azaa.N

dil ki aavaaz-e-azaa.N sunno
kya kah rha hai meri jaa.N sunno
uchhalti khudati lakh dhadkane
humdono ke daramiyaa.N sunno
hum dono ke ankhon se bahar atii 
dilon  ki raaz-e-nihaa.N sunno
bhaware aur phool ka afsana
ai saare Khiyaabaa.N sunno
"SAN" ne kisi ko pasand kiya
ai badkismat Khuubaa.N sunno

Thursday, February 6, 2014

humpe bar kijiye

Nazaren jhuka kar bhi
ankhen chaar kijiye
ghayal hone ko taiyaar
humpe baar kijiye
dil mein liye chahat main
akar meri zindgi bahar kijiye
majnu huun main aapka
thoda to vichaar kijiye

Wednesday, February 5, 2014

Pani ke moti


Dard ke raste,pani ke moti ankhon mein nikle
Palakon pe baris bund lankhon mein nikle

Tuesday, February 4, 2014

ISHK DIL KA MEHAMAAN

Nazar milii aur fir ishk dil ka mahamaa.N hua
dil ki chah jo hadsa humdono ke daramiyaa.N hua
ishrat ,khushi,hashi sab ke sab gumnaam si thii 
tumhari rehmat ki zindgi fir se Khiyaabaa.N hua 
mujhe apne esh muhabbat ki kimmat maluma hai
kyonki ye ishk ashiqi garadish -e- dauraa.N hua
payambar - e -ishk tumhe bataane ki himmat nhi 
mere dil ki dhadkan jabse mera zubaan hua
andhere si ye jawani ,nuur ayi tu sahar lekar
ki aziz yaaron ab to "SAN" unpe qurbaan hua

Sunday, February 2, 2014

TAAZE mohabbat

hijaab se nikal ayi dekho Raaz-e-muhabbt
ye nye ye hamare taaze muhabbt
dhadakne fir ufaan maar rhi hai "SAN" ki
fir lekar ayi zindgi dil ke darvaze muhabbt

Dhadkan tere dil ki shohbat mein

ye aapki inaayat jo ishk ko shoharat mila
meri dhadkano ko tere dil ka Shohbat mila
ROOH ne zindgi ki aziz tohfa paya
aur Dil ko pyaar karne ka mohlat mila

Saturday, February 1, 2014

Hasin Harqat

Dil ne fir se wahin hasin harqat ki hai
Maidaan - e - ishk mein shirqat ki hai

Gum sharminda hogi

Zindgi mein ayi gum fir sharminda hogi
jb dhadkno mein pyaar fir zindaa hogi

Zer-o-zabar

zindgi ki ye zer-o-zabar
malumm nhi kahan le jayegi
ye merii raah-e-dahar

Urdu Word meaning :
zer-o-zabar :ups -down
raah-e-dahar:path of love