Tuesday, March 22, 2016

Kalamkar ki kalam se


Ek sher se dusre sher ki rah nikal aati hai
Kalamkar ki kalam se sayaah nikal aati hai
Zubaan khali hai alfaazon ke bina
Lekin likhta hoon to Chah nikal aati hai
Khayalon ka qarbaan kagaj pe chalta hai
Tu dikhti hai to SherGaah nikal aati hai
Teri tarif se sajati hai shayari ki saaj
Dekhnewalon ki jaise Nigaah nikal aati hai
Lagta hai Tera chehra tarif ke liye hai
"SAN" jab dekhta hai to wah nikal aati hai

No comments:

Post a Comment