Sunday, October 5, 2014

AB DIL TAIYAAR HAI

karne ko tumhe bahut pyar ab dil taiyaar hai,
pehanane ko shadi ka har ab dil taiyaar hai,
ham ye vidyarthi jivan bahut din tak jee liye, 
apne ghar lane ko ek bahar ab dil taiyaar hai,
23 saalon tak har rat sapne  bunte rahe hain,
dene ko  khabwon ko aakar ab dil taiyaar hai,
khud se hi sahi na jane kitne wade kiye honge,
kasame  nibhane  ko hazaar ab dil taiyaar hai,
janta hoon,mohbt ki rahen bahut hi mushqil hai,
par uthaane ko ishk ka bhar ab dil taiyaar hai,
kisi ko satana aur gam dena bahut ashaan hai,
karne ko khushi ka karobar ab dil taiyaar hai,
ye "SAN" aajtak nhi janta ISHK kya chijj hai,
par samjhne ko pyar ka saar ab dil taiyaar hai. 

No comments:

Post a Comment