Tuesday, December 30, 2014

dil ne khataa khola



dil ne pyar ka khataa khola ha
jabse aapne hampe apni mushkaan ka chhataa khola hai 

Monday, December 29, 2014

mukhtasar charcha suni hai

dil ne dhadkano se apki aksar charcha suni hai
Kabhi thoda kabhi sar basar charcha suni hai 
Deewana dil aapko khwabon tak bulaa layaa
Isne Kuchh aisi aur ish kadar charcha suni hai
Chasm khuugar aapki ada ka Har nazar Gulaam
Kiya diidar tab tab dil-e-dar charcha suni hai
Aapko Dekhne mein masaruuf dono ankhen 
Inki bebaaki mein aapki yak sar charcha suni hai 
Vafa ke ehataraam se bhar jati "SAN" ki tahariir 
Par Abhi bhi aapki mukhtasar charcha suni hai 

URDU WORD MEANING :

sar basar=wholly/entirely
dar = door
Khuugar=used to
yak sar  = all at once
ehataraam = respect
masaruuf=busy in/involved with
tahariir = writings
mukhtasar= brief

Sunday, December 28, 2014

MAHTAABI MUSKAAN

Haule - Haule dhadkno mein uth rhaa ye kaisa aazaan tha
Tabiyat hari ho rhi thi samne unka mahtaabi muskaan tha

URDU WORD MEANING :
aazaan = prayer 
mahtaab = moon

Ibn-e-falak

Urdu Word Meaning :
ibn-e-falak = son of sky

Saturday, December 27, 2014

Pur_kaif Dil

Rat bhar dil kuchh gata rha
Rat bhar dil sab sunata rha
Pur_kaif wo kya jane ISHK
Rat bhar dil ratta lagata rha

URDU WORD MEANING :
pur_kaif=ecstatic

Friday, December 26, 2014

DIL KI KHUJALI

Ek bar I love you kah mita de dil ki khujali
labon ko labon tak laa ghata de dil ki khujali

KARAM KARTE HAIN

hampe aap ye kya bachkani sitam karte hain
ye kahkar ki ham aap se pyar kam karte hain
ye kyon nhi samajhti aap  ki agar aap sharmili hain
to ham bhi kabhi-kabhi thoda sharam karte hain
mujhpe bharosa na ho to puchh lena hawaon se ki
ye bta aajkal kya-kya kaam mere pritam karte hain
aur wo hawayen kahegi ki kuchh nhi aata unko
par bade pyar se wo pyar ka ye karam karte hain
tumne yaqinan socha hoga ki etne khush rahte hain
fir un ashuon ko wo kahan khatam karte hain
to tumhe bta den ki jab nafrat ki dhool ankhon mein ati hai
to ushe apne enhi namkin ashuon se use naram karte hain
lekin ye mat soch lena ki "SAN" hatash rahta hoga
kyonki na kal ham udaas the na aaj gam karte hain 

ISHK KI TALIM


apni adaon se hame deti  hai rojaana wo ishk ki talim
apna gulam bnane ke liye muskan lati wo khubsurat zalim 

Wednesday, December 24, 2014

Gulabi Kali


tere honthon pe khili hai jo gulabi kali
mujhe ankhon se chhune ko hai aaj bhali

Tuesday, December 23, 2014

HAR BAR CHUPKE CHUPKE

Rahon se Gujarte huye kiya unka Diidar chupke chupke 
Ushaq-e-nazar sar-e-aam kiya ye har bar chupke chupke 
Dil ki chahat ki nazaron ko thoda araam mile us chehre pe
Kar rahe hain khudko Hum ab Beqaraar chupke chupke 
Gul_bahaar hai uska khila-khila sa badan,ek chaahat hai 
Ki kabhi jaanu unke Zulphon ki Muimbar chupke chupke
Pta nhi dhadkan kaun si bat parda_fash karna chahti hai
Ab hai tammana dil ka dil se joduu.N taar chupke chupke
"SAN" ko pasand har jalwah husn-o-adaa ka, bas chahat!
 Unhe bahon ke agosh mein karu.N Pyaar chupke chupke 

Word Meaning 
Muimbar=fragrant

Monday, December 22, 2014

Ek Akaar Ka Dil



jis akar ka dil tumhara hai

ushi akar ka dil hamara hai
bhavanyen ek si nhi 
par jis parkaar ka dil tumhara hai
ushi parkaar ka dil hamara hai
soch bilkul alag-alag  hai
par ushi sarkar ka dil hamara
tumhe ptane ke bare mein soch bhi nhi sakte
kyonki na bikau dil tumhara 
na bazar ka dil hamara hai 

Saturday, December 20, 2014

locha-e-ulfat


Shukhanwar main Husn-E-Matla tu,
hai locha-e-ulfat kuchh ilaz Batla tu




Dopehar Mein Sabera Ho Gya


pehli bar dopehar mein aaj sabera ho gya
tumne chehre se zulf hatayi aur ye dil tera ho gya
kya kahun mann khushi ke mare jhum rha hai
jaise dard pe tere mushkanon ka ghera ho gya
jarurat pade to esh begane ko yaad karna
kyonki ye mera dil ab tera basera ho gya
etni jaldi main shaadi ki bat to nhi kar sakta
par mere nazron ka tere chehre par sath fera ho gya
"SAN" ke bhatkte mann ko ab santi  mil gyi
sundar vicharon ka esh mein dera ho gya 

Friday, December 19, 2014

Dil Ne Badla Thikaana


karke hamse bahana
 dil ne badal liya apna thikaana
     maine puchha akhir kyon?
    to wo bola tu ho gya hai deewana 

