Saturday, June 14, 2014

ZINDGI MEIN ZINDGI AYA


Tu Huyii jawaa.N tujhpe aaj sabaab aya
Jaise Andhere ko chirta ek mahtaab aya 
begaanaa-e-may hi tha main ab tak main
niyat badli ankhon ke samne saraab aya
vasl-e-yaar  ya  laal-o-gauhar  ko dekha
aaGaaz-e-ulfat jb unke dil ka jabaab aya
Zindgi mein rahkar jo thi abtak nihaa.N 
meri qurbat mein mera ham_masharab aya
Koi anjaani tabiir hogi tajadiid-e-vafaa ka
arsh se utara SAN ka shab-e-mahataab aya

No comments:

Post a Comment