Monday, December 29, 2014

mukhtasar charcha suni hai

dil ne dhadkano se apki aksar charcha suni hai
Kabhi thoda kabhi sar basar charcha suni hai 
Deewana dil aapko khwabon tak bulaa layaa
Isne Kuchh aisi aur ish kadar charcha suni hai
Chasm khuugar aapki ada ka Har nazar Gulaam
Kiya diidar tab tab dil-e-dar charcha suni hai
Aapko Dekhne mein masaruuf dono ankhen 
Inki bebaaki mein aapki yak sar charcha suni hai 
Vafa ke ehataraam se bhar jati "SAN" ki tahariir 
Par Abhi bhi aapki mukhtasar charcha suni hai 

URDU WORD MEANING :

sar basar=wholly/entirely
dar = door
Khuugar=used to
yak sar  = all at once
ehataraam = respect
masaruuf=busy in/involved with
tahariir = writings
mukhtasar= brief

No comments:

Post a Comment