Friday, August 8, 2014

Diwaane mein kya tha

be qaraar,be sabr ,be taab aur Diwaane mein kya tha
Reshmi zulfen,noorani chehra dikahene mein  kya tha
Raah-e-Ulfat mein bhatkaa hua ek dil_sitaaN main
chasm-e-baddoor teraa mere paas aane mein kya tha
raanaai-e-KHayaal mere dhadkano se baahar aate rhe
Pyar tha ,ishk tha Raaz-e-waffa chhipane mein kya tha
Waada tha mera Ye jaan tumhaari ,ye jaaN_sipaaree
Kuchh aisi hii baate.N aur ush Afsaane mein kya tha
Dhadkano ki Guftgoo ek daastaan-e-tabassum
Muhabbat meri khudaya tujhe Dilwaane mein kya tha ?

Urdu Word Meaning:
chasm-e-baddoor: God preserve from evil eyes
dil_sitaaN = lover
raanaai-e-KHayaal = tender thoughts
jaaN_sipaaree = resigning one's life into the hands of another
daastaan = story
tabassum: smile/smiling

No comments:

Post a Comment