Sunday, April 26, 2015

SUBUK-TANII

morni ki chaal chalati wah kya subuk-tanii hai teri,
dilkash adaa, karde madhosh aisi jawaanii hai teri,
chamkila,gulabi,tazaa ye qaus-e-quzah saa chehra,
Kiske muhbabbat ka tohfa layi kya kahanii hai teri,
Na jane kitne huye honge gulaam ish rang rup ke,
Beparwah hasinaa Ye aadat kitni puranii hai teri,
Chaand se chehre ko chaand ki tarah hi dikhati ho,
Parde mein rakhti ho khudko kya pareshanii hai teri,
gauhar-e-shaahvaar hai tu kisi ek dil-e-muntazir ki,
"SAN" ki sun uski pak ruh hi ishk_danii hai teri

URDU WORD MEANING :

qaus-e-quzah = rainbow
subuk-tanii = light body
nujuum-e-dil = astrology of heart
gauhar-e-shaahvaar=a fine royal pearl
dil-e-muntazir = waiting heart

No comments:

Post a Comment