Tuesday, June 28, 2016

WAH WAH KAHNEWALA

mehfil mein nhi koi ab irsaad kahnewala
nhi koi wah wah sher ke bad kahnewala

Sunday, June 26, 2016

MOD AUR MANZIL

Wo zindgi mein wahin thehar gye
Jinhone mod ko manzil samajh liya

Saturday, June 25, 2016

GAFIL

Lage husn ki dua main gafil ho jaun
Use dil doo.N ya uska dil ho Jaun

Urdu word Meaning:
Gafil=careless


Monday, June 20, 2016

pardaadaaree


Badalon ki pardaadaaree hai
Chaand hai chandani uski saree hai
Eid ke din nikali hai 
Eid ke din wo bahut pyaree hai

Saturday, June 18, 2016

RISTEDAAR

Achchhe waqt ke hissedaar wo the
Dost naam tha ristedaar wo the
Meri Facebook ki diwaro.N pe dikhnewale
Hamare Chaar saal ke yaar wo the
College ki kahani ke sare panno pe
Beshkimti aur beshumaar wo the
Maar - pit mein kaam nhi aaye kabhi
Par jarurat padne par hathiyaar wo the
Ladakan bhi tha, pagalpan bhi tha
Par dimaag se hoshiyaar wo the
Mushqilaat se pehle mushqilaat ke bad
"SAN" har waqt har baar wo the

pahluu-nashii.n


Teri muskurahat mujhe teri jawaani lagati hai
pahluu-nashii.n tuu meri puri kahani lagati hai

Urdu Word Meaning:
pahluu-nashii.n=sitting by side

Sunday, June 12, 2016

Alfaazo.N ki Baari

Khudaa ki khudaii khatam 
Ab mere alfaazo.N ki baari hai
Jo waqt ne tujhpe baithaya tha
Fir se mere kalam ne utari hai
Teri ek Nazar lagii 
Ab Meri sher bhi kajraari hai
Khudaa ki khudaii khatam 
Ab mere alfaazo.N ki baari hai


naqsh-e-ra.ngaa-ra.ng

khayaal ranggin huye naqsh-e-ra.ngaa-ra.ng dekhkar
Hum fir gumgiin huye kisi aur ko kisi ke sang dekhkar

Friday, June 10, 2016

BURA NAHI

Na Bura Kaho, Na Bura suno, Na bura dekho ye batayii jati hai Ramzaan mein
Fir saal ke 11 hamine log ye baaat bhool kyon jate hain

Monday, June 6, 2016

KALI SADAK PE


Kalam ki banayii Kali sadak pe ek phool dikha hai
Bade pyaar se maine aaj tera naam likha hai

Sunday, June 5, 2016

LABZ PEHNA DOO.N


Tere naam ko fir wahiin labz pehna doo.N
Tere naam ko fir kisi Nazm mein chhupa doo.N
Dar lagta hai koi mujhse tujhe jaan legaa
Apni ashiqi ko aaj main afsan-e-asar bna doo.N

whats-e-aap



kisi naaseh ki messageKhaanaa se
whats-e-aap pe aati rahti hai
Sher,Ghazal,Nazm Shayaro.N ki
Aksar thokar khati rahti hai
haalchaal ki puchhtachh ke bich
masaledar mazaak dikhati rahti hai
Kisi ki khinchi tasweer kisi ki joke
whats-e-aap pe aati rahti hai
Kabhi dosti ko majboot karti hai
kabhi kabhi ladayii lagati rahti hai
apno ki khabar apno se 
whats-e-aap pe aati rahti hai

Likh Diya To


Likh diya to tum padh logii
Jise be-alfaaz bna rakh hai

Friday, June 3, 2016

Zamiin-e-labz


Wo baat bahut karte hain jb wo baat nhi karte
pighal jate hain bossa-e-ishk mein labon pe nhi dhaharte
Jb Kareeb aate hain dono 
Tab Zamiin-e-labz pe alfaaz nhi rahte hain