nazaron ke samne se wo ate hain,wo jate hain
dil gunga hai, ham chup hi rah jate hain
wo har waqt adaon ki bijali girate hain
aur hum man hi man ahen bhar ke rah jate hain
nazaron ke samne se wo ate hain, wo jate hain
nazaren takrati hain aur dono ankhen bahut kah jate hain
man karta hai unhe aaj rok loon
par dimag etna sochta hai ki bas sochte hi rah jate hain
No comments:
Post a Comment