Sunday, August 16, 2015

ankhon mein bahar samaa gyaa

pur diid ka asar hua ankhon mein bahar samaa gyaa
Labz panno pe daude harf mein tarah-daar samaa gya
Kalam ne raah lii apne behad aziz shayari-o-shukhan ki 
Meri khoobsurat Ghazal mein aks-e-yaar samaa gya
Ankhon ne jaise jaise bayaan kiya hum likhte chale gye
Shayari mein aaj ek gauhar-e-shaahvaar samaa gya
Teri adaon ki adakari shariir ka har zara-zara padha
Fankari mein Tere badan ka purbahaar samaa gya
Ek Ajib sa dard ho rha hai Ghazal khatm karte huye 
"SAN"fikr-o-fan mein Hasiin nok-e-Khaar samaa gya

URDU WORD MEANING :
nok-e-Khaar=tip of the thorn
purbahaar=in full bloom
gauhar-e-shaahvaar=a fine royal pearl
aks-e-yaar = reflection of beloved
tarah-daar = beautiful 


No comments:

Post a Comment