Thursday, January 30, 2014

Na ayi duriyaa.N

chehre ki chamak kam huyi aur ayi jhurriyaa.N
Fir bhi ashiqon ke dilon ke bich na ayi duriyaa.N

Monday, January 27, 2014

Saturday, January 25, 2014

LABON SE PARDA HATTA DUUN

ao tere labon se lipstick ka parda hatta duun
ao tere labon pe pyaar ka malham satta duun.
meri dilruba meri mehbuba,meri dhadkan tu
ao tere labon mere labon ke bich ki duri ghatta duun

Lazayi huyi si


Nazaren jhukaye wo lazayii huyi si thi
main  thaharaa  ek awara sa bhawra 
aur wo kali apni honth sajayi huyi thi
main akarshan se unki taraf khicha ja rha tha
aur ek wo thi jo laal honthlali layagi ja rhi thi

Nikhat-e-Zulf

Hua Madhosh main tere nikhat-e-zulf-e-nigaar mein
Nakon ne paya hai tohfa jab dil pda tere pyaar mein


Urdu Word Meaning :
nikhat-e-zulf-e-nigaar = perfume of  hair

Dhadak jati hai


Tumhe dekh kar Ishk ki aag bhadak jati hai
kabhi ankh tumhe line deti hai kabhi dil dhadak jati hai

Thursday, January 23, 2014

SAN KI Sukhan

dilruba meri dil_sitaa.N tu
pardaadaar-e-raaz-e-ishq
esh ishk ki pehchaa.N tu
dil mein basanewali
ankhon ke liye  nihaa.N tu
Yadon ke hijaab mein chhupi
SAN ki suKhan tu

Urdu Word Meaning :
dil_sitaa.N=stealer of one's heart
pardaadaar-e-raaz-e-ishq=hidding the secret of love
nihaa.N = hidden
suKhan=poem
Hijaab=veil

Pyaar hamara hua

Jb se ye dil tumhara hua
tb se pyaar hamara hua
SAN ne ishk ki dagar li
ab gum se kinaara hua

Wednesday, January 22, 2014

asar rah gya

Tumhe kuchh nhi kahaa,ye kasar rah gya
Tu mujhse dur huyi,par tera asar rah gya

Saturday, January 18, 2014

BAKI KHUDA JANE

mashooka ki bat karo to sau banayenge bahane
kyonki kuchh alag kism ke hote hai deewane
unhe to bas pyaar karna ata hai
baki sab khuda jane


dard mein bhi khojte hain jo khushi ke khajane
kuchh aise hi hote hain abbal darze ke diwane
vaise unke mohbt ki bat karo to kahenge ram jane

unke ankhon mein dekh sakte ho sachayi
chahe wo apne ashiq hone ki bat mane ya n mane 

Farz kya hai

arz kiya hai

line marne mein harz kya hai
aur agar ye galat hai 
to duniya bataye ashiqon ka farz kya hai 

Kuchh to hai aap mein


kuchh to hai aap mein
jo kahin aur nhi milta
milne ke liye to hazar log milte hain 
lekin aap jaisa koi khas nhi milta

koi hazar mithi-mithi baten kar le
par dil ko koi avaj nhi milta
aap se jyada hame koi pasand nhi
bhale hi mere shabdon mein aapka ziqr nhi milta

kuchh to hai aap mein 
jo kahin aur nhi milta
hasinao ki kammi nhi hai duniya mein
lekin en ankhon ko aap jaisa koi hasin nhi dikhta

vaise to hum haste-hsate rahte hain
kintu aap ki yad ati hai to 
koi mujhse jayada gumgin nhi dikhta
mana ki aap hamse dur hain 
par aap se jayad mere dil ke kareeb koi aur nhi milta

pta nhi aap kaun hain
par aap n hoti to mujhe mere hone ka ehsas n milta
ho sakta hai khush hote 
par pyar ka koi phool n khilta 

Friday, January 17, 2014

saaz-e-saramadii

Squirrel Cuckoo at Puentes Colgantes, Arenal, ...
Squirrel Cuckoo at Puentes Colgantes, Arenal, Costa Rica (Photo credit: Wikipedia)
aaj humne sunna saaz-e-saramadii
koyal ki zer-e-lab se fir gunji vadii
sunsaan jungle sun rha hai sabr-talab se 
aur gane mein masruuf hai jungle ki sahzadi
Guruur nhi hai eshe apni labz-e-shiirii.n ki
bas kushi ki shauq pura karne ki payi azadi

WORD MEANING

zer-e-lab=humming
sabr-talab=patient
saaz-e-saramadii=immortal music
Guruur=proud 
labz-e-shiirii.n=sweet word



Enhanced by Zemanta

Shayari ka hisha

tukadon mein apni ishk ka fasaanaa kuchh aise bayaan kiya
ki har ek harf,har ek labz shayari ka hisha ban gya

shiiriini-e-guftaar

Dekh rha huu.n surKhi-e-gulashan aapke lab-o-ruKhsaar pe
hazar dhadkne nazr kar rha huu.n aapke shiiriini-e-guftaar pe
harf-e-talab zubaa.n tak to na aa payaa kabhi
par bna rha aapka adhikaar mere dil ke hasin karobaar pe

Urdu word meaning:
harf-e-talab = words of pleading
shiiriini-e-guftaar=sweetness of (someone's)  conversation
lab-o-ruKhsaar=lips and cheeks

Thursday, January 16, 2014

Ab tu bimaar hoga

Chalte - chalte  rah-e-ishk tu bhi bimaar hoga
Labzon mein na na,dhadkno mein ishk ka istihaar hoga
Muhbabbt ne tujhe aaj fansa hai mere dost
ab to tujhe sapno mein bhi kisi ka intzaar hoga

