Thursday, August 13, 2015

Shurkh Sari

Ankhon se nuur ka ham_raaz dekha hai
Shurkh Sari pehne husn-e-raaz dekha hai
Ahista-Ahista utar rhii hai shayari mein
Hayaa ke sath unka andaaz dekha hai
Chahat-e-chasm rahat-e-shukhan
Apne berang asharon ko saaz dekha hai 
subah ka khoobsurat chehra sham ka badan
umiid se bahut badhkar kuchh aaz dekha
Labzon alfaazon aur harfon ne dua utha lii
Sher-o-shayari ne apna sartaaz dekha hai
Nigah-e-shukhanvar ne Ham-nasiin banaya
Bematlab ki Nazm-o-ghazal ka ilaaz dekha

No comments:

Post a Comment