Saturday, December 6, 2014

NIYAAZ DIL KA

Dil-o-hayaat tumharaa hua bta ye niyaaz kaisa hai
Tera raaz khawaab tak aaya bta ye aaGaaz kaisa hai
Dhadkne gungunaa rhi hai tere liye kuchh nagma 
ek bar tu apne dil se sunn fir bta ye saaz kaisa hai
Khumarii si chha rhi hai ankhon mein har diid pe
partav-e-Khuur si chamak wali ye naaz kaisa hai
Sajde pe sajda kiye ja rhe hain husn ke aage beprda
Shukhanwar hamse na puchh ye namaaz kaisa hai
na jane kitne Labz muhbabbt se rubroo ho hye 
raffu kiya har harf bta "SAN" ka alfaaz kaisa hai

URDU WORD MEANING :
niyaaz = offering
naaz = beauty
partav-e-khuur = Sun rays

No comments:

Post a Comment