Dil Dukano mein Nhi Milti


jo bat hai tujhme wo hazaron mein nhi milti
sab kuchh yahan milta hai lekin dil dukano mein nhi milti 

dhadkno Ki Chakkar


sansen dhadkano ki chakkr kab tak lagayegi
unka entjaar karte-karte ek din ye bhi thak hi jayegi 

Tuesday, December 16, 2014

DAAM MIL GYA


tum jo mile dil ko ek hasin kaam mil gya
anginat dhadkano ka ek sath daam mil gya
tere labon ki laali pe nazar pada to lga
aaj sharabi dil ko asardaar jaam mil gya
pehle hame log sanjeet ke naam bulate the
lekin aaj  hame bhi ashiq naam mil gya
khuda apne bandon ka khayal rakhta hai
tabhi to bin mange hi ye enaam mil gya
dinbhar duniyadari mein jakde huye the
tumhe dekha to hame araam mil gya
"SAN" subah se hi waqt ki talash mein tha
akhirkar likhne ke liye ye hasin shaam mil gya 

Saturday, December 13, 2014

Diid-e-dosheeza


Diid-e-dosheezaa ankhon mein khuloos hai
Alfaaz-e-dil kuchh aaj Hua mahsoos hai 
Mizaz-e-shukhanwar harf banke azaad ho rha
Nikal ayi ashiqi ab ishk nhi  Mahboos hai 

Urdu word meaning :
Diid= look
Dosheezaa=young girl
Khuloos= love/attraction
Shukhanwar= poet
Mahboos= confined

Thursday, December 11, 2014

BAS DO ANKHEN ARAAM KARTE HAIN


dil se pyar ka bahut khubsurat kaam karte hain
chhip  chhipakar  nhi balki sar-e-aam karte hain
na chahte huye bhi unka naam labon par ata hain
aur  wo kahte hain aap hame badnaam karte hain
agar unhe apni badnaami ka etna hi daar hai to
adaon se meri udasi ka kyon kaam tamam karte hain
unhe  dekhkar hame marne se dar lagne lga  hai
aur wo apne husn se mera qatl-e-aam karte hain
"SAN"unhe kaise kahe ki aapko bahut yad karte hain
rat ko nind nhi ata bas do ankhen araam karte hain 

Wednesday, December 10, 2014

Bossa diya




Hayat hasiin usne ek bharosa diya.
Lab-e-shiriin usne ek bossa diya


Urdu Word Meaning :
Bossa = kiss

Tuesday, December 9, 2014

dil se mukhwari


Wo hasin si ladki bas ek deed ne zindgi hari kar di
husn ki bat batayi,ankhon ne dil se mukhwari kar di

PARI YAAD


Bhula sab khawabon ko par wo pari yaad hai,
raah-e-hayat De Deedaar wo ye fariyaad hai 

Monday, December 8, 2014

Zarf Mera


Kali shayaah ki fankaari alfazon ne dikhayaa zarf
Kagaz pe tera kajal lagaa alfazon ne banayaa harf 

Urdu Meaning :
Zarf = knowledge

Saturday, December 6, 2014

NIYAAZ DIL KA

Dil-o-hayaat tumharaa hua bta ye niyaaz kaisa hai
Tera raaz khawaab tak aaya bta ye aaGaaz kaisa hai
Dhadkne gungunaa rhi hai tere liye kuchh nagma 
ek bar tu apne dil se sunn fir bta ye saaz kaisa hai
Khumarii si chha rhi hai ankhon mein har diid pe
partav-e-Khuur si chamak wali ye naaz kaisa hai
Sajde pe sajda kiye ja rhe hain husn ke aage beprda
Shukhanwar hamse na puchh ye namaaz kaisa hai
na jane kitne Labz muhbabbt se rubroo ho hye 
raffu kiya har harf bta "SAN" ka alfaaz kaisa hai

URDU WORD MEANING :
niyaaz = offering
naaz = beauty
partav-e-khuur = Sun rays

On Bloglovin

<a href="http://www.bloglovin.com/blog/13275533/?claim=h63ccskzbee">Follow my blog with Bloglovin</a>

LAZMI ISHK


Hayat ke rang badle main bachche se admi ho gya
Ishk ki talab dhadkano ko ye to ab lazmi ho gya

URDU WORD MEANING :
Talab = search

Friday, December 5, 2014

dhadkno ki nasihat


Nazar ki khushi dil ke liye pehli bar manga
dhadkno ne nasihat di hamne dildar manga

AKARAN

akaran hi wo mere mushkurane ka karan bni hai
abtak sthir labon ke gungunane ka karan bni hai
meri tarap ka kisi ko nhi pta jabse unka anchal  
dard pe ek hasin parda lagane ka karan bni hai
unke har baton se khushnuma mahaul banti hai jo
hamesha ke liye gam ko gawane ka karan bni hai
"SAN"jor-jor se hasne ke liye bahut badnaam hai
aur wo khayalon ke khilkhilane ka karan bni hai 

Thursday, December 4, 2014

Dil-o-ishk waabastaa


Dil-o-ishk waabastaa huya
Ek nazar tujhe jb dekhaa
Muskurata, hastaa huya

Urdu Word Meaning :
waabastaa=related 

Monday, December 1, 2014

Yaad Auun To Muskurauo


pas ao ya na ao,jitna mann ho hamse dur jao
lekin main jab bhi yaad auun,tum muskurao 

dil se nikal ke

Dil ki bat ayi zindgi mein dil se nikal ke,
"SAN" raah-e-ishk thoda sambhal ke