Friday, August 28, 2015

GHAZAL MEIN MEHAKTE HUYE


Labz Harf aur alfaaz dekho kala sayaah bahakte huye
Teri kahani ka panna meri ghazal mein mehakte huye
Khayalon ki kasti hasiin tehreer ka saaya banta hua
Dekho Tasvuur ka alam jazbat ka Shola dahakte huye
fikr farmaanaa ki tajgi yaad ke lakeeron ki fankaari
Dekho har ek Sher tere gul_naam pe chahakte huye
Teri shokh ankhon ke kajal ka wo gadha kala rang
Katra katra meri sayahi se dam-ba-dam Chhalakte huye
"SAN" ki ulfat-e-deriina ki surat ne mehsoos kiya hai
khushboo gul badan se dheere-dheere mehakte huye

No comments:

Post a Comment