Labon ki thartharati lehar hamen bahakar le gyii
Wo aaj mujhe mere behad kariib aa kar le gyii
Itna kuchh kaha ki puchhne ko fir kuchh na rhaa
Bosa, ankhon ko ankhon mein ishk dikhaa kar le gyii
Bachata to bhi kaise main husn-e-aag se
Wo Duriya-e-dillagii tak mujhe behkaa kar le gyii
Judaa hua khudse unse bichhadane se pehle
Kyon Mujhse hii mujhko wo Gale lagaa kar le gyii
Unki bedaad Ulfat par umiid kaise na karoon
Dil-e-"SAN" wo Apni dhadkan suna kar le gyii
No comments:
Post a Comment