Saturday, January 31, 2015

Labz gire


Hum bhi ho jayen gulaam unka dheere dheere.
Kash koi labz shurkh labon se labon pe gire.

Friday, January 30, 2015

Sudhar Lenge


hasne ke liye tujhse teri mushkan udhar lenge
meri galti tum batana ham khudko sudhar lenge 

MUJHSE BADLA DIN LETI




har chamakti subah meri raushni chhin leti hai
kya kiya gunah je mujhse badla har din leti hai 

Wednesday, January 28, 2015

Koi Naam puchhe


Awara ye zindgi aur ye gandi gali kuche
koi to hamara naam hamara pta puchhe

Tuesday, January 27, 2015

behoshi ki adat


Nazaron ne ankhon ko mai_khana dikha diya 
bin piye hi behoshi ki adat sikha diya 

Monday, January 26, 2015

kya khoob nachati hai



hazar qumqumo.n ke bich marghoob nachati hai 
Sare chasm bol rhe hai wo kya khoob nachati hai 


Urdu Word Meaning :
marghoob=desired/beautiful
qumqumo.n=lights

Sunday, January 25, 2015

Asmani pari

shab-e-mehtaab dekha use jate huye,
udanpari badlon ko thoda takrate huye,
madhim madhim roshni ke bich rasta
dekha use apna chehra dikhate huye
uske ane se niche jab andhera faila 
dekha use bijali ke diye jalate huye
chasm ne jab falak ka rukh kiya dekha
halki hawaon ke sath use jate huye
Asmani pari hai ye badalon ki katar
"SAN" dekh use barish ka pani late huye

Friday, January 23, 2015

Chasm se Tapaknaa seekh


Pyaar ki raah me chalna seekh, 
Ishq ki aag me jalnaa seekh,
ahad-e-ashiqi ka kya karega?
wo badal gya tu bhi badlana seekh,
wisaal-e-yaar ki ab tamanaa na kar,
Ishk rakh aur sambhalna seekh,
pyaar tu bas dhadano tak ayaa
Bin uske chasm se Tapaknaa seekh,
Labz-0-harf "SAN" ka unhe rok na paya
Ai dil mere ab to tu chikhnaa seekh



Urdu Word Meaning:
ahad = promise
wisaal-e-yaar = meeting with lover

Duriyaaan-Jhuriyaan


Pyaar tha Ishk tha kahaan koi duriyaan thi
Do dil jawaan, bas chehre pe jhuriyaan thi

Monday, January 19, 2015

SAAL BADAL GYA


tere pyar se dil ka chaal badal gya 
tere karan  dil ka haal badal gya
apke baton ka mujhpe jadu chal gya
aur khushiyon ka  thaal badal gya
aapki salinta ham par asar kar gyi
aur mere sanson ka taal badal gya
enhi pyari pyari chijon ke bich tha
aur pta na chala kab wo kaal badal gya
"SAN" to tere yadon mein wahin ruka hai
par tujhe yad karte karte ye saal badal gya 

Saturday, January 17, 2015

PAIHAM


Dard tha kuchh marham nhi tha
aur dusra mera paiham nhi tha
tere bina bhi ghar ghar tha 
ghar mein chham-chham nhi tha

Urdu Word Meaning :
Paiham=close

Friday, January 16, 2015

Tera surma mere jaisa


Gore rang pe hai gumaan tujhe 
Tera surma mere jaisa kyon hai
kabhi to mere sawaalon ja jabaab de
kabhi to bta de ye chasm aisa kyon hai


Wednesday, January 14, 2015

Pyar Ne Jakad Liya Hai


zindgi ko pyar ne jakad liya hai

tabhi to dil ne ishk ka rah pakad liya hai 

Monday, January 12, 2015

Prempardarshan


dil karne lga hai prempardarshan
jab se lip se lip ka hua hai gharshan
because of LOVAKARSHAN
ab tumlog hi batao  kya kare MAN 

Palkon Ka Deewar


palkon ki deewar hatakar ham apka deedar karte hain
aap apni zulphon ka ghunghat htakar hame bimaar karte hain 

Pyar Palakon Pe

Har bar to nhi lekin kuchh baar ayaa hogaa
uske bhige palakon pe mera pyar ayaa hogaa

