Monday, January 25, 2016

TO DEKHO

Hindustan ki jamhuuriyat dekhne aye KHurshiid-e-KHaavarii to dekho
Hari - Hari fasalon ki qatar, kisano ki mehnat se bichhayii darii to dekho
Sone ki chidiya ka apharan, somnath se dakaitii aur na jane kiya kiya
Desh pe gumaa.N karnewale 26 Januwary ki pehli baad-e-bahaarii to dekho
Dushmano ko bhi kai - kai mauqe de dete hain hum zakham khakar bhi 
Tum apni bekar ki diin-daarii chhoro, ab hamari dil-daarii to dekho
Bharat ke log har jagah hain apne bal pe sharafat aur insaniiyat ke sath
kisi jagah ke bhi avaam ke sath Hindustaniyon ki ristedaarii to dekho
Hamare Desh ke jawaan apni desh ki raksha aur seva ke liye khade hain
Marna nahi chahte par marna padta hai koi be ikhtiyaari to dekho
Kab banoge duniyawalon hamse aur milaoge hanth se hanth sabki khatir
Banke Hindustan puchh rha hai "SAN" ek bar hamari bari to dekho

URDU WORD MEANING :
be ikhtiyaari: helplessness/without choice
diin-daarii=religious preachings
baad-e-bahaarii = spring wind
darii = durrie; long cloth spread on floor

No comments:

Post a Comment