Wednesday, January 15, 2014

Ishk faraar

Rah-e-ishk chalte chalte dil mein daraar hua
de gya mujhe gum-e-maah ab ishk faraar hua

Saturday, January 11, 2014

Speed badhaya aapne

main udas rahta tha
mushkuraton ka mausham laya apne
mera dil to normally chal rha tha
eska speed badhaya apne
                                     main chil-chil kar rha tha
                                     just mil-mil kahna shikhay apne
                                     mera dil to normally chal rha tha
                                     eska speed badhaya apne 

RAT RUK JA

sapna dekhte -dekhte rat guzar gayi
lekin ab tak dil nhi bhar paya hai
ayee rat tu thodi der aur ruk ja
mera meet sapne mein aya hai
din tu dhal ja ab unke didar ka pal aya hai
ayee chandrma tu badli mein chhup ja
dekh mera chand nikal aya hai 

Friday, January 10, 2014

Husn ki Kism



Nazaron ke samne ye kaisa tilism
bahar-e-nargish ye aapka jism
kahin pagal na ho jaunn main ab
dekhkar husn ka  ye nya kism


Word Meaning :
tilism=magic
kism=type

Sawaal karte hain

Wo hai meri ya nhi,ye khud se sawaal karte hain
saahib-e-zar jab hum aapka khayaal karte hain

Agale janam ki khurak


main aya hoon esh dharti pe
pichhle janam ka unka pyar lekar
wo bhi ayi hogi
mere apne honthon pe mere mohbt ki chhap lekar
mere common dil ka ek hisha unke pass hai
pta nhi kab ayegi wo ush half ko lekar
sab kuchh thik ha


par mann chahta hai wo ayen bahar lekar
esh janam ke liye to unke pichhle janam ka pyar kafi hai
lekin chahte hai maren to agle janam ki khurak lekar 

Palakon se dabaye


palkon mein dabaye huye hain pyaar

taki mere ankh ki sachayi dekh na le mera yaar 

Laila ka karaila

wo meri laila

main hoon uska chhaila
par why she always call me "love you my sweet karaila"
jab-jab unse nazar mili
tab tab mera dil thoda-thoda failla
because she is my laila
and according to her i am her sweet karaila 

Thursday, January 9, 2014

charcha karegi

dhadkhne ishk ki charcha karegi
jb tujhe dekh ye apni jan kharcha karegi

Tuesday, January 7, 2014

Tarab dekhkar

Muskaan ki Raqs se bhari teri lab dekhkar
khush hua ankh aaj apna rab dekhkar
Mere chehre pe bhi dekho ayi hai ranginiyat
tere honthon pe chalte tarab dekhkar

Word Meaning :
raqs = dance
tarab=happiness

Monday, January 6, 2014

Zaminn ki chand


Chamakti meri duniya raton ke andhere mein
Ayi zaminn ki chand aaj mere bahon ke Ghere mein .

Diwane Chale hain

Muhbabbt ke liye khud ko gawane chale hain
dekho muhbabbt ki rah pe kuchh diwane chale hain
Bahut logon ne apna bazud khod diya jis rahe pe
ush dagar pe chalkar kya ye ishk pane chale hain
dub rhi hai ishk ki naiya fareb ki mar se har jagah
Shayad unhi kastiyon ko ye bachane chale hain
Kabhi kah na sake apni mehbooba se jo bat
wahin bat aur zazbat ye aaj duniya ko batane hain
dekho "SAN" pyar ki lahron mein bahnewale
aaj nafrat ki tilashmi duniya dubane chale hain

Saturday, January 4, 2014

Rahkar Kahkar

Hamne unse kuchh nhi puchha
Fir bhi wo sabkuchh Kah kar gyi
Ye meri achhi kismat hai
Jo Ish dil mein Rahkar gyi

Dard se koi samna nhi hua abtak
kuchh aise ,Mann ki dararon pe
Wo marhamm rakh kar gyi


"chahkar bhi main nhi ro pata hoon
shayad wo mere anshu apne dil mein bharkar  gyi" 

JAZBATON SE JAKDI JAZBAT

prem jazbaton se jakdi ek jazbati bat hai
yahan na kisi ki jeet na kisi ki maat hai
koi yadon mein guzarta hai apna din
to koi sapno se sajata apni har ek rat hai

Friday, January 3, 2014

muhbabbt ki maiyat

Pehnkar kafan anshu ka  Ankhon se muhbabbt ki maiyat nikali hai
Dekho,chehre ko dhone aaj ankhon se ishk ki Haiseeyat nikali hai

Word Meaning :
Haiseeyat = prestige

tajadiid-e-vafaa

Lovers Walk
Lovers Walk (Photo credit: ~~Tone~~)
tajadiid-e-vafaa ab khud pe iKhtiyaar nhi hai
naaz-e-jalvaa ke bad dhadkno ko qaraar nhi hai
saKhtii_kashaan-e-ishq dekha hai hamne bhi
lekin dil kuu-e-yaar se hatne ko taiyaar nhi hai

WORD MEANING :
tajadiid-e-vafaa = renewal of faith/love
iKhtiyaar = control
naaz-e-jalvaa=a view of beauty
saKhtii_kashaan-e-ishq = problems of people in love
Enhanced by Zemanta

Thursday, January 2, 2014

Wednesday, January 1, 2014

LADKI PATANEWALE

Muhabbat ka matlb nhi jante Muhbabbt ko muhabbt batanewale
Akhir  janege bhi kaise ,ishk ka matlb wo ladki patanewale