Friday, December 26, 2014

KARAM KARTE HAIN

hampe aap ye kya bachkani sitam karte hain
ye kahkar ki ham aap se pyar kam karte hain
ye kyon nhi samajhti aap  ki agar aap sharmili hain
to ham bhi kabhi-kabhi thoda sharam karte hain
mujhpe bharosa na ho to puchh lena hawaon se ki
ye bta aajkal kya-kya kaam mere pritam karte hain
aur wo hawayen kahegi ki kuchh nhi aata unko
par bade pyar se wo pyar ka ye karam karte hain
tumne yaqinan socha hoga ki etne khush rahte hain
fir un ashuon ko wo kahan khatam karte hain
to tumhe bta den ki jab nafrat ki dhool ankhon mein ati hai
to ushe apne enhi namkin ashuon se use naram karte hain
lekin ye mat soch lena ki "SAN" hatash rahta hoga
kyonki na kal ham udaas the na aaj gam karte hain 

No comments:

Post a Comment