Sunday, January 11, 2015

Meri Benazir


main ranjha, tuu meri heer hai
main ek aam admi tu meri benazir hai
main khuda se kuchh aur nhi manga
kyonki janta hoon tu meri taqdeer hai 


Urdu Word Meaning:
benazir =matchless

Mera Dost Mera Sathi


ye rat mera dost,ye rat mera sathi hai
jo unhe mere sapno mein bula lati hai 

Saturday, January 10, 2015

LABZ ISHKANAA


Meri ankhen tu dekh chaand nikal aya hai shab se
puri nazar bhar kar dekh, dekh tu aaj bde adab se 
mujhe shikaar karwa daal, khud diidaar kar le
Har labz ishkanaa, harfon hum gulam hain ab se 


Friday, January 9, 2015

ulfat-e-deriinaa


Ankhon ke samne baam-e-miinaa
Madmast jaise ulfat-e-deriinaa
Ab hanth ko saaqi banana padega
angoor ki niyaaz padega piinaa

Urdu word Meaning :

baam-e-miinaa= terrace of wine
ulfat-e-deriinaa=old love
niyaaz = offering

Thursday, January 8, 2015

Ankhon ne dho diya

Ishk likha tha Nazaron ne uska chehra padhkar
aaj ushi muhabbat ko dono ankhon ne dho diya
Ashiqi,arzoo ya tasvuur kuchh na bacha ab
jo tha nhi kabhi mera use aaj maine kho diya

Tuesday, January 6, 2015

Maf Karna Jante Hain

agar khuda insaf karna janta hai
to ham bhi maf karna jante hain
koi halaat mere mann ko maila kar sakta hai
par ham bhi dil ko saf karna jante hain 

Locha Ho Gya


tumhare khatir
dil aur dimag ke bich ho gya locha
dil ne kaha main unse pyar karta hoon
dimag ne kaha "tumne aisi lagti karne ke bare mein kyon socha" 

Saturday, January 3, 2015

ZULF-E-DOTAA



Wo Reshmi kali siyaah si zulf-e-dotaa
Kash kabhi mere chehre pe khula hota
Hota main ankhon ke mai gum_gashtaa
Hota main bhi unki agosh mein shaguftaa
Wo Reshmi kali siyaah si zulf-e-dotaa
Kash kabhi mere chehre pe khula hota
Ankhen ko dilataa kuchh chashm-e-ataa
Ankhen kar rhi hoti zikr-e-husn-e-yaktaa
Wo Reshmi kali siyaah si zulf-e-dotaa
Kash kabhi mere chehre pe khula hota

URDU WORD MEANING :

zulf-e-dotaa=braided hair
gum_gashtaa=lost
shaguftaa (shiguftaa) = cheerful/happy
ataa=gift
chashm-e-ataa=rewarding eye
yaktaa=single
zikr-e-husn-e-yaktaa =description of unique beauty

Layi Hogi



mujhse ishk karle, tujhe khushi hasil hogi meri bhi bhalayi hogi

akhir  apna ye dil tu khuda se mere liye hi to layi hogi 

Laila Majnu Ka Jamana

chala gya laila majnu ka jamana
nhi chalega ye bahana
ashiqon  ko hoga fir sabko samjhana
ki haan aaj bhi  zinda hai deewana


chala gya laila majnu ka jamana
nhi chalega ye bahana
ashiqon ko fir hoga dikhana
ki akhir kya hota hai dil lagaana


chala gya laila majnu ka jamana
nhi chalega ye bahana
ashiqon ko hoga aage aana
taki sab samajh jayen ki nhi gya wo jamana,

nhi gya wo jamana.............

Friday, January 2, 2015

Love Lagat

malum nhi ki pyar karne mein kitni lagat ayegi
kuchh bhi ho lekin ye ishk ki aadat na jayegi 

Khubsurat Jarur Thi


na wo hur thi na wo nuur thi
lekin wo khubsurat jarur thi 

Thursday, January 1, 2015

mai-e-gulfaam

Nye saal ka Jasn Hamne mai-e-gulfaam dekha,
saqi la rha tha,sabke hanthon mein Jaam dekha

URDU WORD MEANING:
mai-e-gulfaam=flower colored wine