Sunday, February 8, 2015

WO AYE KABHI KABHI


main chahta hoon ki wo aye kabhi kabhi
main chahta hoon kuchh wo kah jaye kabhi kabhi
ushke liye dil mein dher sara pyar pda  hai
meri dhadkano ko wo loot jaye kabhi kabhi
band ankhon se to unka hi didaar karta hoon
kash chehra bhi en ankhon ko wo dikhaye kabhi kabhi
pyar karne wale apni parwaah nhi karte hain
chahta hoon hame bhi wo aajmaye kabhi kabhi
hash hashkar muh thak gya hai khushi mein hi sahi 
main chahta hoon wo hame rulaye kabhi kabhi
SAN ke ankhon mein base pani ka kuchh to matlb hai
mere ankhon se anshu wo bahaye kabhi kabhi. 

No comments:

Post a Comment