Saturday, November 9, 2013

ETNA LIKHA FILHAAL

ao tere labon par aaj pyar chhapte hain,
bhale hi.n tujhe dekhkar hum kapte hain,
par shayad tujhe nhi malum,
apni nazron se teri sundra roj napte hain

teri shokh ada aur husn bhi kya kamaal hai,
khuda ka sajaya honth aaj bhi dekho laal hai,
mere labon ko apne labon ki qurbat mein lene de,
taki SAN bta sake tu kitni bemisaal hai

honthon se padh lo honthon ka jo sawal hai,
ye mat samajh ki chuma lene ki ek chaal hai,
kyonki main koi awara mandrata bhawra nhi,
jo pankhudiyon ki karta janch padtaal hai,

hone ko to ho gya tujhe bahut saal hai,
lekin tera lab-e-shirin aaj bhi kamal hai,
tujhpe to hazar panne ,hazar harf likh duun,
lekin SAN ne etna hi likha filhaal hai,

No comments:

Post a Comment