Friday, May 15, 2015

mausam - e - tabassum

haule se muskurakar unn bahkana chhor do,
bewajah bin rista unn dil mein anaa chhor do
Rutha hoon main mujhe ruthe hii rahne do
mausam - e - tabassum se manana chhor do
Hinaa ki ek jhalak dikhta hai tere chehre pe 
Ye husn-o-adaa aur jadu dikhana chhor do 
inaayat ki darkar ab en do ankhon ko to nhi 
Nazaron ko kuchh khash khilana chhor do
waqt yadon pe dhool dalega "SAN" bhul jayega
Bus tum ab Khawaabon ke pas anaa chhor do

No comments:

Post a Comment