Friday, July 4, 2014

KALPANAO KI CHANDANI RATON MEIN

teri yadon se bat karte karte

meri har rat kat jati hai
kuchh achha lagta hai
aur komal mann bhi bahal jati hai
kalpanao ki chandani raton mein

mujhpe mohbaton ki baris hoti hai
jabki ham  chadar tale hote hain
lagta hai mujhse koi bat kar rhi ho
par ham aram se so rhe hote hain
kalpanao ki chandani raton mein

kisi ka sor kano mein hoti hai
jab rat sanate mein dubi soti hai
shayad wo mere chahat ki avaj
ya ushke mohabbat ki pukar hoti hai
kalpanao ki chandani raton mein

apne mann ki bat tu bol jana
mere ash-pas madhurta ghol jana
milna mushkil hai
kam se kam yadon se sapne mein utar ana 
kalpanao ki chandani raton mein 

No comments:

Post a Comment